तुम जो
शानदार, आबाद
कोठियों में रहते हो
(बैड-टी लेते हो)
कार में उड़ते हो
बार में बहकते हो
और पटरी तले के
मेहनतकश को
इस तरह घूरते हो
गोया, खा जाओगे।
और वह कायर
मूर्ख,
(दया का पात्र)
सहम कर
निगाहें झुका लेता है
अपमान, अवमान को
पंचामृत की तरह
गटक जाता है।
क्योंकि उसकी
नैतिक-निष्ठता
आत्म-सम्मान की
भावना भी
तुमने,
दग़ाबाज़ महाजन की तरह
छल से हथिया ली है।
और तुम्हारी वे ही
ख़ूँख़ार आँखें
किताबों,
भाषणों,
वक्तव्यों
कविताओं
और लेखों में
उनके लिए
बरस पड़ती हैं।
ख़ूब है।
पर मुझे डर है
कि वे आँखें तुमसे मिलीं अगर
और तुम्हारी ख़ूँख़ार आँखों की आग
उनकी आँखों के ज़रिए
उनकी नीली नसों में
ठंडे बर्फ़ जैसे रक्त में
समो गई;
और उन्होंने तुम्हारा छल
जान लिया...
तो उस रोज़
ये शानदार, आबदार कोठियाँ
ये कार, ये यार
सब ग़ारत हो जाएँगे।
और तुम्हें
इतनी जगह भी नहीं मिलेगी
जहाँ,
तुम्हारे,
सींग समाएँगे।
tum jo
shanadar, abad
kothiyon mein rahte ho
(vaiD ti lete ho)
kaar mein uDte ho
baar mein bahakte ho
aur patri tale ke
mehanatkash ko
is tarah ghurte ho
goya, kha jaoge.
aur wo kayar
moorkh,
(daya ka paatr)
saham kar
nigahen jhuka leta hai
apman, avman ko
panchamrit ki tarah
gatak jata hai.
kyonki uski
naitik nishthta
aatm samman ki
bhavna bhi
tumne,
daghabaz mahajan ki tarah
chhal se hathiyali hai.
aur tumhari ve hi
khunkhar ankhen
kitabon,
bhashnon,
vaktavyon
kavitaon
aur lekhon men
unke liye
baras paDti hain.
khoob hai.
par mujhe Dar hai
ki ve ankhen tumse milin agar
aur tumhari khunkhar ankhon ki aag
unki ankhon ke zariye
unki nili nasen men
thanDe barf jaise rakt men
samo gai;
aur unhonne tumhara chhal
jaan liya. . .
to us roz
ye shanadar, abadar kothiyan
ye kaar, ye yaar
sab gharat ho jayenge.
aur tumhen
itni jagah bhi nahin milegi
jahan,
tumhare,
seeg samayenge.
tum jo
shanadar, abad
kothiyon mein rahte ho
(vaiD ti lete ho)
kaar mein uDte ho
baar mein bahakte ho
aur patri tale ke
mehanatkash ko
is tarah ghurte ho
goya, kha jaoge.
aur wo kayar
moorkh,
(daya ka paatr)
saham kar
nigahen jhuka leta hai
apman, avman ko
panchamrit ki tarah
gatak jata hai.
kyonki uski
naitik nishthta
aatm samman ki
bhavna bhi
tumne,
daghabaz mahajan ki tarah
chhal se hathiyali hai.
aur tumhari ve hi
khunkhar ankhen
kitabon,
bhashnon,
vaktavyon
kavitaon
aur lekhon men
unke liye
baras paDti hain.
khoob hai.
par mujhe Dar hai
ki ve ankhen tumse milin agar
aur tumhari khunkhar ankhon ki aag
unki ankhon ke zariye
unki nili nasen men
thanDe barf jaise rakt men
samo gai;
aur unhonne tumhara chhal
jaan liya. . .
to us roz
ye shanadar, abadar kothiyan
ye kaar, ye yaar
sab gharat ho jayenge.
aur tumhen
itni jagah bhi nahin milegi
jahan,
tumhare,
seeg samayenge.
स्रोत :
पुस्तक : सूनी घाटी का गीत (पृष्ठ 29)
रचनाकार : प्रभातरंजन
प्रकाशन : साहित्य भवन प्राइवेट लिमिटेड, इलाहाबाद
संस्करण : 1959
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.