एक बातचीत से बात शुरू करूँ। इक़बाल हुसैन कौन हैं, यह तो बाद में मालूम पड़ेगा, पर उनकी एक बात यहाँ पहले ही नोट कर दूँ। इक़बाल हुसैन के एक दोस्त बोले—देखिए जनाब, सीधी-सी बात है, और मैंने देखी और महसूस की है। जब आदमी ग़रीब होता है और वह ख़ुद को शोषण का शिकार पाता है, तब वह मज़हब की तरफ़ भागता है और देखते-देखते कट्टर मज़हबी हो जाता है और जब वह कट्टर मज़हबी आदमी सरकारी ताक़तवरों के बीच अपनी मन मुआफ़िफ़ जगह नहीं बना पाता तो वही फैनेटिक जेहादी हो जाता है!...भाईजान, मैंने तो यहाँ हीरामंडी में सब तरह के लोग आते देखें हैं...कौन है जो यहाँ नहीं आता।
यह बताने की ज़रूरत तो शायद नहीं है कि हीरामंडी लाहौर का ही नहीं, बल्कि एशिया का सबसे बड़ा वेश्या-बाज़ार है। जानने वाली बात यह है कि इस वेश्या बाज़ार में बहुत-से ख़ानदान ऐसे हैं जो पुश्तों से इसी धंधे में हैं। वेश्याओं का यह पुश्तैनी सिलसिला एशिया के अन्य शहरों या भारत-पाक के अन्य सैक्स बाज़ारों में नहीं मिलता। यहीं के एक वेश्या ख़ानदान के बेटे हैं इक़बाल हुसैन! उनका ख़ानदान पुश्तों से इसी धंधे में है। उनसे हमारी मुलाक़ात होनी ही थी क्योंकि सार्क देशों के सारे लेखकों का तो नहीं, पर मेज़बानों ने हिंदुस्तानी लेखकों की एक शाम का खाना 'कुक्कूज़ नेस्ट' में रखा था। इक़बाल हुसैन साहब इसी मशूहर होटल के मालिक हैं। यह होटल हीरामंडी इलाक़े में बादशाही मस्जिद के ऐन सामने हैं। रात को रोशनियों से सजी, जगमगाती बादशाही मस्जिद का नज़ारा भुलाया नहीं जा सकता। वैसे भी पाकिस्तान में कुदरती गैस और बिजली की इफ़रात है। सिर्फ़ लाहौर ही नहीं, पाकिस्तान का हर शहर बिजली से जगमग करता रहता है। तो हम 'कुक्कूज़ नेस्ट' होटल में पहुँचे, वहीं मेंरी मुलाक़ात उसके मालिक इक़बाल हुसैन के एक नज़दीकी जानकार और दो-तीन अन्य पाकिस्तानी दोस्तों से हुई। सबके नाम लिखना मुनासिब नहीं होगा, क्योंकि कुछ ऐसी बातें भी इन्होंने कही, जो लिख देना तो आसान है, पर इत्तफ़ाक़ से कभी कहीं किसी सिर-फिरे द्वारा पढ़ ली गई तो बबाल खड़ा हो सकता है।
तो हीरामंडी में बादशाह मस्जिद के सामने खड़ी है यह 'कुक्कूज़ नेस्ट' वाली हवेली। यह पाँच मंज़िली है। हम भारतीय लेखकों के लिए खाने का इंतज़ाम पाँचवीं मंज़िल पर किया गया था। रसोई नीचे है और खाने का सारा सामान उसी तरह आता था। जैसे कुएँ से रस्सी के ज़रिए पानी खींचा जाता है। वहाँ घुसते ही खाने की महक आई, ज़बरदस्त मुग़लई खाना था। छत से बादशाही मस्जिद और हीरामंडी का काफ़ी इलाक़ा दिखाई देता था। यह पुरानी हवेली है। पतले ज़ीनों से ऊपर जाना होता है। यह जानकर ताज्जुब नहीं होना चाहिए कि हर मंज़िल पर सजावट के लिए हिंदू देवी-देवताओं की मूर्तियाँ मौजूद हैं। दूसरी या तीसरी मंज़िल पर हनुमान की संगमरमर की चार फुट की मूर्ति मौजूद है। हनुमान के अलावा लक्ष्मी और अन्नपूर्णा की मूर्तियाँ भी यहाँ मौजूद हैं। और उन पर सूखी या आधी सूखी मालाएँ भी चढ़ी हैं और ताज़े फूल भी। यानी वह फूल हमारी वजह से दिखावे के लिए नहीं चढ़ाए गए थे।
