खड़ा हुआ हूँ फेन उगलती पर्वत-सरिता के तट पर
मेरे नीचे हिम-आच्छादित काकेशस के शृंग-शिखर,
किसी दूर की चोटी से ऊँचा उक़ाब नभ में उड़कर
मेरे बहुत निकट मँडराता निज पंखों को निश्चल कर।
स्रोत दिखाई देते जिनसे निकलें नद, नाले, निर्भर
टूट गिरें चट्टानें नीचे, बड़े-बड़े भारी पत्थर।
मेरे नीचे बड़े चैन से, सुख से तैर रहे बादल
जल-प्रपात का उनमें से ही गूँज रहा है कोलाहल,
उनके नीचे नग्न-निपत्ती चट्टातें हैं बड़ी-बड़ी
सूखे झाड़ खड़े कुछ नीचे, है काई की परत चढ़ी,
वहाँ कुंज, झुरमुट-वृक्षों के, छाया, हरियाली अभिनव
हिरन मस्त हो भरें चौकड़ी, वहाँ खगों का रव-कलरव।
नीचे, वहीं पहाड़ों में ही घर हैं जिनमें लोग रहें
हरी-भरी ढालों पर चरतीं, मानो रेंग रही भेड़ें,
वह देखो, सुंदर घाटी में चला जा रहा चरवाहा
छायादार तटों में बँधकर जहाँ बह रही अरागवा
कोई निर्धन घुड़सवार, नीचे, दर्रे में जाता है
तेरेक दरिया जहाँ उछलता, भारी शोर मचाता है।
उछल-कूद वैसे ही करता, वैसे ही चिल्लाता है
देख मांस, बंदी हिंसक-पशु, सब्र न ज्यों कर पाता है।
व्यर्थ क्रोध से पागल होकर, वह तट से टकराता है
भूखी लहरों से चट्टानें चाट लौट वह आता है
क्षुधा-तृप्ति से रहे अपरिचित, वह ख़ुशियों से वंचित है
उसके चारों ओर मूक-चट्टानों का बल संचित है।
इसी तरह मस्ती, आज़ादी को क़ानून दबाते हैं
विद्रोही जन दमन चक्र से सत्ता की पिस जाते हैं,
इसी तरह से आज मौन काकेशस पीड़ा सहन करे
और पराया जुआ विवश अपने कंधों पर वहन करे।
khaDa hua hoon phen ugalti parvat sarita ke tat par
mere niche him achchhadit kakeshas ke shring shikhar,
kisi door ki choti se uncha uqaab nabh mein uDkar
mere bahut nikat manDrata nij pankhon ko nishchal kar.
srot dikhai dete jinse niklen nad, nale, nirbhar
toot giren chattanen niche, baDe baDe bhari patthar.
mere niche baDe chain se, sukh se tair rahe badal
jal prapat ka unmen se hi goonj raha hai kolahal,
unke niche nagn nipatti chattaten hain baDi baDi
sukhe jhaaD khaDe kuch niche, hai kai ki parat chaDhi,
vahan kunj, jhurmut vrikshon ke, chhaya, hariyali abhinav
hiran mast ho bharen chaukDi, vahan khagon ka rav kalrav.
niche, vahin pahaDon mein hi ghar hain jinmen log rahen
hari bhari Dhalon par chartin, mano reng rahi bheDen,
wo dekho, sundar ghati mein chala ja raha charvaha
chhayadar taton mein bandhakar jahan bah rahi aragva
koi nirdhan ghuDasvar, niche, darre mein jata hai
terek dariya jahan uchhalta, bhari shor machata hai.
uchhal kood vaise hi karta, vaise hi chillata hai
dekh maans, bandi hinsak pashu, sabr na jyon kar pata hai.
vyarth krodh se pagal hokar, wo tat se takrata hai
bhukhi lahron se chattanen chaat laut wo aata hai
kshudha tripti se rahe aprichit, wo khushiyon se vanchit hai
uske charon or mook chattanon ka bal sanchit hai.
isi tarah masti, azadi ko qanun dabate hain
vidrohi jan daman chakr se satta ki pis jate hain,
isi tarah se aaj maun kakeshas piDa sahn kare
aur paraya jua vivash apne kandhon par vahn kare.

स्रोत :
पुस्तक : अलेक्सान्द्र पूश्किन चुनी हुई रचनाएँ (खंड-1) (पृष्ठ 29)
रचनाकार : अलेक्सान्द्र पूश्किन
प्रकाशन : प्रगति प्रकाशन, मास्को
संस्करण : 1982
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.