उसने  पलटकर  नहीं  देखा  
उसकी  पीठ  पर  लगी  आँखें  मेरी  
मुझ  ही  को  देखती  रहीं  
जाते  हुए  
विदा  में  
मेरा  ही  हिस्सा  चला  जाता  है  
कहकर  विदा  मुझे  
और  फिर  पलटकर  नहीं  देखता  
कहने  को  गुज़र  रहा  है  समय  
कैलेंडर  बदल  रहा  
कहने  को  मौजूद  हूँ  हर  उस  जगह  
जहाँ  पुकारा  जाता  है  मुझे  
अगर  देख  ले  कोई  बैठ  कर  
क़रीब  से  मुझे  और  समय  को  
तो  उसे  मैं  खड़ी  नज़र  आऊँगी  
किसी  स्टेशन  पर  
डबडबाई  मेरी  आँखें  आज  भी  
टिकी  नज़र  आएँगी  
उस  लौटती  हुई  आकृति  पर  
जो  आँखों  ही  से  निकाल  ले  जा  रही  है  
प्राण  मेरे  
देख  रही  हूँ  ख़ुद  को  आज  भी  
अपनी  उन्हीं  आँखों  से  
जो  उसकी  पीठ  से  लगी  
देख  रही  है  मुझे  लौटते  हुए  वहाँ  से  
कैलेंडर  की  गिनती  हवा  हो  जाएगी  
समय  उस  दृश्य  के  क़रीब  
चक्कर  लगाता  महसूस  होगा  आज  भी  
बिना  उसके  
मेरा  बढ़ती  तारीख़ों  से  जुड़े  रहना  
एक  फ़रेब  है  आज  भी  
उस  रोज़  
मैंने  अपनी  ही  आँखों  से  देख  लिया  
विदा  होते  ख़ुद  को  
तुम्हारे  लौट  आने  के  इंतज़ार  में  
ये  आँखें  
मुझ  ही  पर  बनी  रहती  है  
तुम्हें  आता  देख  दूर  से  
जो  मैं  सँवरने  लगती  हूँ  
कभी-कभी  
ये  आँखें  देख  लेती  हैं  
लौटते  हुए  मुझ  ही  को  
तुम्हारे  बहाने  से।  
                usne  palatkar  nahin  dekha  
uski  peeth  par  lagi  ankhen  meri  
mujh  hi  ko  dekhti  rahin  
jate  hue  
wida  mein  
mera  hi  hissa  chala  jata  hai  
kahkar  wida  mujhe  
aur  phir  palatkar  nahin  dekhta  
kahne  ko  guzar  raha  hai  samay  
kailenDar  badal  raha  
kahne  ko  maujud  hoon  har  us  jagah  
jahan  pukara  jata  hai  mujhe  
agar  dekh  le  koi  baith  kar  
qarib  se  mujhe  aur  samay  ko  
to  use  main  khaDi  nazar  aungi  
kisi  station  par  
DabDabai  meri  ankhen  aaj  bhi  
tiki  nazar  ayengi  
us  lautti  hui  akriti  par  
jo  ankhon  hi  se  nikal  le  ja  rahi  hai  
paran  mere  
dekh  rahi  hoon  khu  ko  aaj  bhi  
apni  unhin  ankhon  se  
jo  uski  peeth  se  lagi  
dekh  rahi  hai  mujhe  lautte  hue  wahan  se  
kailenDar  ki  ginti  hawa  ho  jayegi  
samay  us  drishya  ke  qarib  
chakkar  lagata  mahsus  hoga  aaj  bhi  
bina  uske  
mera  baDhti  tarikhon  se  juDe  rahna  
ek  fareb  hai  aaj  bhi  
us  roz  
mainne  apni  hi  ankhon  se  dekh  liya  
wida  hote  khu  ko  
tumhare  laut  aane  ke  intzar  mein  
ye  ankhen  
mujh  hi  par  bani  rahti  hai  
tumhein  aata  dekh  door  se  
jo  main  sanwarne  lagti  hoon  
kabhi  kabhi  
ye  ankhen  dekh  leti  hain  
lautte  hue  mujh  hi  ko  
tumhare  bahane  se  
usne  palatkar  nahin  dekha  
uski  peeth  par  lagi  ankhen  meri  
mujh  hi  ko  dekhti  rahin  
jate  hue  
wida  mein  
mera  hi  hissa  chala  jata  hai  
kahkar  wida  mujhe  
aur  phir  palatkar  nahin  dekhta  
kahne  ko  guzar  raha  hai  samay  
kailenDar  badal  raha  
kahne  ko  maujud  hoon  har  us  jagah  
jahan  pukara  jata  hai  mujhe  
agar  dekh  le  koi  baith  kar  
qarib  se  mujhe  aur  samay  ko  
to  use  main  khaDi  nazar  aungi  
kisi  station  par  
DabDabai  meri  ankhen  aaj  bhi  
tiki  nazar  ayengi  
us  lautti  hui  akriti  par  
jo  ankhon  hi  se  nikal  le  ja  rahi  hai  
paran  mere  
dekh  rahi  hoon  khu  ko  aaj  bhi  
apni  unhin  ankhon  se  
jo  uski  peeth  se  lagi  
dekh  rahi  hai  mujhe  lautte  hue  wahan  se  
kailenDar  ki  ginti  hawa  ho  jayegi  
samay  us  drishya  ke  qarib  
chakkar  lagata  mahsus  hoga  aaj  bhi  
bina  uske  
mera  baDhti  tarikhon  se  juDe  rahna  
ek  fareb  hai  aaj  bhi  
us  roz  
mainne  apni  hi  ankhon  se  dekh  liya  
wida  hote  khu  ko  
tumhare  laut  aane  ke  intzar  mein  
ye  ankhen  
mujh  hi  par  bani  rahti  hai  
tumhein  aata  dekh  door  se  
jo  main  sanwarne  lagti  hoon  
kabhi  kabhi  
ye  ankhen  dekh  leti  hain  
lautte  hue  mujh  hi  ko  
tumhare  bahane  se  
 
    
 
    
        स्रोत : 
                
                                                                    रचनाकार  : ममता बारहठ 
                             प्रकाशन  : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
                         
                                     
                
                
     
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
 
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.