इक़बाल हुसैन की उम्र लगभग पचास साल है, वे पेशे से होटल वाले नहीं, पेंटर हैं। उनका ख़ानदान वेश्याओं का है। उनकी माँ पेशे में थीं और अब उनकी बहनें भी पेशे में ही हैं। उनके ख़ानदान की औरतों का यह पुश्तैनी पेशा है। उनकी बड़ी बहन उन्हें आर्ट स्कूल में पढ़ाना चाहती थीं। वे पेशे में हैं, उन्होंने ही इक़बाल को मनाया कि वह नेशनल कॉलेज ऑफ़ आर्ट में दाख़िला ले लें। फ़ीस वग़ैरह का खर्च़ा बहन ही उठाती थीं। पेंटर के रूप में इक़बाल हुसैन ने हीरामंडी की वेश्याओं की ज़िंदगी को लेकर ही सारी पेंटिंग्स बनाई हैं। पहली बार जब वह अपनी पेंटिंग्स की नुमाइश करना चाहते थे तो तत्कालीन फ़ौजी तानाशाह जिया-उल-हक ने सरकारी हुक्मनामा जारी करवा दिया था कि नुमाइश के लिए उन जैसे गिरे हुए पेंटर को कोई गैलरी नहीं दी जाए। पेंटर इक़बाल हुसैन को किराए पर कोई गैलरी नहीं मिली, तो उन्होंने अपनी पेंटिंग्स की नुमाइश पटरी पर लगाई, जिसे देखने के लिए भीड़ उमड़ पड़ी। उसके बाद पेंटर के रूप में इक़बाल हुसैन ने पीछे मुड़कर नहीं देखा। पिछले साल वर्ल्ड बैंक इस्लामाबाद ऑफ़िस ने उनकी पेंटिंग्स की नुमाइश अपने कार्यालय में लगाई और हीरामंडी की वेश्याओं की देखभाल के लिए 480 लाख डॉलर का कर्ज़ा मंज़ूर किया, जोकि वर्ल्ड बैंक ने पाँच साल के लिए पाकिस्तान सरकार को दिया है ताकि हीरामंडी की पेशेवर तवायफ़ों की ज़िंदगी में सुधार हो सके। हालाँकि इक़बाल हुसैन का बहुत प्रोफ़ेशनल विरोध हुआ पर अब वे उसी नेशनल कॉलेज ऑफ़ आर्ट में असिस्टेंट प्रोफ़ेसर हैं।
यह 'कुक्कूज़ नेस्ट' होटल इक़बाल साहब ख़ास तौर से उन वेश्याओं की आर्थिक मदद के लिए चलाते हैं जो बूढ़ी हो गई हैं। वैसे उनका यह होटल चलता भी अच्छा है। यों पाकिस्तानी खाने-पीने के बहुत शौक़ीन हैं। सिर्फ़ लाहौर के होटल, ढाबे या फूड-स्ट्रीट ही नहीं, इस्लामाबाद और कराची के होटल-रेस्तरा-ढाबे भी ख़ूब चलते हैं। एक तरह से कहें तो पाकिस्तान का मध्यवर्ग रात का खाना बाहर खाना अपना राष्ट्रीय कर्तव्य समझता है।
मैं खाना खाकर पाँचवीं मंज़िल से काफ़ी पहले उतर आया था। दोस्त लोग क़ुल्फ़ी और फिरनी का मज़ा ले रहे थे, मैं दो-तीन पाकिस्तानी दोस्तों की बेलाग बातों का मज़ा ले रहा था। वे बातें बहुत अहम थीं। सामने बादशाही मस्जिद थी इसलिए चर्चा शाही हरम और हरम की औरतों पर चल पड़ी। एक दोस्त कह रहे थे—जनाब! औरत के लिए यह जो कहा जा रहा है कि वेश्यागीरी उसका सबसे पुराना पेशा है, यह क़तई ग़लत है। सच्चाई यह है कि यह पेशा तब से चल पड़ा, जब पुराने वक़्तों में सल्तनत और हुकूमत के लिए लड़ाइयाँ हुआ करती थीं। औरतें बेवा हो जाती थीं तो उन्हें जीने के लिए यह पेशा करना पड़ता था। वैसे भी हमेशा से मर्द बिना किसी ज़िम्मेदारी के सैक्स का मज़ा लेना चाहता रहा है। असल में वेश्यागीरी का रिवाज़ बादशाहों और सुल्तानों के हरम के रिवाज़ से फला-फूला। हरम में चाहे रखैलों को जितना महफ़ूज़ रखने की बातें की जाएँ, पर असल में शाही हरम चकलाघरों के अलावा कुछ नहीं थे। ख़ुद हीरामंडी का वह इतिहास मौजूद है जो बताता है कि दूर-दूर तक के सुलतानों-नवाबों-बादशाहों-ज़मींदारों के हरमों में यहीं से लड़कियों जाती थीं और अधेड़ होने पर यहीं लौटा दी जाती थीं। इसी से जिस्म फ़रोशी की मंडियों की आबादी बढ़ती रही...