क्षतिज में आग है
और ऊपर की ओर बाँहें उँचाए
वृक्षों की काली छायाएँ
और हवा में जले तालवृक्षों की हरी गंध
सड़क पर
मक्की के आटे के बोरों से दबे-कराहते
बेलुंडा कुलियों की क़तार
कमरे में
मदमस्त आँखों वाली एक मदमाती भूरी औरत
चेहरे को रूज और चावल के पाउडर से चमकाती
अपने बहुतेरे अंगवस्त्रों में नितंब नचाती,
बिस्तर में एक आदमी करवटें बदलता हुआ
मेज़ पर सलीक़े से खाना खाने के लिए
छुरी-काँटे ख़रीदने की बात सोचता
आकाश में अलावों के प्रतिबिंब
और ढोल की गमक के साथ
गनगना देने वाली मरियंबा धुनों में मस्त
बाँहें उँचाए काले लोगों की परछाइयाँ
सड़क पर कुली
कमरे में भूरी औरत
और बिस्तर में करवटें बदलता आदमी,
दहकते कोयले चुकते जा रहे हैं
चुकता जा रहा है आग के साथ
क्षितिजों वाला गुनगुना देश।
kshatij mein aag hai
aur uupar ki or banhen unchaye
vrikshon ki kali chhayayen
aur hava mein jale talvrikshon ki hari gandh
saDak par
makki ke aate ke boron se dabe karahte
belunDa kuliyon ki qatar
kamre men
madmast ankhon vali ek madmati bhuri aurat
chehre ko rooj aur chaval ke pauDar se chamkati
apne bahutere angvastron mein nitamb nachati,
bistar mein ek adami karavten badalta hua
mez par saliqe se khana khane ke liye
chhuri kante kharidne ki baat sochta
akash mein alavon ke pratibimb
aur Dhol ki gamak ke saath
ganagna dene vali mariyamba dhunon mein mast
banhen unchaye kale logon ki parchhaiyan
saDak par kuli
kamre mein bhuri aurat
aur bistar mein karavten badalta adami,
dahakte koyle chukte ja rahe hain
chukta ja raha hai aag ke saath
kshitijon vala gunguna desh.
kshatij mein aag hai
aur uupar ki or banhen unchaye
vrikshon ki kali chhayayen
aur hava mein jale talvrikshon ki hari gandh
saDak par
makki ke aate ke boron se dabe karahte
belunDa kuliyon ki qatar
kamre men
madmast ankhon vali ek madmati bhuri aurat
chehre ko rooj aur chaval ke pauDar se chamkati
apne bahutere angvastron mein nitamb nachati,
bistar mein ek adami karavten badalta hua
mez par saliqe se khana khane ke liye
chhuri kante kharidne ki baat sochta
akash mein alavon ke pratibimb
aur Dhol ki gamak ke saath
ganagna dene vali mariyamba dhunon mein mast
banhen unchaye kale logon ki parchhaiyan
saDak par kuli
kamre mein bhuri aurat
aur bistar mein karavten badalta adami,
dahakte koyle chukte ja rahe hain
chukta ja raha hai aag ke saath
kshitijon vala gunguna desh.
स्रोत :
पुस्तक : रोशनी की खिड़कियाँ (पृष्ठ 306)
रचनाकार : अगॉस्तिनो नेतो
प्रकाशन : मेधा बुक्स
संस्करण : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.