मैं  कुछ  कर  नहीं  सकता  
जो  कुछ  करना  होता  है  मेरी  कविता  करती  होती  है  
मसलन,  वह  किसी  की  पलकों  पर  तैर  सकती  है  
किसी  की  आँखों  की  यात्रा  कर  सकती  है  
किसी  भी  आड़ी-तिरछी  आँखों  के  बीच  आ  सकती  है  
पर्वतों  की  तिलोत्तमा  चोटियों  पर  आँखें  गड़ा  सकती  है  
घृताची  सौंदर्य  दर्शन  कर  सकती  है  
दोना  नहीं  भर  सकती  किसी  भी  क़दर  
नए  ज़माने  को  जानती  होती  है  
जो  कुछ  करना  होता  है  मेरी  कविता  करती  होती  है  
मैं  कुछ  कर  नहीं  सकता  
इस  तरह  वह  कभी-कभी  आदमी  हो  जाती  है  
जंगल  से  लौटकर  जब  आती  होती  है  
झुग्गी-झोपड़ियाँ  जब  पूरी  बना  लेती  हैं  
खेत-खलिहानों  से  जब  दूर  जा  पड़ती  है  
पर्यावरण  रक्षा  से  जब  दूर  कर  दी  जाती  है  
इस  तरह  मेरी  कविता  होती  है  
                main  kuch  kar  nahin  sakta  
jo  kuch  karna  hota  hai  meri  kawita  karti  hoti  hai  
masalan,  wo  kisi  ki  palkon  par  tair  sakti  hai  
kisi  ki  ankhon  ki  yatra  kar  sakti  hai  
kisi  bhi  aaDi  tirchhi  ankhon  ke  beech  aa  sakti  hai  
parwton  ki  tilottama  chotiyon  par  ankhen  gaDa  sakti  hai  
ghritachi  saundarya  darshan  kar  sakti  hai  
dona  nahin  bhar  sakti  kisi  bhi  qadar  
nae  zamane  ko  janti  hoti  hai  
jo  kuch  karna  hota  hai  meri  kawita  karti  hoti  hai  
main  kuch  kar  nahin  sakta  
is  tarah  wo  kabhi  kabhi  adami  ho  jati  hai  
jangal  se  lautkar  jab  aati  hoti  hai  
jhuggi  jhopaDiyan  jab  puri  bana  leti  hain  
khet  khalihanon  se  jab  door  ja  paDti  hai  
paryawarn  rakhsha  se  jab  door  kar  di  jati  hai  
is  tarah  meri  kawita  hoti  hai  

        स्रोत : 
                
                        पुस्तक  : दंड की अग्नि (पृष्ठ 160)रचनाकार  : शिवमंगल सिद्धांतकर 
                             प्रकाशन  : अधिकरण प्रकाशन
                         
                                                संस्करण   : 2019 
                
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.