मेरे आस-पास सब कुछ उदास है
नहीं...नहीं...
सब कुछ के आस-पास भी सब कुछ
उदास है
जैसे फूलों के पास उदास हैं पत्तियाँ
पत्तियों के पास ऊँचे-ऊँचे पेड़
और पेड़ों के पास उदास हैं
चह-चहा कर चुप हो गए पँछी
ऐसे ही
आसमान से उदास होकर झर जाता है बादल
बादल के पास उदास हो जाता है हिम
हिम की चुप्पी पर उदास हैं पहाड़
पहाड़ों से उदास होकर बह जाती है नदी
धीरे से
नदी से अधिक गहरा उदास है लहरदार समंदर
यह बड़ी विचित्र बात है कि
पौधों के पास उदास हैं बीज
बीजों को गति देते उदास हैं खेत
खेतों से पास उदास है पानी
और
पानी के पास भटकता हुआ इंसान भी
उदास है
इंसानों के पास ज़्यादा उदास है इंसान
यह अबूझ है कि यह है भी
या नहीं है उदासी
पर इसका कारण क्या हो सकता है
तलाश में कुछ नहीं मिला मुझे आज भी
पर लगता है कि इसका कारण है चील
जो कई मील ऊपर से देख लेती है भोजन जैसी चीज़
गिद्ध भी हो सकता है उदासी का कारण
जिसने घर के पीछे बनाया था घोसला
मेरे बचपन में
या शायद सूखता हुआ सुरहा ताल भी हो सकता है
जहाँ साइबेरिया के परदेशी आ बसते थे जाड़ों में
रेवती का दह हो सकता है
या फिर केदारनाथ सिंह के गाँव का भागड़ नाला
जो सदियों पहले सरयू और गंगा के पानी को मिला देता था
उनके संगम से पहले
ये सब भी तो उदास होकर लुप्त हो रहे हैं, शायद
कुछ भी
हो सकता है कारण उदासी का
और कुछ नहीं भी
पर मैं उदास हूँ कि
मेरे आस-पास सब कुछ उदास है
mere aas paas sab kuch udaas hai
nahin. . . nahin. . .
sab kuch ke aas paas bhi sab kuch
udaas hai
jaise phulon ke paas udaas hain pattiyan
pattiyon ke paas uunche uunche peD
aur peDon ke paas udaas hain
chah chaha kar chup ho ge panchhi
aise hi
asman se udaas hokar jhar jata hai badal
badal ke paas udaas ho jata hai him
him ki chuppi par udaas hain pahaD
pahaDon se udaas hokar bah jati hai nadi
dhire se
nadi se adhik gahra udaas hai lahardar samandar
ye baDi vichitr baat hai ki
paudhon ke paas udaas hain beej
bijon ko gati dete udaas hain khet
kheton se paas udaas hai pani
aur
pani ke paas bhatakta hua insaan bhi
udaas hai
insanon ke paas zyada udaas hai insaan
ye abujh hai ki ye hai bhi
ya nahin hai udasi
par iska karan kya ho sakta hai
talash mein kuch nahin mila mujhe aaj bhi
par lagta hai ki iska karan hai cheel
jo kai meel uupar se dekh leti hai bhojan jaisi cheez
giddh bhi ho sakta hai udasi ka karan
jisne ghar ke pichhe banaya tha ghosla
mere bachpan men
ya shayad sukhta hua surha taal bhi ho sakta hai
jahan saiberiya ke pardeshi aa baste the jaDon men
revati ka dah ho sakta hai
ya phir kedaranath sinh ke gaanv ka bhagaD nala
jo sadiyon pahle saryu aur ganga ke pani ko mila deta tha
unke sangam se pahle
ye sab bhi to udaas hokar lupt ho rahe hain, shayad
kuch bhi
ho sakta hai karan udasi ka
aur kuch nahin bhi
par main udaas hoon ki
mere aas paas sab kuch udaas hai
mere aas paas sab kuch udaas hai
nahin. . . nahin. . .
sab kuch ke aas paas bhi sab kuch
udaas hai
jaise phulon ke paas udaas hain pattiyan
pattiyon ke paas uunche uunche peD
aur peDon ke paas udaas hain
chah chaha kar chup ho ge panchhi
aise hi
asman se udaas hokar jhar jata hai badal
badal ke paas udaas ho jata hai him
him ki chuppi par udaas hain pahaD
pahaDon se udaas hokar bah jati hai nadi
dhire se
nadi se adhik gahra udaas hai lahardar samandar
ye baDi vichitr baat hai ki
paudhon ke paas udaas hain beej
bijon ko gati dete udaas hain khet
kheton se paas udaas hai pani
aur
pani ke paas bhatakta hua insaan bhi
udaas hai
insanon ke paas zyada udaas hai insaan
ye abujh hai ki ye hai bhi
ya nahin hai udasi
par iska karan kya ho sakta hai
talash mein kuch nahin mila mujhe aaj bhi
par lagta hai ki iska karan hai cheel
jo kai meel uupar se dekh leti hai bhojan jaisi cheez
giddh bhi ho sakta hai udasi ka karan
jisne ghar ke pichhe banaya tha ghosla
mere bachpan men
ya shayad sukhta hua surha taal bhi ho sakta hai
jahan saiberiya ke pardeshi aa baste the jaDon men
revati ka dah ho sakta hai
ya phir kedaranath sinh ke gaanv ka bhagaD nala
jo sadiyon pahle saryu aur ganga ke pani ko mila deta tha
unke sangam se pahle
ye sab bhi to udaas hokar lupt ho rahe hain, shayad
kuch bhi
ho sakta hai karan udasi ka
aur kuch nahin bhi
par main udaas hoon ki
mere aas paas sab kuch udaas hai
स्रोत :
रचनाकार : आकाश वर्मा
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.