सुना  जाता  है   
पाँच  शताब्दी  पहले  आए  एक  तुर्क  ने   
ढहा  दिया  था  हमारे  आस्था  के  मंदिर  को   
धीरे-धीरे  यह  हवा  ज़र्रे-ज़र्रे  से  निकल   
समा  गई  हमारे  फेफड़ों  में   
फेफड़ों  में  भरी  हवा  का   
दबाव  इतना  इतना  बढ़  गया   
कि  ढह  गया  एक  और  आस्था  का  मंदिर   
कुछ  दशकों  बाद  एक  बार  फिर  से   
बढ़ने  लगा  फेफड़ों  में  भरी  हवा  का  दबाव   
इस  बार  हवा  सिर्फ़  फेफड़ों  में  ही  नहीं   
बल्कि  भरी  थी  सिंहासन  में  भी   
जिसका  असर  इस  कदर  हुआ  कि   
आस्था  का  ही  मंदिर  ही  नहीं   
बल्कि  लोगों  के  मंदिर  भी  टूटे  
किसी  की  छत  गई  
तो  किसी  की  ज़मीन   
लोग  बहुत  रोए  बिलखे   
बताने  की  कोशिश  की   
कि  उनके  फेफड़ों  में  भी  भरी  है  वही  हवा  
जांच  कराने  की  गुज़ारिश  भी  की  
पर  उनकी  एक  न  सुनी  गई   
आख़िर  सिंहासन  किसकी  सुनता  है।  
             
                suna  jata  hai  
paanch  shatabdi  pahle  aaye  ek  turk  ne  
Dhaha  diya  tha  hamare  astha  ke  mandir  ko  
dhire  dhire  ye  hava  zarre  zarre  se  nikal  
sama  gai  hamare  phephDon  men  
phephDon  mein  bhari  hava  ka  
dabav  itna  itna  baDh  gaya  
ki  Dhah  gaya  ek  aur  astha  ka  mandir  
kuch  dashkon  baad  ek  baar  phir  se  
baDhne  laga  phephDon  mein  bhari  hava  ka  dabav  
is  baar  hava  sirph  phephDon  mein  hi  nahin  
balki  bhari  thi  sinhasan  mein  bhi  
jiska  asar  is  kadar  hua  ki  
astha  ka  hi  mandir  hi  nahin  
balki  logon  ke  mandir  bhi  tute  
kisi  ki  chhat  gai  
to  kisi  ki  jamin  
log  bahut  roe  bilkhe  
batane  ki  koshish  ki  
ki  unke  phephDon  mein  bhi  bhari  hai  vahi  hava  
jaanch  karane  ki  gujarish  bhi  ki  
par  unki  ek  na  suni  gai  
akhir  sinhasan  kiski  sunta  hai.  
suna  jata  hai  
paanch  shatabdi  pahle  aaye  ek  turk  ne  
Dhaha  diya  tha  hamare  astha  ke  mandir  ko  
dhire  dhire  ye  hava  zarre  zarre  se  nikal  
sama  gai  hamare  phephDon  men  
phephDon  mein  bhari  hava  ka  
dabav  itna  itna  baDh  gaya  
ki  Dhah  gaya  ek  aur  astha  ka  mandir  
kuch  dashkon  baad  ek  baar  phir  se  
baDhne  laga  phephDon  mein  bhari  hava  ka  dabav  
is  baar  hava  sirph  phephDon  mein  hi  nahin  
balki  bhari  thi  sinhasan  mein  bhi  
jiska  asar  is  kadar  hua  ki  
astha  ka  hi  mandir  hi  nahin  
balki  logon  ke  mandir  bhi  tute  
kisi  ki  chhat  gai  
to  kisi  ki  jamin  
log  bahut  roe  bilkhe  
batane  ki  koshish  ki  
ki  unke  phephDon  mein  bhi  bhari  hai  vahi  hava  
jaanch  karane  ki  gujarish  bhi  ki  
par  unki  ek  na  suni  gai  
akhir  sinhasan  kiski  sunta  hai.  
 
             
    
 
    
        स्रोत : 
                
                                                                    रचनाकार  : माधव महेश  
                                            
                             प्रकाशन  : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
                         
                                     
                
                
     
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
 
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.