घर से बाहर तक की ख़ुशहाली
जो रोपता है अपने खेत में
जो दफ़्तरों के पाखाने-घर साफ़ करता है
जो जूते गाँठता है, बाल काटता है सड़कों पर
दिन-दुपहरी जो फेरी लगाता है धूप में ज़रूरत की चीज़ों की
जो ढाबों मे जूठन धोने-पोछने का काम करता है
जो अपने सब ज़रूरी काम छोड़ बुढ़िया को सड़क पार कराता है
जो अपना कलेवा का पहला कौर भगवान को नैवेद्य चढ़ाने के बजाए
बच्चों के मुँह में डालता है
उन्हीं जनबातों से होती हुई कविता पहुँचती है मुझ तक
जिनके पसीने से बनता है
एक भावदृश्य एक रूप
कविता में
वही होगा मेरा असली कवि
बंद कमरों में जो इनकी रौनकें चुराता है
सड़कों पर इनकी ख़ुशहाली के जो भाषण देता है
सजे हुए कालीनों-मंचों पर जो इनके गीत गाकर तालियाँ बटोरता है
क्या होगा वह मेरा कवि!
ghar se bahar tak ki khushhali
jo ropta hai apne khet mein
jo daftron ke pakhane ghar saaf karta hai
jo jute ganthata hai, baal katta hai saDkon par
din dupahri jo pheri lagata hai dhoop mein zarurat ki chizon ki
jo Dhabon mae juthan dhone pochhne ka kaam karta hai
jo apne sab zaruri kaam chhoD buDhiya ko saDak paar karata hai
jo apna kaleva ka pahla kaur bhagvan ko naivedya chaDhane ke bajaye
bachchon ke munh mein Dalta hai
unhin janbaton se hoti hui kavita pahunchti hai mujh tak
jinke pasine se banta hai
ek bhavdrishya ek roop
kavita men
vahi hoga mera asli kavi
band kamron mein jo inki raunken churata hai
saDkon par inki khushhali ke jo bhashan deta hai
saje hue kalinon manchon par jo inke geet gakar taliyan batorta hai
kya hoga wo mera kavi!

स्रोत :
रचनाकार : सुशील कुमार
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.