दौड़ते  रहे  मुश्ताक़  मियाँ  बेचारे  
ढाबा  चलाते  थे  
लाखों  लोगों  को  अब  तक  खिला  चुके  थे  
गोश्त  रोटी  तरकारी  दाल  सलाद  
कौन  नहीं  आता  था  बैठता  था  उनकी  बेंच  पर  
पीता  था  पानी  मिटाता  था  थकान  और  भूख  
उन्हें  क्या  पता  था  आज  बदल  चुके  हैं  
सारे  पते  ठिकाने  दोस्तों  के  
सबके  दिल  पत्थर  हो  चुके  हैं  
सब  छोड़  भागना  पड़ेगा  कब  सोचा  था  उन्होंने  
और  भागने  पर  नहीं  मिलेगा  कोई  ठिकाना  
कि  लें  साँस  ठहर  कर  
भागने  की  अब  वैसी  उम्र  भी  नहीं  थी  साठ  के  बाद  
ऊपर  से  दिल  की  बीमारी  अलग  से  लगी  हुई  थी  
सिवा  गिर  जाने  के  अब  कोई  
रास्ता  न  बचा  था  
सो  गिर  पड़े  मुश्ताक़  मियाँ  
फिर  सोचा  जिन्हें  इतनी  प्यास  है  उनके  ख़ून  की  
वे  आवें  बीच  सड़क  पर  कर  लें  दो  हिस्से  
उनके  जिस्म  के  
लेकिन  दंगाइयों  की  तो  कुछ  और  ही  मंशा  थी  
अब  जिस्म  को  लहूलुहान  करना  काटना  बीच  से  
नाकाफ़ी  था  
अब  तो  उसे  जलाकर  ख़ाक  भी  कर  देना  था  
अब  तक  बहुत  कुछ  जो  इसलिए  ज़िंदा  था  
कि  वह  इंसानियत  का  हिस्सा  था  
उसे  राख  ही  होना  था  
मुश्ताक़  मियाँ  ख़ाक  हुए  
इंसानियत  भी  राख  हुई  
और  वह  तलवार  जिससे  वह  चीरे  गए  
अब  तक  सड़क  पर  नाच  रही  है  
आग  को  बुला  रही  है  
             
                dauDte  rahe  mushtaq  miyan  bechare  
Dhaba  chalate  the  
lakhon  logon  ko  ab  tak  khila  chuke  the  
gosht  roti  tarkari  dal  salad  
kaun  nahin  aata  tha  baithta  tha  unki  bench  par  
pita  tha  pani  mitata  tha  thakan  aur  bhookh  
unhen  kya  pata  tha  aaj  badal  chuke  hain  
sare  pate  thikane  doston  ke  
sabke  dil  patthar  ho  chuke  hain  
sab  chhoD  bhagna  paDega  kab  socha  tha  unhonne  
aur  bhagne  par  nahin  milega  koi  thikana  
ki  len  sans  thahar  kar  
bhagne  ki  ab  waisi  umr  bhi  nahin  thi  sath  ke  baad  
upar  se  dil  ki  bimari  alag  se  lagi  hui  thi  
siwa  gir  jane  ke  ab  koi  
rasta  na  bacha  tha  
so  gir  paDe  mushtaq  miyan  
phir  socha  jinhen  itni  pyas  hai  unke  khoon  ki  
we  awen  beech  saDak  par  kar  len  do  hisse  
unke  jism  ke  
lekin  dangaiyon  ki  to  kuch  aur  hi  mansha  thi  
ab  jism  ko  lahuluhan  karna  katna  beech  se  
nakafi  tha  
ab  to  use  jalakar  khak  bhi  kar  dena  tha  
ab  tak  bahut  kuch  jo  isliye  zinda  tha  
ki  wo  insaniyat  ka  hissa  tha  
use  rakh  hi  hona  tha  
mushtaq  miyan  khak  hue  
insaniyat  bhi  rakh  hui  
aur  wo  talwar  jisse  wo  chire  gaye  
ab  tak  saDak  par  nach  rahi  hai  
ag  ko  bula  rahi  hai  
dauDte  rahe  mushtaq  miyan  bechare  
Dhaba  chalate  the  
lakhon  logon  ko  ab  tak  khila  chuke  the  
gosht  roti  tarkari  dal  salad  
kaun  nahin  aata  tha  baithta  tha  unki  bench  par  
pita  tha  pani  mitata  tha  thakan  aur  bhookh  
unhen  kya  pata  tha  aaj  badal  chuke  hain  
sare  pate  thikane  doston  ke  
sabke  dil  patthar  ho  chuke  hain  
sab  chhoD  bhagna  paDega  kab  socha  tha  unhonne  
aur  bhagne  par  nahin  milega  koi  thikana  
ki  len  sans  thahar  kar  
bhagne  ki  ab  waisi  umr  bhi  nahin  thi  sath  ke  baad  
upar  se  dil  ki  bimari  alag  se  lagi  hui  thi  
siwa  gir  jane  ke  ab  koi  
rasta  na  bacha  tha  
so  gir  paDe  mushtaq  miyan  
phir  socha  jinhen  itni  pyas  hai  unke  khoon  ki  
we  awen  beech  saDak  par  kar  len  do  hisse  
unke  jism  ke  
lekin  dangaiyon  ki  to  kuch  aur  hi  mansha  thi  
ab  jism  ko  lahuluhan  karna  katna  beech  se  
nakafi  tha  
ab  to  use  jalakar  khak  bhi  kar  dena  tha  
ab  tak  bahut  kuch  jo  isliye  zinda  tha  
ki  wo  insaniyat  ka  hissa  tha  
use  rakh  hi  hona  tha  
mushtaq  miyan  khak  hue  
insaniyat  bhi  rakh  hui  
aur  wo  talwar  jisse  wo  chire  gaye  
ab  tak  saDak  par  nach  rahi  hai  
ag  ko  bula  rahi  hai  
 
             
    
 
    
        स्रोत : 
                
                        पुस्तक  : नींद थी और रात थी (पृष्ठ 107) 
                                                                    रचनाकार  : सविता सिंह  
                                            
                             प्रकाशन  : राधाकृष्ण प्रकाशन
                         
                                                संस्करण   : 2005 
                 
                
                
     
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
 
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.