ऐसा नहीं था कि उसे पहली बार देखा हो,
मुलाक़ातें पहले भी कई दफ़ा हुई थीं नजरों से
मगर उस दिन कुछ तो अलग था शायद हवा की शरारत,
या ज़ुल्फ़ों में उलझी हुई कोई ऋतु
उसकी बिखरी लटें, रेशम से भी मुलायम लग रही थीं,
और चेहरा यूँ दमक रहा था
मानो चाँद ने अपनी सारी रोशनी उसी के नाम लिख दी हो।
फिर वो पल वहीं ठहर गया, नज़रें मिलीं मग़र दुनिया की
हर ख़ुशी धीरे-धीरे मुझसे दूर चली गईं।
तभी मन में एक अजीब-सी हूक उठी
कितना अन्याय है कि
ऐसे लोगों पर कोई पहरा नहीं होता,
जो अपनी एक मुस्कान से
किसी की उम्र भर की तन्हाई लूट लें।
मैंने सोचा, काश किसी ने उसे क़ैद कर लिया होता
तो मैं अपने हिस्से के सारे सपने,
सारी बची हुई ख़ुशियाँ,
और दिल के कोनों में संजोए हुए सुख
बिना किसी हिचक के
उसकी रिहाई के नाम कर देता।
qaid
aisa nahin tha ki use pahli baar dekha ho,
mulaqaten pahle bhi kai dafa hui theen najron se
magar us din kuch to alag tha shayad hava ki shararat,
ya zulfon mein uljhi hui koi ritu
uski bikhri laten, resham se bhi mulayam lag rahi theen,
aur chehra yoon damak raha tha
mano chaand ne apni sari roshni usi ke naam likh di ho.
phir wo pal vahin thahar gaya, nazren milin maghar duniya ki
har khushi dhire dhire mujhse door chali gain.
tabhi man mein ek ajib si hook uthi
kitna anyay hai ki
aise logon par koi pahra nahin hota,
jo apni ek muskan se
kisi ki umr bhar ki tanhai loot len.
mainne socha, kaash kisi ne use qaid kar liya hota
to main apne hisse ke sare sapne,
sari bachi hui khushiyan,
aur dil ke konon mein sanjoe hue sukh
bina kisi hichak ke
uski rihai ke naam kar deta.

स्रोत :
रचनाकार : अंकित कुमार
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.