तुम्हें  हुआ  है  काला  भ्रम,  
काले  भ्रमर  की  हृदय  को  चीरने  वाली  गूँज  
तुम्हें  खींच  रही  है,  
उसका  निर्मम,  चमकीला  काला  रंग  
तुम्हारी  आँखों  को  अंधा  बना  रहा  है।  
तुम  आ  गई  हो  चपेट  में  काली  ग्लानि  के,  
काले  भ्रमर  के  ज्वर  सदृश  स्पर्श  से।  
शाम  के  धुँधले  प्रकाश  में  
तुम्हारी  पंखुड़ियाँ  थरथरा  रही  हैं,  
तुम्हें  नष्ट  करने  वाले  काले  भ्रमर  के  लिए  
तुमने  अपना  मूँद  लेना  रोक  रखा  है।  
अब  तुम्हारी  शुभ्र  पंखुड़ियों  पर  
उमड़  रहा  है  गाढ़ा  कालापन  
काले  भ्रमर  के  चारों  ओर  समस्त  पंखुड़ियों  को  लपेटकर  
तुम  अनुभव  कर  रही  हो  विनाश  की  यातना  
तुम्हारी  कुतरा  जाना  
छिन्न-विच्छिन्न  होते  जाना।  
अब  तुम्हारे  चेतन-अवचेतन  के  परे  हो  गया  है  
काले  भ्रमर  का  अलिप्त  कालापन।  
             
                tumhein  hua  hai  kala  bhram,  
kale  bhramar  ki  hadya  ko  chirne  wali  goonj  
tumhein  kheench  rahi  hai,  
uska  nirmam,  chamkila  kala  rang  
tumhari  ankhon  ko  andha  bana  raha  hai  
tum  aa  gayi  ho  chapet  mein  kali  glani  ke,  
kale  bhramar  ke  jwar  sadrish  sparsh  se  
sham  ke  dhundhale  parkash  mein  
tumhari  pankhuDiyan  tharthara  rahi  hain,  
tumhein  nasht  karne  wale  kale  bhramar  ke  liye  
tumne  apna  moond  lena  rok  rakha  hai  
ab  tumhari  shubhr  pankhuDiyon  par  
umaD  raha  hai  gaDha  kalapan  
kale  bhramar  ke  charon  or  samast  pankhuDiyon  ko  lapetkar  
tum  anubhaw  kar  rahi  ho  winasha  ki  yatana  
tumhari  kutra  jana  
chhinn  wichchhinn  hote  jana  
ab  tumhare  chetan  awchetan  ke  pare  ho  gaya  hai  
kale  bhramar  ka  alipt  kalapan  
tumhein  hua  hai  kala  bhram,  
kale  bhramar  ki  hadya  ko  chirne  wali  goonj  
tumhein  kheench  rahi  hai,  
uska  nirmam,  chamkila  kala  rang  
tumhari  ankhon  ko  andha  bana  raha  hai  
tum  aa  gayi  ho  chapet  mein  kali  glani  ke,  
kale  bhramar  ke  jwar  sadrish  sparsh  se  
sham  ke  dhundhale  parkash  mein  
tumhari  pankhuDiyan  tharthara  rahi  hain,  
tumhein  nasht  karne  wale  kale  bhramar  ke  liye  
tumne  apna  moond  lena  rok  rakha  hai  
ab  tumhari  shubhr  pankhuDiyon  par  
umaD  raha  hai  gaDha  kalapan  
kale  bhramar  ke  charon  or  samast  pankhuDiyon  ko  lapetkar  
tum  anubhaw  kar  rahi  ho  winasha  ki  yatana  
tumhari  kutra  jana  
chhinn  wichchhinn  hote  jana  
ab  tumhare  chetan  awchetan  ke  pare  ho  gaya  hai  
kale  bhramar  ka  alipt  kalapan  
 
             
    
 
    
        स्रोत : 
                
                        पुस्तक  : भारतीय कविताएँ (पृष्ठ 153) 
                                            संपादक  : बालस्वरूप राही  
                                                रचनाकार  : वसंत आबाजी डहाके  
                                            
                             प्रकाशन  : भारतीय ज्ञानपीठ प्रकाशन
                         
                                                संस्करण   : 1984 
                 
                
                
     
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
 
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.