मैंने  इंदौर  नहीं  देखा  
न  ग्वालियर  
न  बंगलूर  
एक  संस्था  का  गठन  किया  गया  है  इंदौर  में  
मेरे  नगर  देहरादून  की  तरह  
सामाजिक  सांस्कृतिक  गतिविधियों  को  बढ़ाने  का  
किया  गया  है  संकल्प  
भाषा  भावुक  है  
वह  शायद  पूरा  नहीं  होता  
न  इंदौर  में  
न  देहरादून  में  
कुछ  शहरों  में  झगड़ों  कुछ  में  पूजा  के  समाचार  हैं  
एक  संस्मरण  में  लेखक  दीवारों  को  देखता  
रिक्शे  वाले  के  शरीर  का  स्वर  सुनता  है  
इंदौर  में  किराए  का  मकान  लूँ  तो  जल्दी  
ही  भीतरी  सड़कों,  ज़रूरी  दुकानों  का  जान  लूँगा  
और  अजनबी  नहीं  लगूँगा  
शहरों  के  नामों  को  धूप  में  तपते  
बारिश  में  भीगते  देखता  हूँ  
सूरज  आसमान  थपथपाते  हुए  आता  है  
दिन  भर  ठहरता  है,  लोग  सीने  में  
हृदय  की  तरह  धड़कते  हैं।  
                mainne  indaur  nahin  dekha  
na  gvaliyar  na  banglur  
ek  sanstha  ka  gathan  kiya  gaya  hai  indaur  men  
mere  nagar  dehradun  ki  tarah  
samajik  sanskritik  gatividhiyon  ko  baDhane  ka  
kiya  gaya  hai  sankalp  
bhasha  bhavuk  hai,  wo  shayad  pura  nahin  hota  
na  indaur  mein  na  dehradun  men  
kuch  shahron  mein  jhagDon  kuch  mein  puja  ke  samachar  hain  
ek  sansmran  mein  lekhak  divaron  ko  dekhta  
rikshe  vale  ke  sharir  ka  svar  sunta  hai  
indaur  mein  kiraye  ka  makan  loon  to  jaldi  
hi  bhitari  saDkon,  zaruri  dukanon  ka  jaan  lunga  
aur  ajnabi  nahin  lagunga  
shahron  ke  namon  ko  dhoop  mein  tapte  
barish  mein  bhigte  dekhta  hoon  
suraj  asman  thapthapate  hue  aata  hai  
din  bhar  thaharta  hai,  log  sine  mein  hriday  
ki  tarah  dhaDakte  hain.  
mainne  indaur  nahin  dekha  
na  gvaliyar  na  banglur  
ek  sanstha  ka  gathan  kiya  gaya  hai  indaur  men  
mere  nagar  dehradun  ki  tarah  
samajik  sanskritik  gatividhiyon  ko  baDhane  ka  
kiya  gaya  hai  sankalp  
bhasha  bhavuk  hai,  wo  shayad  pura  nahin  hota  
na  indaur  mein  na  dehradun  men  
kuch  shahron  mein  jhagDon  kuch  mein  puja  ke  samachar  hain  
ek  sansmran  mein  lekhak  divaron  ko  dekhta  
rikshe  vale  ke  sharir  ka  svar  sunta  hai  
indaur  mein  kiraye  ka  makan  loon  to  jaldi  
hi  bhitari  saDkon,  zaruri  dukanon  ka  jaan  lunga  
aur  ajnabi  nahin  lagunga  
shahron  ke  namon  ko  dhoop  mein  tapte  
barish  mein  bhigte  dekhta  hoon  
suraj  asman  thapthapate  hue  aata  hai  
din  bhar  thaharta  hai,  log  sine  mein  hriday  
ki  tarah  dhaDakte  hain.  
 
    
 
    
        स्रोत : 
                
                        पुस्तक  : सुनता हूँ पानी गिरने की आवाज़ (पृष्ठ 15)संपादक  : 2000 रचनाकार  : राजेश सकलानी 
                             प्रकाशन  : सार्थक प्रकाशन
                         
                                     
                
                
     
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
 
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.