है कहाँ वह चंद्रिका
वह शुम्र प्राँगण
भामिनी हर यामिनी से पूछती है
अंजुरी में जल नहीं
यमुना लिए हूँ
ये समर्पण भाव का पर्याय है प्रिय
दृष्टि में है बाढ़, पर
सपना लिए हूँ
डगमगाती नाव पर-अन्याय है प्रिय
है कहाँ अधरों छुआ
मन-मुग्ध गुंजन
बाँसुरी अनुरागिनी से पूछती है
रंग गया जो छोर
मेरी ओढ़नी का
श्वेत होता ही नहीं बस साँवरा है
लिख गया जो
एक अक्षर वर्तनी का
वह हृदय में स्नेह-संजीवन भरा है
है कहाँ पनघट
कहाँ भीगा हुआ मन
डोर मुझ हत-भागिनी से पूछती है
श्वाँस की सीमित
अवधि वश में न मेरे
पर हृदय की आश अक्षत हो गई है
प्रेम-धागे में बँधा
जर्जर हुआ तन
किंतु मेरी प्रीत पर्वत हो गई है
है कहाँ वह
सार-गर्भित स्नेह-सिंचन
पाँखुरी उन्मादिनी से पूछती है
kahan?
hai kahan wo chandrika
wo shumr prangan
bhamini har yamini se puchhti hai
anjuri mein jal nahin
yamuna liye hoon
ye samarpan bhaav ka paryay hai priy
drishti mein hai baaDh, par sapna
liye hoon
Dagmagati naav par anyay hai priy
hai kahan adhron chhua
man mugdh gunjan
bansuri anuragini se puchhti hai
rang gaya jo chhor
meri oDhni ka
shvet hota hi nahin bas sanvra hai
likh gaya jo
ek akshar vartani ka
wo hriday mein sneh sanjivan bhara hai
hai kahan panghat
kahan bhiga hua man
Dor mujh hat bhagini se puchhti hai
shvaans ki simit
avadhi vash mein na mere
par hriday ki aash akshat ho gai hai
prem dhage mein bandha
jarjar hua tan
kintu meri preet parvat ho gai hai
hai kahan wo
saar garbhit sneh sinchan
pankhuri unmadini se puchhti hai
kahan?
hai kahan wo chandrika
wo shumr prangan
bhamini har yamini se puchhti hai
anjuri mein jal nahin
yamuna liye hoon
ye samarpan bhaav ka paryay hai priy
drishti mein hai baaDh, par sapna
liye hoon
Dagmagati naav par anyay hai priy
hai kahan adhron chhua
man mugdh gunjan
bansuri anuragini se puchhti hai
rang gaya jo chhor
meri oDhni ka
shvet hota hi nahin bas sanvra hai
likh gaya jo
ek akshar vartani ka
wo hriday mein sneh sanjivan bhara hai
hai kahan panghat
kahan bhiga hua man
Dor mujh hat bhagini se puchhti hai
shvaans ki simit
avadhi vash mein na mere
par hriday ki aash akshat ho gai hai
prem dhage mein bandha
jarjar hua tan
kintu meri preet parvat ho gai hai
hai kahan wo
saar garbhit sneh sinchan
pankhuri unmadini se puchhti hai
स्रोत :
पुस्तक : राधा की अंतिम यात्रा (पृष्ठ 1)
रचनाकार : ज्ञानवती सक्सेना
प्रकाशन : श्रीमती लीला गुप्ता
संस्करण : 1999
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.