उस छोटे से शहर के
निर्जन एकांत में
चुपचाप खड़ा था
भूत बंगला।
काटने को दौड़ती थी
दिन में भी उसकी वीरानी
लटकती खिड़कियाँ
झूलते दरवाज़े
उखड़ता पलस्तर
पसरती घास
बंद रोशनदानों को छूती
जंगली लताएँ
और दीवारों से उगते पेड़
कहते थे उसके भूत बन चुके
इंसानों की कहानी।
पता चल चुका था
मकड़ियों और चमगादड़ों को
कि वहाँ भूतों के सिवा कोई नहीं रहता
और कर लिया था उन्होंने
उसकी छतों से लटकने का इंतज़ाम
साँप गोह और कबर बिज्जू
निश्चिंत विचरते थे वहाँ पर
कि भूतों से उन्हें कोई ख़तरा नहीं था।
जैसा कि अक्सर
भूत बंगलों के साथ होता है
रात में तो कोई
भूलकर भी नहीं फटकता उसके आस-पास
छुपी थी उसमें भी
एक अमीर आदमी की प्रेम कहानी
कूद पड़ी थी जिसकी प्रेमिका
वहीं बंगले के पीछे बनी
अँधेरी बावड़ी में भरी जवानी
और जो आज भी कुछ लोगों को
बंगले की मुंडेर पर
चलती दिख जाती थी
कुछ तो अब भी सुन पाते थे
चाँदनी रात में
उसकी पायलों की आवाज़ छन-छन।
शहर की दंत कथाओं का
अभिन्न हिस्सा था
भूत बंगला
शहर की कहानी के साथ चलता
एक ज़रूरी किस्सा था
भूत बंगला।
और आश्चर्य की बात
कि उस शहर के बाद
मैं जहाँ भी गया
हर शहर में मिला मुझे
एक भूत बंगला
वैसे ही जैसे हर गाँव में
एक भुतहा पीपल
वीरान हवेली
अभिमंत्रित बावड़ी
या वर्जित वन
जिसे दूर से देखा जा सकता था
पर जहाँ जाने की मनाही थी।
और उससे भी बड़ा आश्चर्य ये
कि जब एक दिन
झाँक कर देखा मैंने अपने भीतर
तो पाया कि मन के सुनसान में
लता-ग़ुल्मों से घिरा
खड़ा था एक भूत बंगला
जहाँ जाने से
मेरा मन डरता था।
us chhote se shahr ke
nirjan ekaant mein
chupchap khaDa tha
bhoot bangla.
katne ko dauDti thi
din mein bhi uski virani
latakti khiDkiyan
jhulte darvaze
ukhaDta palastar
pasarti ghaas
band roshandanon ko chhuti
jangli latayen
aur divaron se ugte peD
kahte the uske bhoot ban chuke
insanon ki kahani.
pata chal chuka tha
makaDiyon aur chamgadDon ko
ki vahan bhuton ke siva koi nahin rahta
aur kar liya tha unhonne
uski chhaton se latakne ka intzaam
saanp goh aur kabar bijju
nishchint vicharte the vahan par
ki bhuton se unhen koi khatra nahin tha.
jaisa ki aksar
bhoot banglon ke saath hota hai
raat mein to koi
bhulkar bhi nahin phatakta uske aas paas
chhupi thi usmen bhi
ek amir adami ki prem kahani
kood paDi thi jiski premika
vahin bangle ke pichhe bani
andheri bavDi mein bhari javani
aur jo aaj bhi kuch logon ko
bangle ki munDer par
chalti dikh jati thi
kuch to ab bhi sun pate the
chandni raat mein
uski paylon ki avaz chhan chhan.
shahr ki dant kathaon ka
abhinn hissa tha
bhoot bangla
shahr ki kahani ke saath chalta
ek zaruri kissa tha
bhoot bangla.
aur ashcharya ki baat
ki us shahr ke baad
main jahan bhi gaya
har shahr mein mila mujhe
ek bhoot bangla
vaise hi jaise har gaanv mein
ek bhutha pipal
viran haveli
abhimantrit bavDi
ya varjit van
jise door se dekha ja sakta tha
par jahan jane ki manahi thi.
aur usse bhi baDa ashcharya ye
ki jab ek din
jhaank kar dekha mainne apne bhitar
to paya ki man ke sunsan mein
lata ghulmon se ghira
khaDa tha ek bhoot bangla
jahan jane se
mera man Darta tha.
us chhote se shahr ke
nirjan ekaant mein
chupchap khaDa tha
bhoot bangla.
katne ko dauDti thi
din mein bhi uski virani
latakti khiDkiyan
jhulte darvaze
ukhaDta palastar
pasarti ghaas
band roshandanon ko chhuti
jangli latayen
aur divaron se ugte peD
kahte the uske bhoot ban chuke
insanon ki kahani.
pata chal chuka tha
makaDiyon aur chamgadDon ko
ki vahan bhuton ke siva koi nahin rahta
aur kar liya tha unhonne
uski chhaton se latakne ka intzaam
saanp goh aur kabar bijju
nishchint vicharte the vahan par
ki bhuton se unhen koi khatra nahin tha.
jaisa ki aksar
bhoot banglon ke saath hota hai
raat mein to koi
bhulkar bhi nahin phatakta uske aas paas
chhupi thi usmen bhi
ek amir adami ki prem kahani
kood paDi thi jiski premika
vahin bangle ke pichhe bani
andheri bavDi mein bhari javani
aur jo aaj bhi kuch logon ko
bangle ki munDer par
chalti dikh jati thi
kuch to ab bhi sun pate the
chandni raat mein
uski paylon ki avaz chhan chhan.
shahr ki dant kathaon ka
abhinn hissa tha
bhoot bangla
shahr ki kahani ke saath chalta
ek zaruri kissa tha
bhoot bangla.
aur ashcharya ki baat
ki us shahr ke baad
main jahan bhi gaya
har shahr mein mila mujhe
ek bhoot bangla
vaise hi jaise har gaanv mein
ek bhutha pipal
viran haveli
abhimantrit bavDi
ya varjit van
jise door se dekha ja sakta tha
par jahan jane ki manahi thi.
aur usse bhi baDa ashcharya ye
ki jab ek din
jhaank kar dekha mainne apne bhitar
to paya ki man ke sunsan mein
lata ghulmon se ghira
khaDa tha ek bhoot bangla
jahan jane se
mera man Darta tha.
स्रोत :
पुस्तक : इस अ-कवि समय में (पृष्ठ 121)
रचनाकार : संतोष चौबे
प्रकाशन : मेधा बुक्स
संस्करण : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.