अप्रैल  से  वित्तवर्ष  शुरू  होता  
वित्तविहीन  का  चित्तवर्ष  भी  
पीली  ततैया  शुरू  करती  हैं  
अपने  छत्ते  बनाने  का  काम  
जैसे  गौरैया  करती  है  
अपने  आने  वाले  बच्चों  के  लिए  
तिनका-तिनका  चुनना  
तलाशना  पुरानी  धन्नी  में  कोई  
बिल  जैसा  सुराख  उसमें  
तिनकों  से  घोंसला  बुनने  के  लिए  
ततैया  शुरू  करती  है  
जैसे  ही  चार  अंगुल  सूरज  चढ़ता  है  
पुराने  घरों  के  पुराने  दरवाज़ों  की  
चौखटों  से  काठ  के  पुराने  रेशों  को  चुगना  
ततैया  के  पंजे  तो  होते  नहीं  हैं  
दाँत  भी  किसने  देखे  हैं  
मूँछ  के  बाल  जैसे  चिमटे  से  
इतनी  नफ़ासत  से  उठाती  है  वह  
पुराने  काठ  के  सूक्ष्मातिसूक्ष्म  रेशे  
स्टेमसेलसर्जरी  सीखी  होगी  किसी  ने  उसी  से  
ततैया  उस  माइक्रो  अंश  को  लेकर  
जाती  है  सरकारी  पानी  की  बंद  टैप  तक  
बंद  टोंटी  के  होंठों  में  
अटका  होता  है  एक  बूँद  पानी  
जैसे  ओस  की  एक  बूँद  लटकी  रह  जाती  है  
हरी  पत्ती  की  नोक  से  
ततैया  को  उस  एक  बूँद  की  माइक्रो  बूँद  
भर  की  ज़रूरत  होती  है  
वह  काठ  के  माइक्रो  रेशे  को  
इस  माइक्रो  बूँद  पानी  और  
अपने  अंतर्स्राव  से  सान-मांड  कर  रख  आती  है  
दो  मिनट  में  फिर  फेरा  करती  
पुरानी  चौखट  के  काठ  रेशे  
लटकी  हुई  पानी  बूँद  की  माइक्रो  बूँद  के  लिए  
और  जब  सूरज  को  रह  जाती  है  
उतरने  को  बस  पाँच  अंगुल  की  सीढ़ी  
ततैया  अदृश्य  हो  जाती  है  
ततैया  के  छत्ते  का  मोम  
मघुमक्खी  के  छत्ते  जैसा  भले  न  हो  
पूरे  अप्रैल  भर  में  वह  कम  से  कम  
पाँच-छह  इंच  व्यास  का  छत्ता  बना  लेती  है  
यह  छत्ता  उसका  घर-ख़ानदान  होता  
पीली  ततैया  का  डंक  
आदमी  को  पीड़ा  दे  सकता  है  
ततैया  के  छत्ते  परित्यक्त  मिल  जाएँगे  
जैसे  मिल  जाते  हैं  रेल-पटरी  किनारे  
बस्ती  से  लहँगे  की  गोट  पर  रगड़  खाते  
बिर्रे  जंगल  में  एबन्डंड  रेलवे  क्वार्टर  
आदमी  भी  बनाता  है  अपना  घर  छत्ता  
ठीक  ततैया  के  ढर्रे  पर  
रहता  है  बाल-बच्चे  पालता  है  
काटता  है  डंक  मारता  है  
ख़तरे  को  फूँक  कर  हुश  करके  उड़ाता  है  
और  घर  छत्ता  ख़ाली  करके  चला  जाता  
अप्रैल  में  लौटती  है  ततैया  
और  मई  में  लौटता  है  
मुम्बई  से  यूपी  का  भैय्या  
             
