एक थी बाती दिए में, जल गई है
एक थी उम्मीद, वो भी मर गई है
तुमने देखा है बहुत कुछ टूटता-सा
टूट कुछ तुम भी गए हो, जानता हूँ
थोड़ा ही लेकिन डरे हो, जानता हूँ...
पर सुनो एक बात, मेरी सुन सको तो
साथ का एक हाथ, मेरा चुन सको तो
कुछ पहर ही नाव, लहरों में फंसी है
यह लहर भी, कुछ पहर को ही उठी है
यूँ तो है मुश्किल खड़े रहना किसी का
पर बना सकते हो साहस, जानता हूँ
थोड़ा ही लेकिन डरे हो, जानता हूँ...
तेरे हिस्से में नही यदि जीत होगी
हार में तय है कि कोई सीख होगी
सीख का यह कारवाँ एक पथ रचेगा
इसी का एक छोर तेरी जय करेगा
यूँ तो कहना है सरल, करना कठिन है
लेकिन उठे तो जीत लोगे, जानता हूँ
थोडा ही लेकिन डरे हो, जानता हूँ
प्यासे तट का तप उठा यूँ ताप लेकर
नदी को आना पड़ा, सैलाब लेकर
जल उठी थी इस तरह उसकी शिलाएँ
मुड़ी तट की ओर तटिनी की दिशाएँ
ऐसी तपस्या साधना यूँ तो कठिन है
पर चाहोगे तो साध लोगे, जानता हूँ
थोडा ही लेकिन डरे हो, जानता हूँ
हर तरह से जीत के तुम पात्र हो,
पर धरा में तुम नहीं एक मात्र हो...
सारे यत्नों को नही मिलता पदक है,
पर इन्ही में एक का होता तिलक है...
कठिन तो है हार सहना और बढ़ना
पर दिवस यह काट लोगे, जानता हूँ
थोडा ही लेकिन डरे हो, जानता हूँ
ek thi bati diye mein, jal gai hai
ek thi ummid, wo bhi mar gai hai
tumne dekha hai bahut kuch tutta sa
toot kuch tum bhi ge ho, janta hoon
thoDa hi lekin Dare ho, janta hoon. . .
par suno ek baat, meri sun sako to
saath ka ek haath, mera chun sako to
kuch pahar hi naav, lahron mein phansi hai
ye lahr bhi, kuch pahar ko hi uthi hai
yoon to hai mushkil khaDe rahna kisi ka
par bana sakte ho sahas, janta hoon
thoDa hi lekin Dare ho, janta hoon. . .
tere hisse mein nahi yadi jeet hogi
haar mein tay hai ki koi seekh hogi
seekh ka ye karvan ek path rachega
isi ka ek chhor teri jay karega
yoon to kahna hai saral, karna kathin hai
lekin uthe to jeet loge, janta hoon
thoDa hi lekin Dare ho, janta hoon
pyase tat ka tap utha yoon taap lekar
nadi ko aana paDa, sailab lekar
jal uthi thi is tarah uski shilayen
muDi tat ki or tatini ki dishayen
aisi tapasya sadhana yoon to kathin hai
par chahoge to saadh loge, janta hoon
thoDa hi lekin Dare ho, janta hoon
har tarah se jeet ke tum paatr ho,
par dhara mein tum nahin ek maatr ho. . .
sare yatnon ko nahi milta padak hai,
par inhi mein ek ka hota tilak hai. . .
kathin to hai haar sahna aur baDhna,
par divas ye kaat loge, janta hoon
thoDa hi lekin Dare ho, janta hoon
ek thi bati diye mein, jal gai hai
ek thi ummid, wo bhi mar gai hai
tumne dekha hai bahut kuch tutta sa
toot kuch tum bhi ge ho, janta hoon
thoDa hi lekin Dare ho, janta hoon. . .
par suno ek baat, meri sun sako to
saath ka ek haath, mera chun sako to
kuch pahar hi naav, lahron mein phansi hai
ye lahr bhi, kuch pahar ko hi uthi hai
yoon to hai mushkil khaDe rahna kisi ka
par bana sakte ho sahas, janta hoon
thoDa hi lekin Dare ho, janta hoon. . .
tere hisse mein nahi yadi jeet hogi
haar mein tay hai ki koi seekh hogi
seekh ka ye karvan ek path rachega
isi ka ek chhor teri jay karega
yoon to kahna hai saral, karna kathin hai
lekin uthe to jeet loge, janta hoon
thoDa hi lekin Dare ho, janta hoon
pyase tat ka tap utha yoon taap lekar
nadi ko aana paDa, sailab lekar
jal uthi thi is tarah uski shilayen
muDi tat ki or tatini ki dishayen
aisi tapasya sadhana yoon to kathin hai
par chahoge to saadh loge, janta hoon
thoDa hi lekin Dare ho, janta hoon
har tarah se jeet ke tum paatr ho,
par dhara mein tum nahin ek maatr ho. . .
sare yatnon ko nahi milta padak hai,
par inhi mein ek ka hota tilak hai. . .
kathin to hai haar sahna aur baDhna,
par divas ye kaat loge, janta hoon
thoDa hi lekin Dare ho, janta hoon
स्रोत :
रचनाकार : संदीप द्विवेदी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.