नदी  ने  
मुझसे  
कुछ  कहा  
उसकी  तरंगें  
शब्द  हैं  
दोनों  किनारे  
कर्त्ता  औ’  कर्म  हैं  
प्रवाह  
क्रिया  है  
मीन  
अर्थ  है  
रेत  
ध्वनि  है  
फिर  भी  नदी  ने  मुझसे  क्या  कहा?  
यही  कि  भूत,  भविष्यत्  
औ'  वर्तमान  को  वह  जानती  है  
मैं  नदी  के  भीतर  की  नदी  हूँ  
बातों  के  भीतर  की  बात  हूँ  
गीतों  के  भीतर  का  गीत  है  
नदी  ने  मुझसे  अपनी  व्यथा  का  बयान  किया  
नगर  में  नदी  की  बात  
बड़ी  विचित्र  होती  है  
नगर  नदी  से  लड़ता  है  
नदी  के  उदर  में  कटार  भोंकता  है  
नदी  नगर  को  काटती  है  
नौ  दो  ग्यारह  हो  जाती  है  
नदी  और  नगर  के  बीच  
मैं  पिसता  जा  रहा  हूँ  
नगर  मुझसे  कुछ  कहता  नहीं  
वह  मुझसे  झगड़ता  भी  नहीं  
नदी  मुझे  व्यथित  करती  है  
मेरे  हृदय  के  शोध  में  रत  है  
कभी-कभी  रो  पड़ती  है  
मुझे  नदी  अधिक  प्रिय  है  
यौवन  के  आवेग  से  
आलोड़-विलोड़  करने  वाली  
प्रौढ़ा  के  समान  
गहन  आलिंगन  में  बँध  जाती  है  नदी  
नदी  से  रहित  ग्राम  
कोठरी  से  रहित  धाम  
झाड़ियों  से  रहित  दाव  
हृदय  से  रहित  मानव  
किसे  चाहिए!  
                nadi  ne  
mujhse  
kuch  kaha  
uski  tarangen  
shabd  hai  
donon  kinare  
kartta  au’  karm  hain  
prawah  
kiya  hai  
meen  
arth  hai  
ret  
dhwani  hai  
phir  bhi  nadi  ne  mujhse  kya  kaha?  
yahi  ki  bhoot,  bhawishyat  
au  wartaman  ko  wo  janti  hai  
main  nadi  ke  bhitar  ki  nadi  hoon  
baton  ke  bhitar  ki  baat  hoon  
giton  ke  bhitar  ka  geet  hai  
nadi  ne  mujhse  apni  wyatha  ka  byan  kiya  
nagar  mein  nadi  ki  baat  
baDi  wichitr  hoti  hai  
nagar  nadi  se  laDta  hai  
nadi  ke  udar  mein  katar  bhonkta  hai  
nadi  nagar  ko  katti  hai  
nau  do  gyarah  ho  jati  hai  
nadi  aur  nagar  ke  beech  
main  pista  ja  raha  hoon  
nagar  mujhse  kuch  kahta  nahin  
wo  mujhse  jhagaDta  bhi  nahin  
nadi  mujhe  wyathit  karti  hai  
mere  hirdai  ke  shodh  mein  rat  hai  
kabhi  kabhi  ro  paDti  hai  
mujhe  nadi  adhik  priy  hai  
yauwan  ke  aaweg  se  
aloD  wiloD  karne  wali  
proDha  ke  saman  
gahan  alingan  mein  bandh  jati  hai  nadi  
nadi  se  rahit  gram  
kothari  se  rahit  dham  
jhaDiyon  se  rahit  daw  
hirdai  se  rahit  manaw  
kise  chahiye!  
nadi  ne  
mujhse  
kuch  kaha  
uski  tarangen  
shabd  hai  
donon  kinare  
kartta  au’  karm  hain  
prawah  
kiya  hai  
meen  
arth  hai  
ret  
dhwani  hai  
phir  bhi  nadi  ne  mujhse  kya  kaha?  
yahi  ki  bhoot,  bhawishyat  
au  wartaman  ko  wo  janti  hai  
main  nadi  ke  bhitar  ki  nadi  hoon  
baton  ke  bhitar  ki  baat  hoon  
giton  ke  bhitar  ka  geet  hai  
nadi  ne  mujhse  apni  wyatha  ka  byan  kiya  
nagar  mein  nadi  ki  baat  
baDi  wichitr  hoti  hai  
nagar  nadi  se  laDta  hai  
nadi  ke  udar  mein  katar  bhonkta  hai  
nadi  nagar  ko  katti  hai  
nau  do  gyarah  ho  jati  hai  
nadi  aur  nagar  ke  beech  
main  pista  ja  raha  hoon  
nagar  mujhse  kuch  kahta  nahin  
wo  mujhse  jhagaDta  bhi  nahin  
nadi  mujhe  wyathit  karti  hai  
mere  hirdai  ke  shodh  mein  rat  hai  
kabhi  kabhi  ro  paDti  hai  
mujhe  nadi  adhik  priy  hai  
yauwan  ke  aaweg  se  
aloD  wiloD  karne  wali  
proDha  ke  saman  
gahan  alingan  mein  bandh  jati  hai  nadi  
nadi  se  rahit  gram  
kothari  se  rahit  dham  
jhaDiyon  se  rahit  daw  
hirdai  se  rahit  manaw  
kise  chahiye!  
 
    
 
    
        स्रोत : 
                
                        पुस्तक  : शब्द से शताब्दी तक (पृष्ठ 130)संपादक  : माधवराव रचनाकार  : दाशरथि 
                             प्रकाशन  : आंध्र प्रदेश हिंदी अकादमी
                         
                                                संस्करण   : 1985 
                
                
     
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
 
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.