जी और रही औरंगज़ेब जैसे बादशाह के कारनामें...तो यह जो कहा जाता है कि वह पाक कुरान की कापियाँ बनाकर और टोपियाँ सिलकर अपना निजी खर्च़ा चलाता था। यह सब निहायत बकवास है। औरंगज़ेब बेहद अय्याश बादशाह था। उसके हरम की लड़कियाँ हर महीने बदली जाती थीं और सैकड़ों लड़कियाँ-औरतें हर महीने शाही हरम से बेदख़ल करके शहरों की सेक्स मंडियों में रोज़ दी जाती थीं। हीरामंडी जैसे जिस्म के बाज़ार शाही हरमों की रवायत का ही सिलसिला हैं...और जानते हैं, यह हरामी लफ़्ज़ कहाँ से आया? यह हरम से ही निकला हैं...
इन और ऐसी कई रेडिकल बातों के बाद आख़िर में मसला भारत-पाक पार्टीशन पर आ गया तो एक भाई ने बड़े मार्के की बात कही—आप हिंदुस्तान जाके अपने हिंदुओं (उनका मतलब हिंदुत्ववादियों से था) से पूछिएगा कि भारत-पाक पार्टीशन क्यों हुआ? वैसे तो सदियों से हिंदुस्तान की मशहूर और मालामाल सरज़मीं पर क़रीब-क़रीब हर मुल्क का कोई न कोई हमलावर आया, उसने हिंदुस्तान को लूटा। आने वालों में सबसे ज़्यादा तादाद तो तुर्कें-पठानों की रही, इसके अलावा बाहरी मुल्कों से यूनानी, ईरानी, तूरानी भी आए। यह बाहरी लोग बहुत बड़ी तादाद में हिंदुस्तान में बस गए। उसे अपना मुल्क मान लिया। बाबर ख़ुद आगरा में दफ़न किया गया और यह तमाम बाहरी लोग यूनानियों को छोड़कर मुसलमान थे, इस्लाम इनका मज़हब था। कहा जाता है कि तलवार के ज़ोर पर इन तमाम बाहरी मुसलमानों ने हिंदुस्तान में इस्लाम फैलाया। हो सकता है कि मेरे पुरखे भी हिंदू रहे हों और तलवार के डर से उन्होंने इस्लाम मंज़ूर किया हो...यह तमाम बाहरी मुसलमान लोग अँग्रेज़ों और पार्टीशन के वक़्त तक अनडिवाइडेड मुल्क में मौजूद थे। अब भाई जान! सोचिए और अपने हिंदुओं (हिंदुत्ववादियों-कट्टरपन्थियों) से पूछिए कि क्या बाहर से आए और पीढ़ियों से इसी मुल्क में बस गए किसी बाहरी मुसलमान के ख़ानदान या वारिस ने पार्टीशन-पाकिस्तान माँगा था? उनका तो ख़ून बाहरी था, वो माँगते तो बात दूसरी थी, पर पाकिस्तान की माँग तो कनवर्टेड मुसलमानों ने की थी, जो सदियों से पुश्तैनी तौर पर हिंदू ख़ून और समाज का हिस्सा रहे थे।
दो क़ौमों का सिद्धांत देने वाले और उसे पार्टीशन के तौर पर लागू करने वाली दोनों शख़्शियतें अल्लामा इक़बाल और मुहम्मद अली जिन्ना, दोनों ख़ानदान कनवर्टेड मुसलमानों के ख़ानदान थे, जो सिर्फ़ तीन पीढ़ी पहले मुसलमान बने थे। अल्लामा इक़बाल के पुरखे कश्मीर के पंडित थे और जिन्ना साहब के पुरखे राजस्थान-पंजाब बार्डर के राजपूत थे। तीन पीढ़ी पहले जब इन दोनों के ख़ानदानों ने इस्लाम मंज़ूर किया था, तब ज़ोर ज़बरदस्ती से मुसलमान बनाए जाने का दौर ख़त्म हो चुका था। मुग़ल बादशाह हर तरह से बहुत कमज़ोर पड़ चुके थे। अल्लामा इक़बाल के ख़ानदान ने जब इस्लाम मंज़ूर किया, उस वक़्त कश्मीर में मुसलमानों का राज नहीं था। तब सिखों के महाराजा रंजीत सिंह के हाथों से निकलकर जम्मू-कश्मीर अँग्रेज़ों के क़ब्ज़े में आ चुका था। जब अल्लामा इक़बाल के तीन पीढ़ी पहले के पुरखों ने इस्लाम क़बूल किया था, तब जम्मू कश्मीर का राज्य या तो महाराज गुलाब सिंह के अधीन आने वाला था। या आ गया था। मुहम्मद अली जिन्ना के राजपूत घरवालों ने जब इस्लाम मंज़ूर किया, उस वक़्त राजस्थान या पंजाब में किसी मुसलमान सूबेदार या मनसबदार का राज नहीं था, कि धर्म परिवर्तन के लिए जोरज़बरदस्ती हुई हो।
