इस गर्म शाम
देह दही की तरह पिघल रही थी
मुझमें एक ऋतु भीग आई थी
आहिस्ता-आहिस्ता
झड़ रहा था नीम
अपनी पेशाब पर लेटा
एक कुत्ता झाड़ रहा था कान
जिसे एक चींटी घेर रही थी
उस वक़्त—
महत्त्वाकांक्षा बूढ़ी छिपकली-सी सुस्त हो चली थी
बस उम्मीद ही बहुवचन में याद आ रही थी
और अतीत का दूध दिमाग़ में जल रहा था
उम्मीद—
मुझे सबसे अधिक उम्मीद
अपने पश्चाताप से थी
उसने कभी निराश नहीं किया
सबसे सुंदर से भी पछताया हूँ मैं
पछताना पानी में पानी सरीखा था
जहाँ से लौटना भी पछताना था
बहुत दूर से—
एक नदी की याद
बहुत दूर तक आ रही थी
भिगोती पानी को मिट्टी में
बहुत दूर तक जाती थी जो
तुम्हारी याद
एक किनारे से आई थी
जहाँ का आख़िरी फूल मुरझाकर
सूखी रोटी हो आया था
जिसे कुतरते-कुतरते भाप की गिलहरी
मेरी आँख में घुस गई थी धप् से
जिसे खोजने उसके पीछे गया
और—
और मैं अब तक नहीं लौटा
मुझे खोजने के लिए
एक और गिलहरी खोज रही है रास्ता
मेरे ही भीतर
उसे भी जगह दो मेरे पश्चाताप!
is garm shaam
deh dahi ki tarah pighal rahi thi
mujhmen ek ritu bheeg aai thi
ahista ahista
jhaD raha tha neem
apni peshab par leta
ek kutta jhaaD raha tha kaan
jise ek chinti gher rahi thi
us vaqt—
mahattvakanksha buDhi chhipkali si sust ho chali thi
bas ummid hi bahuvchan mein yaad aa rahi thi
aur atit ka doodh dimagh mein jal raha tha
ummid—
mujhe sabse adhik ummid
apne pashchatap se thi
usne kabhi nirash nahin kiya
sabse sundar se bhi pachhtaya hoon main
pachhtana pani mein pani sarikha tha
jahan se lautna bhi pachhtana tha
bahut door se—
ek nadi ki yaad
bahut door tak aa rahi thi
bhigoti pani ko mitti men
bahut door tak jati thi jo
tumhari yaad
ek kinare se aai thi
jahan ka akhiri phool murjhakar
sukhi roti ho aaya tha
jise kutarte kutarte bhaap ki gilahri
meri ankh mein ghus gai thi dhap se
jise khojne uske pichhe gaya
aur—
aur main ab tak nahin lauta
mujhe khojne ke liye
ek aur gilahri khoj rahi hai rasta
mere hi bhitar
use bhi jagah do mere pashchatap!
is garm shaam
deh dahi ki tarah pighal rahi thi
mujhmen ek ritu bheeg aai thi
ahista ahista
jhaD raha tha neem
apni peshab par leta
ek kutta jhaaD raha tha kaan
jise ek chinti gher rahi thi
us vaqt—
mahattvakanksha buDhi chhipkali si sust ho chali thi
bas ummid hi bahuvchan mein yaad aa rahi thi
aur atit ka doodh dimagh mein jal raha tha
ummid—
mujhe sabse adhik ummid
apne pashchatap se thi
usne kabhi nirash nahin kiya
sabse sundar se bhi pachhtaya hoon main
pachhtana pani mein pani sarikha tha
jahan se lautna bhi pachhtana tha
bahut door se—
ek nadi ki yaad
bahut door tak aa rahi thi
bhigoti pani ko mitti men
bahut door tak jati thi jo
tumhari yaad
ek kinare se aai thi
jahan ka akhiri phool murjhakar
sukhi roti ho aaya tha
jise kutarte kutarte bhaap ki gilahri
meri ankh mein ghus gai thi dhap se
jise khojne uske pichhe gaya
aur—
aur main ab tak nahin lauta
mujhe khojne ke liye
ek aur gilahri khoj rahi hai rasta
mere hi bhitar
use bhi jagah do mere pashchatap!
स्रोत :
रचनाकार : सत्यव्रत रजक
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.