ख़ुदा ने गवाह है
निदा के नग्में गुनगुनाने वाली लड़कियाँ
न इश्क़ में भागेगी, न कभी ज़ाहिर हो पाएँगी
न उन्हें कभी साहिर मिलेगा, न वो इमरोज़ की हो पाएँगी
ख़ुदा गवाह है,
कुतुबख़ाने में निर्मल के कोह में अटकी लड़कियाँ
न तीरगी से डरेगी, न उससे बाहर आ पाएँगी
न वो ज़माने में रह पाएँगी, न वापिस अपने घर जा पाएँगी
ख़ुदा गवाह है,
अदालत में इंक़लाब के नारे लगाती लड़कियाँ
न इंसाफ़ से रुख़ फेरेगी, न ज़ेर हो पाएँगी
न उसके ज़ख्मों को कोई देखेगा, न वो उन्हें ख़ुद भर पाएँगी
ख़ुदा गवाह है,
मुरिलो के कैनवास में दरीचे पे बैठी लड़कियाँ
न पाबंदियों से रिहा होगी, न कभी क़ैद हो पाएँगी
न वो इलाही के दर से हटेगी, न ही फ़रिश्ता हो पाएँगी
ख़ुदा गवाह है...नियाज़ी
निराला की बेटी बतौर सरोज बनी लड़कियाँ
न अपने पिता को रोता देखेगी, न उनके आँसू पोंछ पाएँगी
न वो उनकी यादों में मरेंगी, न ये ज़िंदगी जी पाएँगी
khuda ne gavah hai
nida ke nagmen gungunane vali laDkiyan
na ishq mein bhagegi, na kabhi zahir ho payengi
na unhen kabhi sahir milega, na wo imroz ki ho payengi
khuda gavah hai,
kutubkhane mein nirmal ke koh mein atki laDkiyan
na tiragi se Daregi, na usse bahar aa payengi
na wo zamane mein rah payengi, na vapis apne ghar ja payengi
khuda gavah hai,
adalat mein inqlaab ke nare lagati laDkiyan
na insaaf se rukh pheregi, na zer ho payengi
na uske zakhmon ko koi dekhega, na wo unhen khud bhar payengi
khuda gavah hai,
murilo ke kainvas mein dariche pe baithi laDkiyan
na pabandiyon se riha hogi, na kabhi qaid ho payengi
na wo ilahi ke dar se hategi, na hi farishta ho payengi
khuda gavah hai. . . niyazi
nirala ki beti bataur saroj bani laDkiyan
na apne pita ko rota dekhegi, na unke ansu ponchh payengi
na wo unki yadon mein marengi, na ye zindagi ji payengi

स्रोत :
रचनाकार : सुजाता नारायण
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.