क्या है ये उड़ान ज़िंदगी और उसके होने के बीच?
ये कँपकँपी एक ख़ाकी टोपी की तरह?
ये आकाश खुलता है जो लोहे की तरह
लाल सुर्ख़ युद्ध में
या मृत्यु का बिंदु? क्यों
हम काम करते हैं तुम्हारे लिए आकाश?
क्यों हम भरते हैं तुम्हारे कपड़े उस सब से जो उगता है?
तुम इंतज़ार करते हो मौत का
मैं इंतज़ार करता हूँ जीत का
किसी ने रोप दी है सुंदरता मेरे दिल में
किसी ने हिला दिया है मेरा दर्द
ऊपर नीचे पीछे आगे किसी ने
घेर लिया है मेरे दिल को सुंदरता से
अगर वो सुंदरता गाती है रात में
मेरे दिल पर फैली हुई रात
मेरा दिल फैला हुआ मेरे देश पर
सब कुछ लिपटा हुआ दहकते सौंदर्य में
अगर ये सुंदरता अपना हाथ दुर्भाग्य के विरुद्ध खोल देती है
डायना के स्तनों के दो प्रेमिल स्पर्शों की तरह
स्तन जो मेरे देश के ऊपर घूमते हैं
देश जो स्तन की तरह घूमता है रातों में
कुछ पतझड़ अभी आने वाले हैं
वे भगवान को दिलासा देंगे / उसके दुख के क्षणों में
वो किसी बूढ़े भाव की तरह विकसित होंगे
दक्षिण की प्रसन्नता में डायना दो सूर्य होगी।
kya hai ye uDaan zindagi aur uske hone ke beech?
ye kanpkanpi ek khaki topi ki tarah?
ye akash khulta hai jo lohe ki tarah
laal surkh yuddh men
ya mrityu ka bindu? kyon
hum kaam karte hain tumhare liye akash?
kyon hum bharte hain tumhare kapDe us sab se jo ugta hai?
tum intzaar karte ho maut ka
main intzaar karta hoon jeet ka
kisi ne rop di hai sundarta mere dil men
kisi ne hila diya hai mera dard
uupar niche pichhe aage kisi ne
gher liya hai mere dil ko sundarta se
agar wo sundarta gati hai raat men
mere dil par phaili hui raat
mera dil phaila hua mere desh par
sab kuch lipta hua dahakte saundarya men
agar ye sundarta apna haath durbhagya ke viruddh khol deti hai
Dayna ke stnon ke do premil sparshon ki tarah
stan jo mere desh ke uupar ghumte hain
desh jo stan ki tarah ghumta hai raton men
kuch patjhaD abhi aane vale hain
ve bhagvan ko dilasa denge / uske dukh ke kshnon men
wo kisi buDhe bhaav ki tarah viksit honge
dakshin ki prasannata mein Dayna do surya hogi.
kya hai ye uDaan zindagi aur uske hone ke beech?
ye kanpkanpi ek khaki topi ki tarah?
ye akash khulta hai jo lohe ki tarah
laal surkh yuddh men
ya mrityu ka bindu? kyon
hum kaam karte hain tumhare liye akash?
kyon hum bharte hain tumhare kapDe us sab se jo ugta hai?
tum intzaar karte ho maut ka
main intzaar karta hoon jeet ka
kisi ne rop di hai sundarta mere dil men
kisi ne hila diya hai mera dard
uupar niche pichhe aage kisi ne
gher liya hai mere dil ko sundarta se
agar wo sundarta gati hai raat men
mere dil par phaili hui raat
mera dil phaila hua mere desh par
sab kuch lipta hua dahakte saundarya men
agar ye sundarta apna haath durbhagya ke viruddh khol deti hai
Dayna ke stnon ke do premil sparshon ki tarah
stan jo mere desh ke uupar ghumte hain
desh jo stan ki tarah ghumta hai raton men
kuch patjhaD abhi aane vale hain
ve bhagvan ko dilasa denge / uske dukh ke kshnon men
wo kisi buDhe bhaav ki tarah viksit honge
dakshin ki prasannata mein Dayna do surya hogi.
स्रोत :
पुस्तक : सूखी नदी पर ख़ाली नाव (पृष्ठ 395)
संपादक : वंशी माहेश्वरी
रचनाकार : युआन गेलमान
प्रकाशन : संभावना प्रकाशन
संस्करण : 2020
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.