अग्नि-शैलमालिका परस्पर देतीं उत्तर,
प्रांत-प्रांत प्रतिध्वनित कड़क घोषों से जिनके।
होते जागृत झंझालोड़ित सिंधु परस्पर,
हिम के खंड चतुर्दिक ढहते शिशिरासन के,
उठते दीर्घ घोष जब विप्लव की दुंदुभि से!
शिखा तड़ित की चमक झमकती एक मेध से,
किंतु सहस्र द्वीपखंडों को द्युतिमय करती।
भस्मसात है एक नगर ही भूमिकंप ले,
किंतु एक रात में भयार्त्त वह कंपन भरती—
घोर गर्जना भू-अंतर में त्रस्त विहरती।।
किंतु तड़ित से तेरे दृग की शिखा प्रखर है,
भूमिकंप के डग ले तेरे पग हैं द्रुततर।
सिंधु-रोष को बधिर,अंध ज्वालामुखियों को—
करती सत्वर और अंशु की ज्योति प्रखरतर—
लगती धुँधियाती सीली तेरे समक्ष पर!
दिनकर-आतप, लहर और पर्वत-पठार से,
झंझा, वाष्प-पटल से ही छनकर आता है।
प्राण-प्राण से, राष्ट्र-राष्ट्र से और नगर से—
कुटिया तक, तेरा प्रभात ही मुस्काता है।
और निरंकुश, दास, रजनि की छायाएँ अब,
तेरे भोर उजाले के रथ के पीछे सब।
agni shailmalika paraspar detin uttar,
praant praant prtidhvnit kaDak ghoshon se jinke.
hote jagrit jhanjhaloDit sindhu paraspar,
him ke khanD chaturdik Dhahte shishirasan ke,
uthte deergh ghosh jab viplav ki dundubhi se!
shikha taDit ki chamak jhamakti ek medh se,
kintu sahasr dvipkhanDon ko dyutimay karti.
bhasmasat hai ek nagar hi bhumikamp le,
kintu ek raat mein bhayartt wo kampan bharti—
ghor garjana bhu antar mein trast viharti. .
kintu taDit se tere drig ki shikha prakhar hai,
bhumikamp ke Dag le tere pag hain druttar.
sindhu rosh ko badhir,andh jvalamukhiyon ko—
karti satvar aur anshu ki jyoti prakhartar—
lagti dhundhiyati sili tere samaksh par!
dinkar aatap, lahr aur parvat pathar se,
jhanjha, vaashp patal se hi chhankar aata hai.
praan praan se, raashtr raashtr se aur nagar se—
kutiya tak, tera parbhat hi muskata hai.
aur nirankush, daas, rajani ki chhayayen ab,
tere bhor ujale ke rath ke pichhe sab.

स्रोत :
पुस्तक : शेली
संपादक : यतेन्द्र कुमार
रचनाकार : पर्सी बिश शेली
प्रकाशन : भारत प्रकाशन मंदिर, अलीगढ़
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.