yaad aata ghar
gali, chaupal, kutte, memne, murghe, kabutar
neem taru par
sookh kar latki hui kaDwi turai ki bel
tuta chauntra
ukhDe int patthar
bedhuli poshak pahne ganw ke bhagwan
mandir
murti ban kar yaad ki
ghar lautne ki lalsa man mein jagate
gir rahi charon taraf hamdardiyon ki phuljhaDi
puchhta pratyek jan
nirlajjata ki wo kahani
jo hamare waste ho gai phuDiya purani
dard se bharpur
yudh ki warta sada hoti manohar
par hamein bhi chahiye ab pet bhar kar ann
shakti ko utpann karne ke liye auzar
kantkon ko katne ke waste hathiyar
o daya ke doot hum ko do fak do chaar genti au’ kudali
hum hamari is nai, man si dhara ke waksh mein se
khod kachchi dhatu apne shrey ke sikke bana len
is nae akash jal au’ wayu ke adhar par
phir se srijan ke beej Dalen
sukh sangit ki lahren baha len
do hamein wishwas apne bahubal ka
hum tabhi aage baDha haiwaniyat ki rakh ko
sat sagar par Dalen
hum hamesha bandiyon ke wastra si sharan ki
‘yachana sajja’ pahan
jite nahin rah payenge