इतवार।  जैकेटों  के  बटन  बिखरी  हुई  
हँसी  की  तरह  दमकते  हैं।  बस  जा  चुकी  है।  
कुछ  सुखद  आवाज़ें—अजीब  बात  है  
कि  तुम  उन्हें  सुन  सकते  हो  और  जवाब  में  कुछ  कह  सकते  हो।  
चीड़  के  झुरमुट  के  नीचे  एक  मज़दूर  
बाँसुरी  बजाना  सीख  रहा  है।  एक  औरत  ने  
किसी  को  नमस्ते  की—इतनी  सरल  
और  स्वाभाविक  नमस्ते  
कि  तुम्हारा  भी  मन  हो  चीड़  के  पेड़ों  के  नीचे  
बाँसुरी  बजाना  सीखने  का।  
कोई  भाग  देना  या  घटाना  नहीं।  बस  अपने  से  बाहर  
देखने  में  समर्थ  होना—ऊष्मा  और  शांति।  
सिर्फ़  तुम  नहीं  बल्कि  तुम  भी  होना।  
थोड़ा-सा  जोड़ना,  थोड़ा-सा  व्यावहारिक  गणित,  इतनी  
आसानी  से  समझ  में  आने  लायक़  
कि  उसे  कोई  बच्चा  भी  कर  सके  रोशनी  में  अपनी  
उँगलियों  पर  गिनते  हुए  या  वह  बाँसुरी  
बजाते  हुए  उस  औरत  को  सुनाने  के  लिए।  
                itvaar.  jaiketon  ke  batan  bikhri  hui  
hansi  ki  tarah  damakte  hain.  bas  ja  chuki  hai.  
kuch  sukhad  avazen—ajib  baat  hai  
ki  tum  unhen  sun  sakte  ho  aur  javab  mein  kuch  kah  sakte  ho.  
cheeD  ke  jhurmut  ke  niche  ek  mazdur  
bansuri  bajana  seekh  raha  hai.  ek  aurat  ne  
kisi  ko  namaste  ki—itni  saral  
aur  svabhavik  namaste  
ki  tumhara  bhi  man  ho  cheeD  ke  peDon  ke  niche  
bansuri  bajana  sikhne  ka.  
koi  bhaag  dena  ya  ghatana  nahin.  bas  apne  se  bahar  
dekhne  mein  samarth  hona—uushma  aur  shanti.  
sirf  tum  nahin  balki  tum  bhee  hona.  
thoDa  sa  joDna,  thoDa  sa  vyavaharik  ganit,  itni  
asani  se  samajh  mein  aane  layaq  
ki  use  koi  bachcha  bhi  kar  sake  roshni  mein  apni  
ungliyon  par  ginte  hue  ya  wo  bansuri  
bajate  hue  us  aurat  ko  sunane  ke  liye.  
itvaar.  jaiketon  ke  batan  bikhri  hui  
hansi  ki  tarah  damakte  hain.  bas  ja  chuki  hai.  
kuch  sukhad  avazen—ajib  baat  hai  
ki  tum  unhen  sun  sakte  ho  aur  javab  mein  kuch  kah  sakte  ho.  
cheeD  ke  jhurmut  ke  niche  ek  mazdur  
bansuri  bajana  seekh  raha  hai.  ek  aurat  ne  
kisi  ko  namaste  ki—itni  saral  
aur  svabhavik  namaste  
ki  tumhara  bhi  man  ho  cheeD  ke  peDon  ke  niche  
bansuri  bajana  sikhne  ka.  
koi  bhaag  dena  ya  ghatana  nahin.  bas  apne  se  bahar  
dekhne  mein  samarth  hona—uushma  aur  shanti.  
sirf  tum  nahin  balki  tum  bhee  hona.  
thoDa  sa  joDna,  thoDa  sa  vyavaharik  ganit,  itni  
asani  se  samajh  mein  aane  layaq  
ki  use  koi  bachcha  bhi  kar  sake  roshni  mein  apni  
ungliyon  par  ginte  hue  ya  wo  bansuri  
bajate  hue  us  aurat  ko  sunane  ke  liye.  
 
    
 
    
        स्रोत : 
                
                        पुस्तक  : दरवाज़े में कोई चाबी नहीं (पृष्ठ 161)संपादक  : वंशी माहेश्वरी रचनाकार  : यानिस रित्सोस 
                             प्रकाशन  : संभावना प्रकाशन
                         
                                                संस्करण   : 2020 
                
                
     
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
 
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.