औरत  को  चाहिए  थी  महज़  एक  जेब  
उसमें  चंद  खनकते  सिक्के  
सिक्कों  के  बल  पर  आज़ाद  करने  थे  
कुछ  ऐसे  पंछी   
जो  पीढ़ी  दर  पीढी़  
किसी  महान  षड्यंत्र  के  तहत  
होते  आए  थे  क़ैद   
चाभियाँ  पल्लू  में  बाँध  
नहीं  भाता  उन्हें  रानियों  का  स्वाँग  
उन  चभियों  ने  बंद  कर  रखे  हैं  
कई  क़ीमती  संदूक़  
जिनमें  बंद  हैं  
ख़ुद  रानियाँ  ही  
धूल  फाँक  रहीं  गहनों  की  
किसी  हीरे  किसी  मोती  की  चमक  
नहीं  कर  रही  उनके  जीवन  में  उजाला  
उजाले  के  लिए  उन्हें  
निकलना  होगा  इन  कीमती  संदूक़ों  से  बाहर  
रगड़ने  होंगे  तलवे  जलती  मिट्टी  पर  
इस  रगड़  से  ही  बनते  हैं  
रोशन  सिक्के  
उन  सिक्कों  को  मारना  होगा  
उस  आदमी  के  मुँह  पर  
जो  कहता  है  
कि  घर  में  पड़ी  औरत  मुफ़्त  तोड़ती  है  रोटियाँ  
दरअस्ल,  तुमने  थमा  दीं  औरत  को  चाभियाँ  
बना  दिया  उन्हें  रानियाँ  
केवल  इसलिए  
कि  तुम्हें  
औरत  के  पैर  की  रगड़  से  निकले  
सिक्कों  से  डर  लगता  है  
कि  तुम्हें  औरत  की  जेब  से  डर  लगता  है।  
             
                aurat  ko  chahiye  thi  mahz  ek  jeb  
usmen  chand  khanakte  sikke  
sikkon  ke  bal  par  azad  karne  the  
kuch  aise  panchhi  
jo  piDhi  dar  piDhi  
kisi  mahan  shaDyantr  ke  tahat  
hote  aaye  the  qaid  
chabhiyan  pallu  mein  baandh  
nahin  bhata  unhen  raniyon  ka  svaang  
un  chabhiyon  ne  band  kar  rakhe  hain  
kai  qimti  sanduk  
jinmen  band  hain  
khud  raniyan  hi  
dhool  phaank  rahin  gahnon  ki  
kisi  hire  kisi  moti  ki  chamak  
nahin  kar  rahi  unke  jivan  mein  ujala  
ujale  ke  liye  unhen  
nikalna  hoga  in  kimti  sandukon  se  bahar  
ragaDne  honge  talve  jalti  mitti  par  
is  ragaD  se  hi  bante  hain  
roshan  sikke  
un  sikkon  ko  marana  hoga  us  adami  ke  munh  par  
jo  kahta  hai  
ki  ghar  mein  paDi  aurat  muft  toDti  hai  rotiyan  
darasal  tumne  thama  di  aurat  ko  chabhiyan  
bana  diya  unhen  raniyan  
keval  isliye  
ki  tumhen  
aurat  ke  pair  ki  ragaD  se  nikle  
sikkon  se  Dar  lagta  hai  
ki  tumhein  aurat  ki  jeb  se  Dar  lagta  hai.  
aurat  ko  chahiye  thi  mahz  ek  jeb  
usmen  chand  khanakte  sikke  
sikkon  ke  bal  par  azad  karne  the  
kuch  aise  panchhi  
jo  piDhi  dar  piDhi  
kisi  mahan  shaDyantr  ke  tahat  
hote  aaye  the  qaid  
chabhiyan  pallu  mein  baandh  
nahin  bhata  unhen  raniyon  ka  svaang  
un  chabhiyon  ne  band  kar  rakhe  hain  
kai  qimti  sanduk  
jinmen  band  hain  
khud  raniyan  hi  
dhool  phaank  rahin  gahnon  ki  
kisi  hire  kisi  moti  ki  chamak  
nahin  kar  rahi  unke  jivan  mein  ujala  
ujale  ke  liye  unhen  
nikalna  hoga  in  kimti  sandukon  se  bahar  
ragaDne  honge  talve  jalti  mitti  par  
is  ragaD  se  hi  bante  hain  
roshan  sikke  
un  sikkon  ko  marana  hoga  us  adami  ke  munh  par  
jo  kahta  hai  
ki  ghar  mein  paDi  aurat  muft  toDti  hai  rotiyan  
darasal  tumne  thama  di  aurat  ko  chabhiyan  
bana  diya  unhen  raniyan  
keval  isliye  
ki  tumhen  
aurat  ke  pair  ki  ragaD  se  nikle  
sikkon  se  Dar  lagta  hai  
ki  tumhein  aurat  ki  jeb  se  Dar  lagta  hai.  
 
             
    
 
    
        स्रोत : 
                
                                                                    रचनाकार  : अदीबा ख़ानम  
                                            
                             प्रकाशन  : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
                         
                                     
                
                
     
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
 
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.