तुम्हारा घर जिसे आराम कहते हैं
थकी-माँदी साँझ कहते हैं
एक तीली, एक दीपक, एक चुटकी
महक अगरू की लहरती दिन ढले की
रातरानी-सी गँधीली बात तेरी
बैठ जाती हृदय में
दिन ढले का एक सूरज कँपकँपाता
पानियों में याद आता तब
तुम्हारा घर जिसे आराम कहते हैं
एक तुलसी, एक बछिया, एक गाछ नीम की
मंदिर की घँटी से गूँज उठती प्रार्थना-सी
भरते अनाज-सा घर भर जाता तुमसे
फूलों की घाटी में उतर जाता जीवन
जीवन का बँटा हुआ अनायास काम सब
सुस्ताती दोपहर का आराम सब
आपस में
बतियाता तुम्हारा घर
जिसे आराम कहते हैं।
आह ये सब कल्पनाएँ मात्र हैं
स्वचालित यंत्रों में, तकनीकी बस्तों में
भटका कम्प्यूटरों में, सुविधा-संयंत्रों में
ढह गया
तुम्हारा घर जिसे आराम कहते हैं
tumhara ghar jise aram kahte hain
thaki mandi saanjh kahte hain
ek tili, ek dipak, ek chutki
mahak agru ki laharti din Dhale ki
ratrani si gandhili baat teri
baith jati hriday men
din Dhale ka ek suraj kanpknpata
paniyon mein yaad aata tab
tumhara ghar jise aram kahte hain
ek tulsi, ek bachhiya, ek gaachh neem ki
mandir ki ghanti se goonj uthti pararthna si
bharte anaj sa ghar bhar jata tumse
phulon ki ghati mein utar jata jivan
jivan ka banta hua anayas kaam sab
sustati dopahar ka aram sab
aapas men
batiyata tumhara ghar
jise aram kahte hain.
aah ye sab kalpnayen maatr hain
svachalit yantron mein, takniki baston men
bhatka kampyutron mein, suvidha sanyantron men
Dhah gaya
tumhara ghar jise aram kahte hain
tumhara ghar jise aram kahte hain
thaki mandi saanjh kahte hain
ek tili, ek dipak, ek chutki
mahak agru ki laharti din Dhale ki
ratrani si gandhili baat teri
baith jati hriday men
din Dhale ka ek suraj kanpknpata
paniyon mein yaad aata tab
tumhara ghar jise aram kahte hain
ek tulsi, ek bachhiya, ek gaachh neem ki
mandir ki ghanti se goonj uthti pararthna si
bharte anaj sa ghar bhar jata tumse
phulon ki ghati mein utar jata jivan
jivan ka banta hua anayas kaam sab
sustati dopahar ka aram sab
aapas men
batiyata tumhara ghar
jise aram kahte hain.
aah ye sab kalpnayen maatr hain
svachalit yantron mein, takniki baston men
bhatka kampyutron mein, suvidha sanyantron men
Dhah gaya
tumhara ghar jise aram kahte hain
स्रोत :
रचनाकार : आकाश वर्मा
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.