हमारे  शब्द  
इस  मौसम  की  पहली  बारिश  में  
झिलमिलाती  पत्तियों  के  बीच  से  झाँकते  होते  हैं  
तुम्हारी  संगीनों  की  आहट  पर  
आँखें  बंद  कर  ले  जाते  हैं  
थोड़ी  देर  के  लिए  ही  लो,  
अर्थ  यह  क़तई  नहीं  बनता  कि  
हमारे  शब्द  आत्म-बलिदान  से  घबराते  फिरते  हैं  
बात  बिल्कुल  साफ़  है  कि  
अपनी  संगीनों  का  इन्हें  भी  इंतज़ार  है  
हमारे  शब्द  इस  मौसम  की  पहली  बारी  में  
अँखुआती  पत्तियों  से  पूछते  रहते  हैं  
छितनार  शंखाकार  होने  का  वक़्त  
कि  छिपकर  दुश्मन  को  छाप  ही  लें;  
हमारे  शब्द  कहीं  से  नहीं  हैं  उदासीन  
हमारे  शब्द  कहीं  से  नहीं  हैं  जड़मानवतावादी  
हमारे  शब्द  कहीं  से  नहीं  हैं  आतंकित  
हमारे  शब्द  कहीं  से  नहीं  हैं  घटना-शून्य  
हमारे  शब्द  अब  भी  अपनी  सेना  खड़ी  कर  ले  रहे  हैं  
हमारे  शब्द  बेशक  छापामार  हो  रहे  हैं  
घनांधकार  के  भीतर  ही  उत्तरोत्तर  बढ़ते  हुए  
हमारे  शब्दों  को  पता  है  कि  वे  कहाँ  क्या-क्या  हो  रहे  हैं  
घटनाशून्य-सी  लगती  हुई  
तुम्हारी  राजधानी  भी  यह  जानती  
हमारे  वाक्य  खंडित  नहीं  हैं  
तुम्हारी  भाषा  शिखंडित  हो  सकती  है  
हम  बिल्कुल  व्याकरणबद्ध  हो  रहे  हैं  
शैलीगत  हो  रहे  हैं  
भूमिगत  हो  रहे  हैं  
घनांधकार  के  भीतर  ही  भीतर  निरंतर  एक  नदी  बहती  होती  है  
पहला  बादल  ही  इसे  वेगवती  कर  ले  जाएगा  धरती  तक,  
अपनी  नाव  तो  दुष्ट  बहाव  के  विरुद्ध  बढ़ती  ही  जाएगी  
और  कुछ  नहीं  तो  
चट्टान  की  तरह  आग  के  अक्षर  छोड़  जाएगी  
             
                hamare  shabd  
is  mausam  ki  pahli  barish  mein  
jhilmilati  pattiyon  ke  beech  se  jhankte  hote  hain  
tumhari  sanginon  ki  aahat  par  
ankhen  band  kar  le  jate  hain  
thoDi  der  ke  liye  hi  lo,  
arth  ye  qati  nahin  banta  ki  
hamare  shabd  aatm  balidan  se  ghabrate  phirte  hain  
baat  bilkul  saf  hai  ki  
apni  sanginon  ka  inhen  bhi  intzar  hai  
hamare  shabd  is  mausam  ki  pahli  bari  mein  
ankhuati  pattiyon  se  puchhte  rahte  hain  
chhitnar  shankhakar  hone  ka  waqt  
ki  chhipkar  dushman  ko  chhap  hi  len;  
hamare  shabd  kahin  se  nahin  hain  udasin  
hamare  shabd  kahin  se  nahin  hain  jaDmanawtawadi  
hamare  shabd  kahin  se  nahin  hain  atankit  
hamare  shabd  kahin  se  nahin  hain  ghatna  shunya  
hamare  shabd  ab  bhi  apni  sena  khaDi  kar  le  rahe  hain  
hamare  shabd  beshak  chhapamar  ho  rahe  hain  
ghanandhkar  ke  bhitar  hi  uttarottar  baDhte  hue  
hamare  shabdon  ko  pata  hai  ki  we  kahan  kya  kya  ho  rahe  hain  
ghatnashunya  si  lagti  hui  
tumhari  rajdhani  bhi  ye  janti  
hamare  waky  khanDit  nahin  hain  
tumhari  bhasha  shikhanDit  ho  sakti  hai  
hum  bilkul  wyakaranbaddh  ho  rahe  hain  
shailigat  ho  rahe  hain  
bhumigat  ho  rahe  hain  
ghanandhkar  ke  bhitar  hi  bhitar  nirantar  ek  nadi  bahti  hoti  hai  
pahla  badal  hi  ise  wegawti  kar  le  jayega  dharti  tak,  
apni  naw  to  dusht  bahaw  ke  wiruddh  baDhti  hi  jayegi  
aur  kuch  nahin  to  
chattan  ki  tarah  aag  ke  akshar  chhoD  jayegi  
hamare  shabd  
is  mausam  ki  pahli  barish  mein  
jhilmilati  pattiyon  ke  beech  se  jhankte  hote  hain  
tumhari  sanginon  ki  aahat  par  
ankhen  band  kar  le  jate  hain  
thoDi  der  ke  liye  hi  lo,  
arth  ye  qati  nahin  banta  ki  
hamare  shabd  aatm  balidan  se  ghabrate  phirte  hain  
baat  bilkul  saf  hai  ki  
apni  sanginon  ka  inhen  bhi  intzar  hai  
hamare  shabd  is  mausam  ki  pahli  bari  mein  
ankhuati  pattiyon  se  puchhte  rahte  hain  
chhitnar  shankhakar  hone  ka  waqt  
ki  chhipkar  dushman  ko  chhap  hi  len;  
hamare  shabd  kahin  se  nahin  hain  udasin  
hamare  shabd  kahin  se  nahin  hain  jaDmanawtawadi  
hamare  shabd  kahin  se  nahin  hain  atankit  
hamare  shabd  kahin  se  nahin  hain  ghatna  shunya  
hamare  shabd  ab  bhi  apni  sena  khaDi  kar  le  rahe  hain  
hamare  shabd  beshak  chhapamar  ho  rahe  hain  
ghanandhkar  ke  bhitar  hi  uttarottar  baDhte  hue  
hamare  shabdon  ko  pata  hai  ki  we  kahan  kya  kya  ho  rahe  hain  
ghatnashunya  si  lagti  hui  
tumhari  rajdhani  bhi  ye  janti  
hamare  waky  khanDit  nahin  hain  
tumhari  bhasha  shikhanDit  ho  sakti  hai  
hum  bilkul  wyakaranbaddh  ho  rahe  hain  
shailigat  ho  rahe  hain  
bhumigat  ho  rahe  hain  
ghanandhkar  ke  bhitar  hi  bhitar  nirantar  ek  nadi  bahti  hoti  hai  
pahla  badal  hi  ise  wegawti  kar  le  jayega  dharti  tak,  
apni  naw  to  dusht  bahaw  ke  wiruddh  baDhti  hi  jayegi  
aur  kuch  nahin  to  
chattan  ki  tarah  aag  ke  akshar  chhoD  jayegi  
 
             
    
 
    
        स्रोत : 
                
                        पुस्तक  : आग के अक्षर (पृष्ठ 9) 
                                                                    रचनाकार  : शिवमंगल सिद्धांतकर  
                                            
                             प्रकाशन  : अधिकरण प्रकाशन
                         
                                                संस्करण   : 2019 
                 
                
                
     
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
 
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.