कौन  जात  हो  भाई?  
“दलित  हैं  साब!”  
नहीं  मतलब  किसमें  आते  हो?  
आपकी  गाली  में  आते  हैं  
गंदी  नाली  में  आते  हैं  
और  अलग  की  हुई  थाली  में  आते  हैं  साब!  
मुझे  लगा  हिंदू  में  आते  हो!  
आता  हूँ  न  साब!  पर  आपके  चुनाव  में।  
क्या  खाते  हो  भाई?  
“जो  एक  दलित  खाता  है  साब!”  
नहीं  मतलब  क्या-क्या  खाते  हो?  
आपसे  मार  खाता  हूँ  
क़र्ज़  का  भार  खाता  हूँ  
और  तंगी  में  नून  तो  कभी  अचार  खाता  हूँ  साब!  
नहीं  मुझे  लगा  कि  मुर्ग़ा  खाते  हो!  
खाता  हूँ  न  साब!  पर  आपके  चुनाव  में।  
क्या  पीते  हो  भाई?  
“जो  एक  दलित  पीता  है  साब!  
नहीं  मतलब  क्या-क्या  पीते  हो?  
छुआ-छूत  का  ग़म  
टूटे  अरमानों  का  दम  
और  नंगी  आँखों  से  देखा  गया  सारा  भरम  साब!  
मुझे  लगा  शराब  पीते  हो!  
पीता  हूँ  न  साब!  पर  आपके  चुनाव  में।  
क्या  मिला  है  भाई  
“जो  दलितों  को  मिलता  है  साब!  
नहीं  मतलब  क्या-क्या  मिला  है?  
ज़िल्लत  भरी  ज़िंदगी  
आपकी  छोड़ी  हुई  गंदगी  
और  तिस  पर  भी  आप  जैसे  परजीवियों  की  बंदगी  साब!  
मुझे  लगा  वादे  मिले  हैं!  
मिलते  हैं  न  साब!  पर  आपके  चुनाव  में।  
क्या  किया  है  भाई?  
“जो  दलित  करता  है  साब!  
नहीं  मतलब  क्या-क्या  किया  है?  
सौ  दिन  तालाब  में  काम  किया  
पसीने  से  तर  सुबह  को  शाम  किया  
और  आते  जाते  ठाकुरों  को  सलाम  किया  साब!  
मुझे  लगा  कोई  बड़ा  काम  किया!  
किया  है  न  साब!  आपके  चुनाव  का  प्रचार!”  
                kaun  jaat  ho  bhai?  
“dalit  hain  saab!”  
nahin  matlab  kismen  aate  ho?  
apaki  gali  mein  aate  hain  
gandi  nali  mein  aate  hain  
aur  alag  ki  hui  thali  mein  aate  hain  saab!  
mujhe  laga  hindu  mein  aate  ho!  
aata  hoon  na  saab!  par  aapke  chunav  mein.  
kya  khate  ho  bhai?  
“jo  ek  dalit  khata  hai  saab!”  
nahin  matlab  kya  kya  khate  ho?  
aapse  maar  khata  hoon  
karz  ka  bhaar  khata  hoon  
aur  tangi  mein  noon  to  kabhi  achar  khata  hoon  saab!  
nahin  mujhe  laga  ki  murga  khate  ho!  
khata  hoon  na  saab!  par  aapke  chunav  mein.  
kya  pite  ho  bhai?  
“jo  ek  dalit  pita  hai  saab!  
nahin  matlab  kya  kya  pite  ho?  
chhua  chhoot  ka  gham  
tute  armanon  ka  dam  
aur  nangi  ankhon  se  dekha  gaya  sara  bharam  saab!  
mujhe  laga  sharab  pite  ho!  
pita  hoon  na  saab!  par  aapke  chunav  mein.  
kya  mila  hai  bhai  
“jo  daliton  ko  milta  hai  saab!  
nahin  matlab  kya  kya  mila  hai?  
zillat  bhari  zindagi  
apaki  chhoDi  hui  gandgi  
aur  tis  par  bhi  aap  jaise  parjiviyon  ki  bandgi  saab!  
mujhe  laga  vade  mile  hain!  
milte  hain  na  saab!  par  aapke  chunav  mein.  
kya  kiya  hai  bhai?  
“jo  dalit  karta  hai  saab!  
nahin  matlab  kya  kya  kiya  hai?  
sau  din  talab  mein  kaam  kiya  
pasine  se  tar  subah  ko  shaam  kiya  
aur  aate  jate  thakuron  ko  salam  kiya  saab!  
mujhe  laga  koi  baDa  kaam  kiya!  
kiya  hai  na  saab!  aapke  chunav  ka  parchar!”  
kaun  jaat  ho  bhai?  
“dalit  hain  saab!”  
nahin  matlab  kismen  aate  ho?  
apaki  gali  mein  aate  hain  
gandi  nali  mein  aate  hain  
aur  alag  ki  hui  thali  mein  aate  hain  saab!  
mujhe  laga  hindu  mein  aate  ho!  
aata  hoon  na  saab!  par  aapke  chunav  mein.  
kya  khate  ho  bhai?  
“jo  ek  dalit  khata  hai  saab!”  
nahin  matlab  kya  kya  khate  ho?  
aapse  maar  khata  hoon  
karz  ka  bhaar  khata  hoon  
aur  tangi  mein  noon  to  kabhi  achar  khata  hoon  saab!  
nahin  mujhe  laga  ki  murga  khate  ho!  
khata  hoon  na  saab!  par  aapke  chunav  mein.  
kya  pite  ho  bhai?  
“jo  ek  dalit  pita  hai  saab!  
nahin  matlab  kya  kya  pite  ho?  
chhua  chhoot  ka  gham  
tute  armanon  ka  dam  
aur  nangi  ankhon  se  dekha  gaya  sara  bharam  saab!  
mujhe  laga  sharab  pite  ho!  
pita  hoon  na  saab!  par  aapke  chunav  mein.  
kya  mila  hai  bhai  
“jo  daliton  ko  milta  hai  saab!  
nahin  matlab  kya  kya  mila  hai?  
zillat  bhari  zindagi  
apaki  chhoDi  hui  gandgi  
aur  tis  par  bhi  aap  jaise  parjiviyon  ki  bandgi  saab!  
mujhe  laga  vade  mile  hain!  
milte  hain  na  saab!  par  aapke  chunav  mein.  
kya  kiya  hai  bhai?  
“jo  dalit  karta  hai  saab!  
nahin  matlab  kya  kya  kiya  hai?  
sau  din  talab  mein  kaam  kiya  
pasine  se  tar  subah  ko  shaam  kiya  
aur  aate  jate  thakuron  ko  salam  kiya  saab!  
mujhe  laga  koi  baDa  kaam  kiya!  
kiya  hai  na  saab!  aapke  chunav  ka  parchar!”  
 
    
 
    
        स्रोत : 
                
                                                                    रचनाकार  : बच्चा लाल 'उन्मेष' 
                             प्रकाशन  : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
                         
                                     
                
                
     
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
 
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.