जैसे  खिड़की  पर  एक  दिन  
लौट  आती  है  चिड़िया  
जैसे  बीज  में  लौटता  है  एक  दिन  बीज—  
फूलों  को  याद  करते  हुए  
वैसे  ही  लौट  रहा  है  सर्दियों  का  मौसम  
कुहरे  के  कंबल  में  ठिठुरता  
स्मृतियों  से  लिपटा  और  उन्हीं  की  तरह  धुँधला  
लौट  रहा  है  सर्दियों  का  मौसम।  
कब  तक  रहा  जा  सकता  है  
ऊब  और  बेचैनी  से  लिपटकर  
हवा  में  धूप  की  तरह  घुलकर  
घूमा  जा  सकता  है  शहर  
हाथों  में  बीज  लिए  फैला  जा  सकता  है  
धरती  पर  हरियाली  की  तरह  
जमा  जा  सकता  है  काइयों  की  तरह—  
किसी  कूप  के  इर्द-गिर्द?  
जैसे  लौट  रहा  है  सर्दियों  का  मौसम  
वैसे  ही  लौटा  जा  सकता  है  
जैसे  खिड़की  पर  लौट  रही  है  चिड़िया  
जैसे  स्मृतियों  में  उतर  रही  है  धूप  
जैसे  रक्त  में  घुल  रही  है  आग  
जैसे  मनुष्य  के  भीतर  लौट  रहा  है  मनुष्य!  
             
                jaise  khiDki  par  ek  din  
laut  aati  hai  chiDiya  
jaise  beej  mein  lautta  hai  ek  din  beej—  
phulon  ko  yaad  karte  hue  
waise  hi  laut  raha  hai  sardiyon  ka  mausam  
kuhre  ke  kambal  mein  thithurta  
smritiyon  se  lipta  aur  unhin  ki  tarah  dhundhla  
laut  raha  hai  sardiyon  ka  mausam  
kab  tak  raha  ja  sakta  hai  
ub  aur  bechaini  se  lipatkar  
hawa  mein  dhoop  ki  tarah  ghulkar  
ghuma  ja  sakta  hai  shahr  
hathon  mein  beej  liye  phaila  ja  sakta  hai  
dharti  par  hariyali  ki  tarah  
jama  ja  sakta  hai  kaiyon  ki  tarah—  
kisi  koop  ke  ird  gird?  
jaise  laut  raha  hai  sardiyon  ka  mausam  
waise  hi  lauta  ja  sakta  hai  
jaise  khiDki  par  laut  rahi  hai  chiDiya  
jaise  smritiyon  mein  utar  rahi  hai  dhoop  
jaise  rakt  mein  ghul  rahi  hai  aag  
jaise  manushya  ke  bhitar  laut  raha  hai  manushya!  
jaise  khiDki  par  ek  din  
laut  aati  hai  chiDiya  
jaise  beej  mein  lautta  hai  ek  din  beej—  
phulon  ko  yaad  karte  hue  
waise  hi  laut  raha  hai  sardiyon  ka  mausam  
kuhre  ke  kambal  mein  thithurta  
smritiyon  se  lipta  aur  unhin  ki  tarah  dhundhla  
laut  raha  hai  sardiyon  ka  mausam  
kab  tak  raha  ja  sakta  hai  
ub  aur  bechaini  se  lipatkar  
hawa  mein  dhoop  ki  tarah  ghulkar  
ghuma  ja  sakta  hai  shahr  
hathon  mein  beej  liye  phaila  ja  sakta  hai  
dharti  par  hariyali  ki  tarah  
jama  ja  sakta  hai  kaiyon  ki  tarah—  
kisi  koop  ke  ird  gird?  
jaise  laut  raha  hai  sardiyon  ka  mausam  
waise  hi  lauta  ja  sakta  hai  
jaise  khiDki  par  laut  rahi  hai  chiDiya  
jaise  smritiyon  mein  utar  rahi  hai  dhoop  
jaise  rakt  mein  ghul  rahi  hai  aag  
jaise  manushya  ke  bhitar  laut  raha  hai  manushya!  
 
             
    
 
    
        स्रोत : 
                
                                                                    रचनाकार  : रवि प्रकाश  
                                            
                             प्रकाशन  : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
                         
                                     
                
                
     
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
 
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.