इसलिए जब वापस भारत जाएँ तो ज़रा अपने हिंदुओं (हिंदुत्ववादियों) से पूछिएगा कि पार्टीशन की माँग कनवर्टेड मुसलमानों ने क्यों उठाई? अगर आनी ही थी तो यह माँग बाहरी ओरिजन के मुसलमानों की तरफ़ से आती! तो ज़रा हिंदुओं (हिंदुत्ववादियों) से कहिए कि ईमानदारी से अपने दिल, दिमाग़, और इतिहास को टटोलें, तो इस सच्चाई का उत्तर मिल, जाएगा कि पार्टीशन क्यों हुआ और किनकी वजह से हुआ!...आख़िर सदियों के दौरान हिंदुओं में से ही तो बौद्ध, जैनी, मुसलमान और सिख टूटते रहे हैं, वह क्यों टूटे...? सच पूछिए तो पार्टीशन का तिहरा नुक़सान कांटिनेंट के मुसलमान ने उठाया है!
अगली बातचीत यों शुरू हुई यह माना कि जम्मू-कश्मीर का मामला सियासी बिसात में फँस गया है। भारत कहता है कि कश्मीर उसके सेकुलर सिद्धांत का मुकुट है, कश्मीर घाटी को मुसलमानों की अक्सरियत की बिना पर पाकिस्तान को दे दिया जाए, यह भारत को मंज़ूर नहीं है, क्योंकि वह तो दो क़ौमों के सिद्धांत को मान लेना होगा। भारत के इस तर्क में कोई दम नहीं है। पाकिस्तान ने कभी नहीं कहा कि कश्मीर घाटी से कश्मीरी पंडित निकले जाएँ, तब घाटी हमारी होगी। वह तो पूरे कश्मीर की माँग करता है, जिसमें जम्मू के हिंदू भी हैं और लद्दाख के बौद्ध भी शामिल हैं। पाकिस्तान यह कह ही नहीं सकता कि जम्मू-लद्दाख से उसका लेना-देन नहीं है और फिर उस तर्क को भूल जाइए जो पाकिस्तान के पहले प्राइम मिनिस्टर लियाक़त अली साहब ने दिया था कि हम पहाड़ों और चट्टानों (यानी जम्मू-कश्मीर) को लेकर क्या करेंगे? हमें असल में हैदराबाद मिलना चाहिए (तब तक हैदराबाद रियासत भारत का हिस्सा नहीं बनी थी) क्योंकि वहाँ के निजाम साहब पाकिस्तान समर्थक थे और उनकी रियासत किस मुल्क का हिस्सा बनेगी, यह उस रियासत का सदर तय करने वाला था!...तो भाईजान, अब तो हालात वह नहीं हैं। जिन्ना साहब ने तो जोधपुर और उदयपुर रियासतों को पाकिस्तान में शामिल होने की ज़बरदस्त पेशकश की थी, वहाँ के महाराजाओं से उन्हें कोई उल्टी प्रतिक्रिया भी नहीं मिली थी...बहरहाल...तो अब तो ख़ैर जम्मू-कश्मीर का पाकिस्तान में शामिल होना नामुमिकन है, पर अगर यह मुमकिन भी होता है तो पाकिस्तान को सामरिक और महत्वपूर्ण ज़रूरतों के लिए कश्मीर घाटी से ज़्यादा लद्दाख की ज़रूरत है।
...और फिर सवाल पानी का भी तो है। कश्मीर-लद्दाख से होकर बहने वाली नदियों पर भारत का क़ब्ज़ा है। भारत चाहे तो पाकिस्तान को प्यासा मार सकता है...पाकिस्तान के लिए जम्मू-कश्मीर का मसला सिर्फ़ मुसलमान अक्सरित का नहीं, पानी का भी है, जो घाटी के मुसलमानों से कहीं ज़्यादा बड़ा मसला है। इस सच्चाई को अगर समझें तो कश्मीर का मसला मात्र दो क़ौमों के सिद्धांत का मसला नहीं रह जाता, जिससे आप लोग चिढ़ते हैं। पाकिस्तान के कुछ लोग कश्मीर घाटी में मुसलमान अक्सरियत का हवाला देकर यह जो कहते हैं कि दो क़ौमों के सिद्धांत के तहत कश्मीर को हासिल करना पाकिस्तान की पहली ज़रूरत है। वे निहायत ग़लत बात करते हैं। उन्हें मालूम होना चाहिए कि हमारा पाकिस्तान बन तो गया लेकिन हमें जीना भी है। इसके अलावा दो क़ौमों के सिद्धांत के आधार पर जम्मू-कश्मीर रियासत का बँटवारा हो ही नहीं सकता क्योंकि कश्मीर में सवाल इस्लाम का उतना नहीं, जितना कश्मीरियत का है! पानी का है!
