पुरुष लौटना चाहता है अपनी उदगम की तरफ़
वह पेड़ की चोटी पर चढ़कर आसमान छूना चाहता है
वो लौटना चाहता है अपने गाँव, खेत, गलियों की ओर
कोई शोर नहीं,
उसे आँगन में लगी चारपाई याद आती है
जिसे वह पूरी दोपहर पेड़ से बनने वाले प्रतिबिंब के अनुसार खिसकाता रहता है
शाम को तालाब और सुबह नदी में नहाता है
घी चुपड़ी चूल्हे की रोटी मिलती है
जिस पर सिलबट्टे में पीसी आम नमक मिर्च की चटनी
ऐसे कई चित्र पुरुष के मन को गुदगुदा देते हैं
सैकड़ों ऐसे ही मनमोहक कविताएँ गढ़ी जाती है
ग्रामीण साधारण जीवन पर
लेकिन किसी औरत ने कही
ग्रामीण साधारण जीवन में लौटने की बात
क्योंकि जिस साधारण जीवन में
आदमी सुस्ताता है,
नदी में नहाता है
चूल्हे में पकी रोटी खाता है
वहाँ चूल्हा सुलगाती है औरत
सुलगाने से पहले उसे लिपती है
लिपने से पहले बुहारती है
बुहारती है आँगन जिसपर खाट लगता है
सरकारी नल कभी भी बंद हो जाए तो
'तिरबेनी' तो कभी 'मुरही' के कुएँ से पानी लाती है
वो चूल्हा लिपती है जिसपे बनती है रोटियाँ
आदमी नहीं जानता की उसके खाट के नीचे रखी चाय की कप कब धूल गई
बिखरी हुई माचिस और बीड़ी की ठूठ कब साफ़ कर दी गई
नहा कर आते ही खाना कैसे बन जाता है
ये सारी क्रियाएँ कोई स्वचालित यंत्र करता होगा होगा
क्योंकि पुरुष अपने बचपन के गाँव में औरत को नहीं लिखता
क्योंकि औरत जाना ही नहीं चाहती पुरुष के गाँव।
purush lautna chahta hai apni udgam ki taraf
wo peD ki choti par chaDhkar asman chhuna chahta hai
wo lautna chahta hai apne gaanv, khet, galiyon ki or
koi shor nahin,
use angan mein lagi charpai yaad aati hai
jise wo puri dopahar peD se banne vale pratibimb ke anusar khiskata rahta hai
shaam ko talab aur subah nadi mein nahata hai
ghi chupDi chulhe ki roti milti hai
jis par silbatte mein pisi aam namak mirch ki chatni
aise kai chitr purush ke man ko gudguda dete hain
saikDon aise hi manmohak kavitayen gaDhi jati hai
gramin sadharan jivan par
lekin kisi aurat ne kahi
gramin sadharan jivan mein lautne ki baat
kyonki jis sadharan jivan mein
adami sustata hai,
nadi mein nahata hai
chulhe mein paki roti khata hai
vahan chulha sulgati hai aurat
sulgane se pahle use lipti hai
lipne se pahle buharti hai
buharti hai angan jispar khaat lagta hai
sarkari nal kabhi bhi band ho jaye to
tirbeni to kabhi murhi ke kuen se pani lati hai
wo chulha lipti hai jispe banti hai rotiyan
adami nahin janta ki uske khaat ke niche rakhi chaay ki kap kab dhool gai
bikhri hui machis aur biDi ki thooth kab saaf kar di gai
nha kar aate hi khana kaise ban jata hai
ye sari kriyayen koi svachalit yantr karta hoga hoga
kyonki purush apne bachpan ke gaanv mein aurat ko nahin likhta
kyonki aurat jana hi nahin chahti purush ke gaanv.

स्रोत :
रचनाकार : पूर्णिमा साहू
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.