तस्वीरों  में  जितना  दिखता  है  
उससे  ज़्यादा  रह  जाता  है  बाहर  
तस्वीरें  कहाँ  बताती  हैं  कि  कभी  भी  
बदल  सकती  है  तस्वीर  
शहर  में  छले  गए  लाखों  लोगों  का  
पैदल  ही  चल  पड़  पड़ना  गाँवों  की  ओर  
तस्वीरों  में  दिखता  है  
पर  कोई  भी  तस्वीर  कहाँ  बताती  है  
कि  इतने  सारे  पाँव  चाहें  तो  एक  झटके  में  
रौंद  सकते  हैं  शाही  तख़्त  को  
रात-दिन  चलते  मज़दूरों  के  
चेहरों  पर  गहरी  थकान  
और  रास्तों  पर  जगह-जगह  मौत  के  निशान  
तस्वीरों  में  दिखते  हैं  
पर  कोई  भी  तस्वीर  कहाँ  बताती  है  
कि  सारा  दुख  ग़ुस्से  में  बदल  जाए  
तो  दरक  सकते  हैं  बड़े  से  बड़े  क़िले  
तस्वीरें  अधूरी  रहती  हैं  हमेशा  
जब  कैमरे  बंद  रहते  हैं  
तब  भी  सूरज  रुकता  नहीं  
जरा  सोचो!  उन  तस्वीरों  के  बारे  में  
जो  अब  तक  किसी  फ़्रेम  में  नहीं  आईं  
आएँगी,  कभी  तो  आएँगी  
छल  की  छाती  पर  लाखों  पाँवों  के  
समवेत  धमक  की  तस्वीर  
समूची  तस्वीर  बदल  
जाने  की  तस्वीर  
                taswiron  mein  jitna  dikhta  hai  
usse  zyada  rah  jata  hai  bahar  
taswiren  kahan  batati  hain  ki  kabhi  bhi  
badal  sakti  hai  taswir  
shahr  mein  chhale  gaye  lakhon  logon  ka  
paidal  hi  chal  paD  paDna  ganwon  ki  or  
taswiron  mein  dikhta  hai  
par  koi  bhi  taswir  kahan  batati  hai  
ki  itne  sare  panw  chahen  to  ek  jhatke  mein  
raund  sakte  hain  shahi  takht  ko  
raat  din  chalte  mazduron  ke  
chehron  par  gahri  thakan  
aur  raston  par  jagah  jagah  maut  ke  nishan  
taswiron  mein  dikhte  hain  
par  koi  bhi  taswir  kahan  batati  hai  
ki  sara  dukh  ghusse  mein  badal  jaye  
to  darak  sakte  hain  baDe  se  baDe  qile  
taswiren  adhuri  rahti  hain  hamesha  
jab  camere  band  rahte  hain  
tab  bhi  suraj  rukta  nahin  
jara  socho!  un  taswiron  ke  bare  mein  
jo  ab  tak  kisi  frame  mein  nahin  ain  
ayengi,  kabhi  to  ayengi  
chhal  ki  chhati  par  lakhon  panwon  ke  
samwet  dhamak  ki  taswir  
samuchi  taswir  badal  
jane  ki  taswir  
taswiron  mein  jitna  dikhta  hai  
usse  zyada  rah  jata  hai  bahar  
taswiren  kahan  batati  hain  ki  kabhi  bhi  
badal  sakti  hai  taswir  
shahr  mein  chhale  gaye  lakhon  logon  ka  
paidal  hi  chal  paD  paDna  ganwon  ki  or  
taswiron  mein  dikhta  hai  
par  koi  bhi  taswir  kahan  batati  hai  
ki  itne  sare  panw  chahen  to  ek  jhatke  mein  
raund  sakte  hain  shahi  takht  ko  
raat  din  chalte  mazduron  ke  
chehron  par  gahri  thakan  
aur  raston  par  jagah  jagah  maut  ke  nishan  
taswiron  mein  dikhte  hain  
par  koi  bhi  taswir  kahan  batati  hai  
ki  sara  dukh  ghusse  mein  badal  jaye  
to  darak  sakte  hain  baDe  se  baDe  qile  
taswiren  adhuri  rahti  hain  hamesha  
jab  camere  band  rahte  hain  
tab  bhi  suraj  rukta  nahin  
jara  socho!  un  taswiron  ke  bare  mein  
jo  ab  tak  kisi  frame  mein  nahin  ain  
ayengi,  kabhi  to  ayengi  
chhal  ki  chhati  par  lakhon  panwon  ke  
samwet  dhamak  ki  taswir  
samuchi  taswir  badal  
jane  ki  taswir  
 
    
 
    
        स्रोत : 
                
                                                                    रचनाकार  : सुभाष राय 
                             प्रकाशन  : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
                         
                                     
                
                
     
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
 
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.