वह  माफ़ी  माँगता  है  
अथाह  समंदर  में  
जहाँ  दीख  पड़ता  नहीं  कुछ  दूर-दूर  तक  
लाखों  लोगों  को  
बिना  लाइफ़  जैकेट  के  
समंदर  में  छोड़कर  
उसके  कारिंदे  हटा  लेते  हैं  अपनी  नावें  
जीवन  बचाने  की  ज़िद  में  
डूबते  लोगों  में  से  कोई  तैरता  हुआ  
पहुँचने  लगता  है  नाव  तक  
सिपाही  डँडों  से  
उसे  फिर  खदेड़  देते  हैं  समंदर  में  
समुद्र  तट  पर  
एक  बड़े  टेलीविजन  के  चमकते  स्क्रीन  पर  
हो  रहा  है  माफ़ी  का  सीधा  प्रसारण  
विशाल  साम्राज्य  का  
सर्वशक्तिमान  राजा  वह  
अपनी  ही  प्रजा  से  
माफ़ी  माँगता  है  
उसके  भाट  सिद्ध  कर  चुके  हैं  उसे  
महान्  शासक  करुणावतार  
और  मुक्तिदाता  सेनानायक  
अब  वह  चाहता  है  महात्मा  बनना  
लाख़ों  लोगों  को  मौत  के  मुँह  में  धकेल  कर  
वह  माफ़ी  माँगता  है  
भाट  चीख़-चीख़  गाते  हैं  गाथाएँ  
गाथाओं  में  राजा  
सर्वशक्तिमान  मुक्तिदाता,  
शत्रुहंता  सेनानायक  
और  करुणावतार  महात्मा  है  
                wo  mafi  mangta  hai  
athah  samandar  men  
jahan  deekh  paDta  nahin  kuch  door  door  tak  
lakhon  logon  ko  
bina  laif  jaiket  ke  
samandar  mein  chhoDkar  
uske  karinde  hata  lete  hain  apni  naven  
jivan  bachane  ki  zid  mein  
Dubte  logon  mein  se  koi  tairta  hua  
pahunchne  lagta  hai  naav  tak  
sipahi  DanDon  se  
use  phir  khadeD  dete  hain  samandar  men  
samudr  tat  par  
ek  baDe  telivijan  ke  chamakte  skreen  par  
ho  raha  hai  mafi  ka  sidha  prsaran  
vishal  samrajya  ka  
sarvashaktiman  raja  wo  
apni  hi  praja  se  
mafi  mangta  hai  
uske  bhaat  siddh  kar  chuke  hain  use  
mahan  shasak  karunavtar  
aur  muktidata  senanayak  
ab  wo  chahta  hai  mahatma  banna  
lakhon  logon  ko  maut  ke  munh  mein  dhakel  kar  
wo  mafi  mangta  hai  
bhaat  cheekh  cheekh  gate  hain  gathayen  
gathaon  mein  raja  
sarvashaktiman  muktidata,  
shatruhanta  senanayak  
aur  karunavtar  mahatma  hai  
wo  mafi  mangta  hai  
athah  samandar  men  
jahan  deekh  paDta  nahin  kuch  door  door  tak  
lakhon  logon  ko  
bina  laif  jaiket  ke  
samandar  mein  chhoDkar  
uske  karinde  hata  lete  hain  apni  naven  
jivan  bachane  ki  zid  mein  
Dubte  logon  mein  se  koi  tairta  hua  
pahunchne  lagta  hai  naav  tak  
sipahi  DanDon  se  
use  phir  khadeD  dete  hain  samandar  men  
samudr  tat  par  
ek  baDe  telivijan  ke  chamakte  skreen  par  
ho  raha  hai  mafi  ka  sidha  prsaran  
vishal  samrajya  ka  
sarvashaktiman  raja  wo  
apni  hi  praja  se  
mafi  mangta  hai  
uske  bhaat  siddh  kar  chuke  hain  use  
mahan  shasak  karunavtar  
aur  muktidata  senanayak  
ab  wo  chahta  hai  mahatma  banna  
lakhon  logon  ko  maut  ke  munh  mein  dhakel  kar  
wo  mafi  mangta  hai  
bhaat  cheekh  cheekh  gate  hain  gathayen  
gathaon  mein  raja  
sarvashaktiman  muktidata,  
shatruhanta  senanayak  
aur  karunavtar  mahatma  hai  
 
    
 
    
        स्रोत : 
                
                                                                    रचनाकार  : आशीष त्रिपाठी 
                             प्रकाशन  : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
                         
                                     
                
                
     
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
 
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.