कितनी संभावनाएँ हैं
मेरे बोले
और तुम्हारे द्वारा सुने गए
शब्दों के बीच
वे बन सकते हैं
हृदय भेदने वाले
घातक शब्द-बाण
या कोई मधुर गीत
या रह सकते है
अछूते तुम्हारे कानों को छू कर भी!
क़ुली की तरह
उठाए संभावनाओं का भार
मेरे शब्द पहुँच पाते हैं तुम तक!
कितनी संभावनाएँ हैं!
मेरे भेजे गए पत्रों
और तुम्हारे द्वारा पढ़े गए
पत्रों के बीच
शायद ग़लती से लगा हुआ
कोई अल्पविराम
लगा सकता है
पूर्णविराम हमारे प्रेम पर
या कोई विस्मयादिबोधक चिह्न
डाल सकता है तुम्हें विस्मय में
मेरी तबीयत को लेकर
संभावनाओं के डाकिए के हाथों
मेरे पत्र पहुँच पाते हैं तुम तक!
कितनी संभावनाएँ हैं
मेरे प्रेम में
और तुम्हारे अनुभव में
मेरा प्रेम
संसार की सब कोमलता रखते हुए भी
कठोर पत्थर-सा असहनीय हो सकता है
तुम्हारे अनुभव में
या शायद कोमलता से भी अधिक
कोमल!
संभावनाओं के ही बीच से
मेरा प्रेम पहुँच पाता है तुम तक।
कुछ भी हो सकता है तुम्हारे मेरे
भाग्य में
हमारे बीच कुछ भी तो रिक्त नहीं!
जो भी है
वह सब कुछ है
संभावनाओं के घेरे में—
अनुमानित!
आकाँक्षित!
अभीप्सित!
इन तमाम छोटी-बड़ी संभावनाओं के बीच
विरह या मिलन—
दो अंतिम संभावनाएँ
होने या न होने को!
अँधेरे-घने कुहरे में
सब कुछ अस्पष्ट होते हुए भी
स्पष्ट है तो केवल एक शब्द—
भय
kitni sambhavnayen hain
mere bole
aur tumhare dvara sune ge
shabdon ke beech
ve ban sakte hain
hriday bhedne vale
ghatak shabd baan
ya koi madhur geet
ya rah sakte hai
achhute tumhare kanon ko chhu kar bhee!
quli ki tarah
uthaye sambhavnaon ka bhaar
mere shabd pahunch pate hain tum tak!
kitni sambhavnayen hain!
mere bheje ge patron
aur tumhare dvara paDhe ge
patron ke beech
shayad ghalati se laga hua
koi alpaviram
laga sakta hai
purnaviram hamare prem par
ya koi vismayadibodhak chihn
Daal sakta hai tumhein vismay men
meri tabiyat ko lekar
sambhavnaon ke Dakiye ke hathon
mere patr pahunch pate hain tum tak!
kitni sambhavnayen hain
mere prem men
aur tumhare anubhav men
mera prem
sansar ki sab komalta rakhte hue bhi
kathor patthar sa asahniy ho sakta hai
tumhare anubhav men
ya shayad komalta se bhi adhik
komal!
sambhavnaon ke hi beech se
mera prem pahunch pata hai tum tak.
kuch bhi ho sakta hai tumhare mere
bhagya men
hamare beech kuch bhi to rikt nahin!
jo bhi hai
wo sab kuch hai
sambhavnaon ke ghere men—
anumanit!
akankshit!
abhipsit!
in tamam chhoti baDi sambhavnaon ke beech
virah ya milan—
do antim sambhavnayen
hone ya na hone ko!
andhere ghane kuhre men
sab kuch aspasht hote hue bhi
aspasht hai to keval ek shabd—
bhay
kitni sambhavnayen hain
mere bole
aur tumhare dvara sune ge
shabdon ke beech
ve ban sakte hain
hriday bhedne vale
ghatak shabd baan
ya koi madhur geet
ya rah sakte hai
achhute tumhare kanon ko chhu kar bhee!
quli ki tarah
uthaye sambhavnaon ka bhaar
mere shabd pahunch pate hain tum tak!
kitni sambhavnayen hain!
mere bheje ge patron
aur tumhare dvara paDhe ge
patron ke beech
shayad ghalati se laga hua
koi alpaviram
laga sakta hai
purnaviram hamare prem par
ya koi vismayadibodhak chihn
Daal sakta hai tumhein vismay men
meri tabiyat ko lekar
sambhavnaon ke Dakiye ke hathon
mere patr pahunch pate hain tum tak!
kitni sambhavnayen hain
mere prem men
aur tumhare anubhav men
mera prem
sansar ki sab komalta rakhte hue bhi
kathor patthar sa asahniy ho sakta hai
tumhare anubhav men
ya shayad komalta se bhi adhik
komal!
sambhavnaon ke hi beech se
mera prem pahunch pata hai tum tak.
kuch bhi ho sakta hai tumhare mere
bhagya men
hamare beech kuch bhi to rikt nahin!
jo bhi hai
wo sab kuch hai
sambhavnaon ke ghere men—
anumanit!
akankshit!
abhipsit!
in tamam chhoti baDi sambhavnaon ke beech
virah ya milan—
do antim sambhavnayen
hone ya na hone ko!
andhere ghane kuhre men
sab kuch aspasht hote hue bhi
aspasht hai to keval ek shabd—
bhay
स्रोत :
रचनाकार : ऋत्विक्
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.