देखी
आग, आग की कविता
देखी
अंग राग की कविता
देखी
दौड़ भाग की कविता
देखी
विषम राग की कविता
देखी
मौन स्वप्न की कविता
देखी
मुखर रंग की कविता
देखी
जगर मगर की कविता
देखी
अगर मगर की कविता
देखी
कविता तरह-तरह की
फिर
ख़ुद से बात-जिरह की
क्या फैला कहीं प्रकाश
क्या कोने हुए उजास
क्या बढ़ा कहीं आवेग
क्या लोग हुए कुछ पास
क्या खिले बहुत से फूल
क्या छँटे कुहासा धूल
क्या मिले किनारे कूल
या हुई भूल पर भूल
कहाँ
हैं सप्तक के वक्तव्य
कहीं
पर सघन कहीं पर भव्य
कहाँ
कविता के नव प्रतिमान
कहाँ
आई.ए. रिचर्ड्स का ज्ञान
फिसलते
नेत्र फिसलते दृश्य
फिसलती
गति फिसलते सत्य
आदमी की नीयत में खोट
सतह
के नीचे के विस्फोट
खिसकती
धरती की परतें
साव—
—धानी कितनी बरतें
लेकर
पढ़े-लिखे का लेखा
बैठे
समझ झरोखे देखा
जग का
मुजरा बदला-बदला
चाहूँ
खींचूँ लंबी रेखा।
dekhi
aag, aag ki kavita
dekhi
ang raag ki kavita
dekhi
dauD bhaag ki kavita
dekhi
visham raag ki kavita
dekhi
maun svapn ki kavita
dekhi
mukhar rang ki kavita
dekhi
jagar magar ki kavita
dekhi
agar magar ki kavita
dekhi
kavita tarah tarah ki
phir
khud se baat jirah ki
kya phaila kahin parkash
kya kone hue ujaas
kya baDha kahin aaveg
kya log hue kuch paas
kya khile bahut se phool
kya chhante kuhasa dhool
kya mile kinare kool
ya hui bhool par bhool
kahan
hain saptak ke vaktavya
kahin
par saghan kahin par bhavya
kahan
kavita ke nav pratiman
kahan
aai. e. richarDs ka gyaan
phisalte
netr phisalte drishya
phisalti
gati phisalte satya
adami ki niyat mein khot
satah
ke niche ke visphot
khisakti
dharti ki parten
saav—
—dhani kitni barten
lekar
paDhe likhe ka lekha
baithe
samajh jharokhe dekha
jag ka
mujra badla badla
chahun
khinchun lambi rekha.
dekhi
aag, aag ki kavita
dekhi
ang raag ki kavita
dekhi
dauD bhaag ki kavita
dekhi
visham raag ki kavita
dekhi
maun svapn ki kavita
dekhi
mukhar rang ki kavita
dekhi
jagar magar ki kavita
dekhi
agar magar ki kavita
dekhi
kavita tarah tarah ki
phir
khud se baat jirah ki
kya phaila kahin parkash
kya kone hue ujaas
kya baDha kahin aaveg
kya log hue kuch paas
kya khile bahut se phool
kya chhante kuhasa dhool
kya mile kinare kool
ya hui bhool par bhool
kahan
hain saptak ke vaktavya
kahin
par saghan kahin par bhavya
kahan
kavita ke nav pratiman
kahan
aai. e. richarDs ka gyaan
phisalte
netr phisalte drishya
phisalti
gati phisalte satya
adami ki niyat mein khot
satah
ke niche ke visphot
khisakti
dharti ki parten
saav—
—dhani kitni barten
lekar
paDhe likhe ka lekha
baithe
samajh jharokhe dekha
jag ka
mujra badla badla
chahun
khinchun lambi rekha.
स्रोत :
पुस्तक : इस अ-कवि समय में (पृष्ठ 90)
रचनाकार : संतोष चौबे
प्रकाशन : मेधा बुक्स
संस्करण : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.