यह  सच  है  
कि  उसने  ख़ुद  कभी  नहीं  कहा  ऐसा  
पर  उसे  चाहिए  था  वह  सब  
जो  चाहिए  था  उस  जैसी  सबों  को  
मैं  एक  साथ  
चार  अलग-अलग  दिशाओं  में  गया  
एक  दिशा  में  
नदी  के  भीतर  की  सुरंग  से  होकर  
पर्वत  की  खोह  तक  पहुँचा  
जहाँ  एक  गंधर्व  ने  
अनंत  समय  तक  मुझे  गलाया  
मैं  गला  और  वह  अदृश्य  
मैंने  देखा  
बन  गया  मेरा  चेहरा  
अलग-अलग  दिशाओं  में  ऐसे,  
ऐसे  मैंने  पाया  वह  सब  
जो  चाहिए  था  उसे  
और  उस  जैसी  सबों  को  
उन  सब  चीज़ों  को  एक  पोटली  में  बाँधकर  
जब  गाँव  वापस  आया  
वह  स्त्री  कहीं  नहीं  थी  
वह  सब  कुछ  से  डरती  थी  
सावन  की  झड़ी  में  
मेरे  हाथों  में  तने  छाते  के  नीचे  नहीं  आई  वह  
माघ  की  ठंड  में  
धूप  के  उस  टुकड़े  से  बाहर  ही  रही  
जो  मुझे  घेरे  था  
जेठ  की  तीखी  दुपहरी  में  
वह  पेड़  की  उस  छाँव  में  नहीं  आई  
जो  मेरे  सर  पर  थी  
वह  मुझसे  दूर  भागती  
और  उसके  भीतर  का  समुद्र  
ज्वार  लेकर  मेरी  ओर  
मेरे  क़रीब  वह  गाँवों  के  पुराने  घरों  जैसे  ही  
एक  घर  का  चित्र  बनाती  
और  कहती—‘इसके  सामने  मैं  एक  पेड़  लगाऊँगी‘  
घर  के  पुरानेपन  की  याद  
भाटे  की  तरह  उसे  वापस  ले  जाती  
मैं  उससे  मिलना  चाहता  हूँ  
माँगना  चाहता  हूँ  
समुद्र  में  आकाश  की  छवियाँ  
उसके  दरवाज़े  पर  देखना  चाहता  हूँ  एक  पेड़  
पेड़  की  किसी  डाल  पर  
लटका  आना  चाहता  हूँ  वह  पोटली  
                ye  sach  hai  
ki  usne  khud  kabhi  nahin  kaha  aisa  
par  use  chahiye  tha  wo  sab  
jo  chahiye  tha  us  jaisi  sabon  ko  
main  ek  saath  
chaar  alag  alag  dishaon  mein  gaya  
ek  disha  men  
nadi  ke  bhitar  ki  surang  se  hokar  
parvat  ki  khoh  tak  pahuncha  
jahan  ek  gandharv  ne  
anant  samay  tak  mujhe  galaya  
main  gala  aur  wo  adrishya  
maine  dekha  
ban  gaya  mera  chehra  
alag  alag  dishaon  men  
aise,  aise  mainne  paya  wo  sab  
jo  chahiye  tha  use  
aur  us  jaisi  sabon  ko  
un  sab  chizon  ko  ek  potli  mein  bandhakar  
jab  gaanv  vapas  aaya  
wo  stri  kahin  nahin  thi  
wo  sab  kuch  se  Darti  thi  
savan  ki  jhaDi  men  
mere  hathon  mein  tane  chhate  ke  niche  nahin  aai  wo  
maagh  ki  thanD  men  
dhoop  ke  us  tukDe  se  bahar  hi  rahi  
jo  mujhe  ghere  tha  
jeth  ki  tikhi  dupahri  men  
wo  peD  ki  us  chhaanv  mein  nahin  aai  
jo  mere  sar  par  thi  
wo  mujhse  door  bhagti  
aur  uske  bhitar  ka  samudr  
jvaar  lekar  meri  or  
mere  qarib  wo  ganvon  ke  purane  gharon  jaise  hi  
ek  ghar  ka  chitr  banati  
aur  kahti—‘iske  samne  main  ek  peD  lagaungi‘  
ghar  ke  puranepan  ki  yaad  
bhate  ki  tarah  use  vapas  le  jati  
main  usse  milna  chahta  hoon  
mangna  chahta  hoon  
samudr  mein  akash  ki  chhaviyan  
uske  darvaze  par  dekhana  chahta  hoon  ek  peD  
peD  ki  kisi  Daal  par  
latka  aana  chahta  hoon  wo  potli  
ye  sach  hai  
ki  usne  khud  kabhi  nahin  kaha  aisa  
par  use  chahiye  tha  wo  sab  
jo  chahiye  tha  us  jaisi  sabon  ko  
main  ek  saath  
chaar  alag  alag  dishaon  mein  gaya  
ek  disha  men  
nadi  ke  bhitar  ki  surang  se  hokar  
parvat  ki  khoh  tak  pahuncha  
jahan  ek  gandharv  ne  
anant  samay  tak  mujhe  galaya  
main  gala  aur  wo  adrishya  
maine  dekha  
ban  gaya  mera  chehra  
alag  alag  dishaon  men  
aise,  aise  mainne  paya  wo  sab  
jo  chahiye  tha  use  
aur  us  jaisi  sabon  ko  
un  sab  chizon  ko  ek  potli  mein  bandhakar  
jab  gaanv  vapas  aaya  
wo  stri  kahin  nahin  thi  
wo  sab  kuch  se  Darti  thi  
savan  ki  jhaDi  men  
mere  hathon  mein  tane  chhate  ke  niche  nahin  aai  wo  
maagh  ki  thanD  men  
dhoop  ke  us  tukDe  se  bahar  hi  rahi  
jo  mujhe  ghere  tha  
jeth  ki  tikhi  dupahri  men  
wo  peD  ki  us  chhaanv  mein  nahin  aai  
jo  mere  sar  par  thi  
wo  mujhse  door  bhagti  
aur  uske  bhitar  ka  samudr  
jvaar  lekar  meri  or  
mere  qarib  wo  ganvon  ke  purane  gharon  jaise  hi  
ek  ghar  ka  chitr  banati  
aur  kahti—‘iske  samne  main  ek  peD  lagaungi‘  
ghar  ke  puranepan  ki  yaad  
bhate  ki  tarah  use  vapas  le  jati  
main  usse  milna  chahta  hoon  
mangna  chahta  hoon  
samudr  mein  akash  ki  chhaviyan  
uske  darvaze  par  dekhana  chahta  hoon  ek  peD  
peD  ki  kisi  Daal  par  
latka  aana  chahta  hoon  wo  potli  
 
    
 
    
        स्रोत : 
                
                                                                    रचनाकार  : आशीष त्रिपाठी 
                             प्रकाशन  : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
                         
                                     
                
                
     
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
 
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.