उन्हें  चाय  में  दिलचस्पी  थी  
मुझे  उसकी  भाप  में  
और  होटल  और  चाय  के  खेतों  में  
काम  करने  वाले  लोगों  में  
वे  समझते  थे  कि  
माचिस  की  तीली  से  आग  निकलती  है  
मुझे  पता  था  कि  
उससे  जान  निकलती  है  
वे  कवि  होना  चाहते  थे  
मैं  कविता  लिखना  चाहता  था  
उन्हें  बोलने  में  भरोसा  था  
मैं  चुप  रहने  में  यक़ीन  था  
वे  कहते  थे  कि  
पेड़ों  से  छाँह  मिलती  है  
मैं  कहता  था  कि  
पेड़ों  से  कुल्हाड़ियों  के  हत्थे  बनते  हैं  
पलंग,  कुर्सियाँ,  घर  के  दरवाज़े  
और  शवों  के  लिए  लकड़ियाँ  मुहैया  होती  हैं  
उनका  मानना  था  कि  
घर  सोने  के  लिए  जाया  जाता  है  
मैं  मानता  था  कि  घर  जागने  के  लिए  है  
और  अपने  कपड़े  बदलने  के  लिए  
और  वहाँ  से  कहीं  और  जाने  के  लिए  
वे  आँखों  और  कनखियों  पर  मरते  थे  
मुझे  आँखों  से  नश्तर  चुभते  थे  
वे  दर्द  से  दर्द  का  इलाज  करते  थे  
मैं  दर्द  में  कराहता  और  रोता  था  
वे  मुफ़्त  की  रोटियाँ  तोड़ते  थे  
मैं  पहले  रोटियाँ  बनाता  
फिर  उन्हें  बेचता  
और  फिर  अपना  पेट  भरता  था  
वे  कविताओं  के  लिए  
चाँद,  सूरज,  पत्ते,  फूल,  प्रेम  और  नदियाँ  चाहते  थे  
मुझे  लिखने  के  लिए  
चाक़ू,  ख़ंजर  और  नफ़रत  चाहिए  
हमारे  सोचने  के  तरीक़ों  में  
ज़मीन  और  आसमान  का  फ़र्क़  था  
और  यह  फ़र्क़  हम  दोनों  को  
इसी  ज़िंदगी  से  मिला  था  
                unhen  chay  mein  dilchaspi  thi  
mujhe  uski  bhap  mein  
aur  hotel  aur  chay  ke  kheton  mein  
kaam  karne  wale  logon  mein  
we  samajhte  the  ki  
machis  ki  tili  se  aag  nikalti  hai  
mujhe  pata  tha  ki  
usse  jaan  nikalti  hai  
we  kawi  hona  chahte  the  
main  kawita  likhna  chahta  tha  
unhen  bolne  mein  bharosa  tha  
main  chup  rahne  mein  yaqin  tha  
we  kahte  the  ki  
peDon  se  chhanh  milti  hai  
main  kahta  tha  ki  
peDon  se  kulhaDiyon  ke  hatthe  bante  hain  
palang,  kursiyan,  ghar  ke  darwaze  
aur  shawon  ke  liye  lakDiyan  muhaiya  hoti  hain  
unka  manna  tha  ki  
ghar  sone  ke  liye  jaya  jata  hai  
main  manata  tha  ki  ghar  jagne  ke  liye  hai  
aur  apne  kapDe  badalne  ke  liye  
aur  wahan  se  kahin  aur  jane  ke  liye  
we  ankhon  aur  kanakhiyon  par  marte  the  
mujhe  ankhon  se  nashtar  chubhte  the  
we  dard  se  dard  ka  ilaj  karte  the  
main  dard  mein  karahta  aur  rota  tha  
we  muft  ki  rotiyan  toDte  the  
main  pahle  rotiyan  banata  
phir  unhen  bechta  
aur  phir  apna  pet  bharta  tha  
we  kawitaon  ke  liye  
chand,  suraj,  patte,  phool,  prem  aur  nadiyan  chahte  the  
mujhe  likhne  ke  liye  
chaqu,  khanjar  aur  nafar  chahiye  
hamare  sochne  ke  tariqon  mein  
zamin  aur  asman  ka  farq  tha  
aur  ye  farq  hum  donon  ko  
isi  zindagi  se  mila  tha  
unhen  chay  mein  dilchaspi  thi  
mujhe  uski  bhap  mein  
aur  hotel  aur  chay  ke  kheton  mein  
kaam  karne  wale  logon  mein  
we  samajhte  the  ki  
machis  ki  tili  se  aag  nikalti  hai  
mujhe  pata  tha  ki  
usse  jaan  nikalti  hai  
we  kawi  hona  chahte  the  
main  kawita  likhna  chahta  tha  
unhen  bolne  mein  bharosa  tha  
main  chup  rahne  mein  yaqin  tha  
we  kahte  the  ki  
peDon  se  chhanh  milti  hai  
main  kahta  tha  ki  
peDon  se  kulhaDiyon  ke  hatthe  bante  hain  
palang,  kursiyan,  ghar  ke  darwaze  
aur  shawon  ke  liye  lakDiyan  muhaiya  hoti  hain  
unka  manna  tha  ki  
ghar  sone  ke  liye  jaya  jata  hai  
main  manata  tha  ki  ghar  jagne  ke  liye  hai  
aur  apne  kapDe  badalne  ke  liye  
aur  wahan  se  kahin  aur  jane  ke  liye  
we  ankhon  aur  kanakhiyon  par  marte  the  
mujhe  ankhon  se  nashtar  chubhte  the  
we  dard  se  dard  ka  ilaj  karte  the  
main  dard  mein  karahta  aur  rota  tha  
we  muft  ki  rotiyan  toDte  the  
main  pahle  rotiyan  banata  
phir  unhen  bechta  
aur  phir  apna  pet  bharta  tha  
we  kawitaon  ke  liye  
chand,  suraj,  patte,  phool,  prem  aur  nadiyan  chahte  the  
mujhe  likhne  ke  liye  
chaqu,  khanjar  aur  nafar  chahiye  
hamare  sochne  ke  tariqon  mein  
zamin  aur  asman  ka  farq  tha  
aur  ye  farq  hum  donon  ko  
isi  zindagi  se  mila  tha  
 
    
 
    
        स्रोत : 
                
                                                                    रचनाकार  : नवीन रांगियाल 
                             प्रकाशन  : हिन्दवी के लिए द्वारा चयनित
                         
                                     
                
                
     
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
 
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.