                april  se  wittwarsh  shuru  hota  
wittawihin  ka  chittwarsh  bhi  
pili  tataiya  shuru  karti  hain  
apne  chhatte  banane  ka  kaam  
jaise  gauraiya  karti  hai  
apne  aane  wale  bachchon  ke  liye  
tinka  tinka  chunna  
talashna  purani  dhanni  mein  koi  
bil  jaisa  surakh  usmen  
tinkon  se  ghonsla  bunne  ke  liye  
tataiya  shuru  karti  hai  
jaise  hi  chaar  angul  suraj  chaDhta  hai  
purane  gharon  ke  purane  darwazon  ki  
chaukhton  se  kath  ke  purane  reshon  ko  chugna  
tataiya  ke  panje  to  hote  nahin  hain  
dant  bhi  kisne  dekhe  hain  
moonchh  ke  baal  jaise  chimte  se  
itni  nafasat  se  uthati  hai  wo  
purane  kath  ke  sukshmatisukshm  reshe  
stemselsarjri  sikhi  hogi  kisi  ne  usi  se  
tataiya  us  micro  ansh  ko  lekar  
jati  hai  sarkari  pani  ki  band  taip  tak  
band  tonti  ke  honthon  mein  
atka  hota  hai  ek  boond  pani  
jaise  os  ki  ek  boond  latki  rah  jati  hai  
hari  patti  ki  nok  se  
tataiya  ko  us  ek  boond  ki  micro  boond  
bhar  ki  zarurat  hoti  hai  
wo  kath  ke  micro  reshe  ko  
is  micro  boond  pani  aur  
apne  antarsraw  se  san  manD  kar  rakh  aati  hai  
do  minat  mein  phir  phera  karti  
purani  chaukhat  ke  kath  reshe  
latki  hui  pani  boond  ki  micro  boond  ke  liye  
aur  jab  suraj  ko  rah  jati  hai  
utarne  ko  bus  panch  angul  ki  siDhi  
tataiya  adrshy  ho  jati  hai  
tataiya  ke  chhatte  ka  mom  
maghumakkhi  ke  chhatte  jaisa  bhale  na  ho  
pure  april  bhar  mein  wo  kam  se  kam  
panch  chhah  inch  wyas  ka  chhatta  bana  leti  hai  
ye  chhatta  uska  ghar  khandan  hota  
pili  tataiya  ka  Dank  
adami  ko  piDa  de  sakta  hai  
tataiya  ke  chhatte  parityakt  mil  jayenge  
jaise  mil  jate  hain  rail  patri  kinare  
basti  se  lahnge  ki  got  par  ragaD  khate  
birre  jangal  mein  ebanDanD  railway  quarter  
adami  bhi  banata  hai  apna  ghar  chhatta  
theek  tataiya  ke  Dharre  par  
rahta  hai  baal  bachche  palta  hai  
katta  hai  Dank  marta  hai  
khatre  ko  phoonk  kar  hush  karke  uData  hai  
aur  ghar  chhatta  khali  karke  chala  jata  
april  mein  lautti  hai  tataiya  
aur  mai  mein  lautta  hai  
mumbi  se  up  ka  bhaiyya  
april  se  wittwarsh  shuru  hota  
wittawihin  ka  chittwarsh  bhi  
pili  tataiya  shuru  karti  hain  
apne  chhatte  banane  ka  kaam  
jaise  gauraiya  karti  hai  
apne  aane  wale  bachchon  ke  liye  
tinka  tinka  chunna  
talashna  purani  dhanni  mein  koi  
bil  jaisa  surakh  usmen  
tinkon  se  ghonsla  bunne  ke  liye  
tataiya  shuru  karti  hai  
jaise  hi  chaar  angul  suraj  chaDhta  hai  
purane  gharon  ke  purane  darwazon  ki  
chaukhton  se  kath  ke  purane  reshon  ko  chugna  
tataiya  ke  panje  to  hote  nahin  hain  
dant  bhi  kisne  dekhe  hain  
moonchh  ke  baal  jaise  chimte  se  
itni  nafasat  se  uthati  hai  wo  
purane  kath  ke  sukshmatisukshm  reshe  
stemselsarjri  sikhi  hogi  kisi  ne  usi  se  
tataiya  us  micro  ansh  ko  lekar  
jati  hai  sarkari  pani  ki  band  taip  tak  
band  tonti  ke  honthon  mein  
atka  hota  hai  ek  boond  pani  
jaise  os  ki  ek  boond  latki  rah  jati  hai  
hari  patti  ki  nok  se  
tataiya  ko  us  ek  boond  ki  micro  boond  
bhar  ki  zarurat  hoti  hai  
wo  kath  ke  micro  reshe  ko  
is  micro  boond  pani  aur  
apne  antarsraw  se  san  manD  kar  rakh  aati  hai  
do  minat  mein  phir  phera  karti  
purani  chaukhat  ke  kath  reshe  
latki  hui  pani  boond  ki  micro  boond  ke  liye  
aur  jab  suraj  ko  rah  jati  hai  
utarne  ko  bus  panch  angul  ki  siDhi  
tataiya  adrshy  ho  jati  hai  
tataiya  ke  chhatte  ka  mom  
maghumakkhi  ke  chhatte  jaisa  bhale  na  ho  
pure  april  bhar  mein  wo  kam  se  kam  
panch  chhah  inch  wyas  ka  chhatta  bana  leti  hai  
ye  chhatta  uska  ghar  khandan  hota  
pili  tataiya  ka  Dank  
adami  ko  piDa  de  sakta  hai  
tataiya  ke  chhatte  parityakt  mil  jayenge  
jaise  mil  jate  hain  rail  patri  kinare  
basti  se  lahnge  ki  got  par  ragaD  khate  
birre  jangal  mein  ebanDanD  railway  quarter  
adami  bhi  banata  hai  apna  ghar  chhatta  
theek  tataiya  ke  Dharre  par  
rahta  hai  baal  bachche  palta  hai  
katta  hai  Dank  marta  hai  
khatre  ko  phoonk  kar  hush  karke  uData  hai  
aur  ghar  chhatta  khali  karke  chala  jata  
april  mein  lautti  hai  tataiya  
aur  mai  mein  lautta  hai  
mumbi  se  up  ka  bhaiyya  
 
             
    
 
    
        स्रोत : 
                
                                                                    रचनाकार  : बजरंग बिश्नोई  
                                            
                             प्रकाशन  : सदानीरा वेब पत्रिका
                         
                                     
                
                
     
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
 
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.