तुम  एक  पिछड़े  हुए  वक्ता  हो।  
तुम  एक  ऐसे  विरोध  की  भाषा  में  बोलते  हो  
जैसे  राजाओं  का  विरोध  कर  रहे  हो!  
एक  ऐसे  समय  की  भाषा  
जब  संसद  का  जन्म  नहीं  हुआ  था!  
तुम  क्या  सोचते  हो  
संसद  ने  विरोध  की  भाषा  और  सामग्री  को  
वैसा  ही  रहने  दिया  
जैसी  वह  राजाओं  के  ज़माने  में  थी?  
यह  जो  आदमी  
मेज़  की  दूसरी  ओर  सुन  रहा  है  तुम्हें  
कितने  क़रीब  से  और  ध्यान  से  
यह  राजा  नहीं  है  ज़िलाधीश  है!  
यह  ज़िलाधीश  है  
जो  राजाओं  से  आम  तौर  पर  
बहुत  ज़्यादा  शिक्षित  है  
राजाओं  से  ज़्यादा  तत्पर  और  संलग्न!  
यह  दूर  किसी  क़िले  में—ऐश्वर्य  की  निर्जनता  में  नहीं  
हमारी  गलियों  में  पैदा  हुआ  एक  लड़का  है।  
यह  हमारी  असफलताओं  और  ग़लतियों  के  
बीच  पला  है  
यह  जानता  है  हमारे  साहस  और  लालच  को  
राजाओं  से  बहुत  ज़्यादा  धैर्य  और  चिंता  है  इसके  पास!  
यह  ज़्यादा  भ्रम  पैदा  कर  सकता  है  
यह  ज़्यादा  अच्छी  तरह  हमें  आज़ादी  से  
दूर  रख  सकता  है।  
कड़ी  
कड़ी  निगरानी  चाहिए  
सरकार  के  इस  बेहतरीन  दिमाग़  पर!  
कभी-कभी  तो  इसे  सीखना  भी  पड़  सकता  है!  
                tum  ek  pichhDe  hue  wakta  ho  
tum  ek  aise  wirodh  ki  bhasha  mein  bolte  ho  
jaise  rajaon  ka  wirodh  kar  rahe  ho!  
ek  aise  samay  ki  bhasha  
jab  sansad  ka  janm  nahin  hua  tha!  
tum  kya  sochte  ho  
sansad  ne  wirodh  ki  bhasha  aur  samagri  ko  
waisa  hi  rahne  diya  
jaisi  wo  rajaon  ke  zamane  mein  thee?  
ye  jo  adami  
mez  ki  dusri  or  sun  raha  hai  tumhein  
kitne  qarib  se  aur  dhyan  se  
ye  raja  nahin  hai  ziladhish  hai!  
ye  ziladhish  hai  
jo  rajaon  se  aam  taur  par  
bahut  zyada  shikshait  hai  
rajaon  se  zyada  tatpar  aur  sanlagn!  
ye  door  kisi  qile  mein—aishwary  ki  nirjanta  mein  nahin  
hamari  galiyon  mein  paida  hua  ek  laDka  hai  
ye  hamari  asaphaltaon  aur  ghalatiyon  ke  
beech  pala  hai  
ye  janta  hai  hamare  sahas  aur  lalach  ko  
rajaon  se  bahut  zyada  dhairya  aur  chinta  hai  iske  pas!  
ye  zyada  bhram  paida  kar  sakta  hai  
ye  zyada  achchhi  tarah  hamein  azadi  se  
door  rakh  sakta  hai  
kaDi  
kaDi  nigrani  chahiye  
sarkar  ke  is  behtarin  dimagh  par!  
kabhi  kabhi  to  ise  sikhna  bhi  paD  sakta  hai!  
tum  ek  pichhDe  hue  wakta  ho  
tum  ek  aise  wirodh  ki  bhasha  mein  bolte  ho  
jaise  rajaon  ka  wirodh  kar  rahe  ho!  
ek  aise  samay  ki  bhasha  
jab  sansad  ka  janm  nahin  hua  tha!  
tum  kya  sochte  ho  
sansad  ne  wirodh  ki  bhasha  aur  samagri  ko  
waisa  hi  rahne  diya  
jaisi  wo  rajaon  ke  zamane  mein  thee?  
ye  jo  adami  
mez  ki  dusri  or  sun  raha  hai  tumhein  
kitne  qarib  se  aur  dhyan  se  
ye  raja  nahin  hai  ziladhish  hai!  
ye  ziladhish  hai  
jo  rajaon  se  aam  taur  par  
bahut  zyada  shikshait  hai  
rajaon  se  zyada  tatpar  aur  sanlagn!  
ye  door  kisi  qile  mein—aishwary  ki  nirjanta  mein  nahin  
hamari  galiyon  mein  paida  hua  ek  laDka  hai  
ye  hamari  asaphaltaon  aur  ghalatiyon  ke  
beech  pala  hai  
ye  janta  hai  hamare  sahas  aur  lalach  ko  
rajaon  se  bahut  zyada  dhairya  aur  chinta  hai  iske  pas!  
ye  zyada  bhram  paida  kar  sakta  hai  
ye  zyada  achchhi  tarah  hamein  azadi  se  
door  rakh  sakta  hai  
kaDi  
kaDi  nigrani  chahiye  
sarkar  ke  is  behtarin  dimagh  par!  
kabhi  kabhi  to  ise  sikhna  bhi  paD  sakta  hai!  
 
    
 
    
        स्रोत : 
                
                        पुस्तक  : दुनिया रोज़ बनती है (पृष्ठ 47)रचनाकार  : आलोकधन्वा 
                             प्रकाशन  : राजकमल प्रकाशन
                         
                                                संस्करण   : 2015 
                
                
     
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
 
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.