तीसरा दोस्त बोला, एक बात आप लोग भूल जाते हो...आज जो पाकिस्तान है, यह इलाक़ा सदियों से हमलावरों का रास्ता रहा है। सिकंदर से लेकर बाबर तक सब यहीं से आए या गुज़रे, इसलिए यह क्षेत्र हमेशा अशांत और युद्ध के लिए तैयार रहा है। इस इलाक़े के लोगों के ख़ून में गोला-बारूद शामिल रहा है। इसलिए पाकिस्तान में जब भी फ़ौजी तानाशाही आई तो लोगों ने, अवाम ने पसंद तो नहीं किया, पर हम हमेशा यह मानकर चलते रहे हैं कि ठीक है, फ़ौजी आए हैं तो आने दो, इनसे निपट लेंगे...वैसे भाईजान! यहाँ का सिविलियन रूल इतना नाकारा था कि अवाम ने परवेज़ मुशर्रफ़ के आगमन पर अगर ख़ुशियाँ नहीं मनाई तो गहरा सदमा भी नहीं सहा। अब हम फ़ौज के आने-जाने के सदमें को सहने के आदी हो गए हैं...हमारे अवाम, अदीबों पत्रकारों में फ़ौजी हमलावरों का सामना करने की वह ज़बरदस्त ताक़त है जो हमें सदियों के अनुभव ने दी है।
ek batachit se baat shuru karun iqbaal husain kaun hain, ye to baad mein malum paDega, par unki ek baat yahan pahle hi naut kar doon iqbaal husain ke ek dost bole dekhiye janab, sidhi si baat hai, aur mainne dekhi aur mahsus ki hai jab adami garib hota hai aur wo khu ko shoshan ka shikar pata hai, tab wo mazhab ki taraf bhagta hai aur dekhte dekhte kattar mazahbi ho jata hai aur jab wo kattar mazahbi adami sarkari taqatawron ke beech apni man muafif jagah nahin bana pata to wahi phainetik jehadi ho jata hai! bhaijan, mainne to yahan hiramanDi mein sab tarah ke log aate dekhen hain kaun hai jo yahan nahin aata
ye batane ki zarurat to shayad nahin hai ki hiramanDi lahore ka hi nahin, balki asia ka sabse baDa weshya bazar hai jannewali baat ye hai ki is weshya bazar mein bahut se khanadan aise hain jo pushton se isi dhandhe mein hain weshyaon ka ye pushtaini silsila asia ke any shahron ya bharat pak ke any saiks bazaron mein nahin milta yahin ke ek weshya khanadan ke bete hain iqbaal husain! unka khanadan pushton se isi dhandhe mein hai unse hamari mulaqat honi hi thi kyonki sark deshon ke sare lekhkon ka to nahin, par meinjbanon ne hindustani lekhkon ki ek sham ka khana kukkuz nest mein rakha tha iqbaal husain sahab isi mashuhar hotel ke malik hain ye hotel hiramanDi ilake mein badshahi masjid ke ain samne hain raat ko roshaniyon se saji, jagmagati badshahi masjid ka nazara bhulaya nahin ja sakta waise bhi pakistan mein kudarti gas aur bijli ki ifraat hai sirf lahore hi nahin, pakistan ka har shahr bijli se jagmag karta rahta hai to hum kukkuz nest hotel mein pahunche, wahin meinri mulaqat uske malik iqbaal husain ke ek nazdiki jankar aur do teen any pakistani doston se hui sabke nam likhna munasib nahin hoga, kyonki kuch aisi baten bhi inhonne kahi, jo likh dena to asan hai, par ittfaq se kabhi kahin kisi sir phire dwara paDh li gai to babal khaDa ho sakta hai
