आँसू मेरे अभिमानी हैं, अनुकम्पा में प्रेम न देना,
मुझको कंधे पर सर रखकर,
रोने का अभ्यास नहीं है!
एक नदी जो जाने कितने झँझावातों से लड़ आई,
विश्वासों की डोर पकड़कर वो अपने सागर तक आई,
आत्ममुग्ध है सागर उसने कब नदिया के मन को जाना,
सागर मात्र समर्पण उसका,
सागर उसकी प्यास नहीं है!
ये कैसी है शर्त तुम्हारी, स्वप्न मिटा दूँ अपने सारे?
अपना सूरज कहा तुम्हे, तुम ले लोगे मेरे उजियारे?
माना अपनी सारी दुनिया एक हथेली पर रख दी है,
बंद तुम्हारी उस मुट्ठी में
पर मेरा आकाश नहीं है!
सुनो प्रेम के संधिपत्र में इकतरफ़ा अनुबंध न होंगे,
मेरे घूँघरू मेरे घर के संदूकों में बंद न होंगे,
स्वाभिमान को शृंगारों की शर्तों में तुम बाँध रहे हो,
मेरी किसी कामना में
समझौतों का मधुमास नहीं है!
ansu mere abhimani hain, anukampa mein prem na dena,
mujhko kandhe par sar rakhkar,
rone ka abhyas nahin hai!
ek nadi jo jane kitne jhanjhavaton se laD aai,
vishvason ki Dor pakaDkar wo apne sagar tak aai,
atmamugdh hai sagar usne kab nadiya ke man ko jana,
sagar maatr samarpan uska,
sagar uski pyaas nahin hai!
ye kaisi hai shart tumhari, svapn mita doon apne sare?
apna suraj kaha tumhe, tum le loge mere ujiyare?
mana apni sari duniya ek hatheli par rakh di hai,
band tumhari us mutthi men
par mera akash nahin hai!
suno prem ke sandhipatr mein ikatarfa anubandh na honge,
mere ghungharu mere ghar ke sandukon mein band na honge,
svabhiman ko shringaron ki sharton mein tum baandh rahe ho,
meri kisi kamna men
samjhauton ka madhumas nahin hai!

स्रोत :
रचनाकार : स्वरिका कीर्ति
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.