to hiramanDi mein badashah masjid ke samne khaDi hai ye kukkuz nest wali haweli ye panch manzili hai hum bharatiy lekhkon ke liye khane ka intzam panchawin manzil par kiya gaya tha rasoi niche hai aur khane ka sara saman usi tarah aata tha jaise kuen se rassi ke jariye pani khincha jata hai wahan ghuste hi khane ki mahak i, zabardast mughali khana tha chhat se badshahi masjid aur hiramanDi ka kafi ilaka dikhai deta tha ye purani haweli hai patle jinon se upar jana hota hai ye jankar tajjub nahin hona chahiye ki har manzil par sajawat ke liye hindu dewi dewtaon ki murtiyan maujud hain dusri ya tisri manzil par hanuman ki sangamarmar ki chaar phut ki murti maujud hai hanuman ke alawa lakshmi aur annpurna ki murtiyan bhi yahan maujud hain aur un par sukhi ya aadhi sukhi malayen bhi chaDhi hain aur taze phool bhi yani wo phool hamari wazah se dikhawe ke liye nahin chaDhaye gaye the
iqbaal husain ki umr lagbhag pachas sal hai, we peshe se hotel wale nahin, pentar hain unka khanadan weshyaon ka hai unki man peshe mein theen aur ab unki bahnen bhi peshe mein hi hain unke khanadan ki aurton ka ye pushtaini pesha hai unki baDi bahan unhen art school mein paDhana chahti theen we peshe mein hain, unhonne hi iqbaal ko manaya ki wo neshnal college auph art mein dakhila le len fees waghairah ka kharcha bahan hi uthati theen pentar ke roop mein iqbaal husain ne hiramanDi ki weshyaon ki zindagi ko lekar hi sari pentings banai hain pahli bar jab wo apni pentings ki numaish karna chahte the to tatkalin fauji tanashah jiya ul hak ne sarkari hukmanama jari karwa diya tha ki numaish ke liye un jaise gire hue pentar ko koi gallery nahin di jaye pentar iqbaal husain ko kiraye par koi gallery nahin mili, to unhonne apni pentings ki numaish patri par lagai, jise dekhne ke liye bheeD umaD paDi uske baad pentar ke roop mein iqbaal husain ne pichhe muDkar nahin dekha pichhle sal world baink islamabad auphis ne unki pentings ki numaish apne karyalay mein lagai aur hiramanDi ki weshyaon ki dekhbhal ke liye 480 lakh dollar ka karza manzur kiya, joki world baink ne panch sal ke liye pakistan sarkar ko diya hai taki hiramanDi ki peshewar tawayfon ki zindagi mein sudhar ho sake halanki iqbaal husain ka bahut profeshnal wirodh hua par ab we usi neshnal college auph art mein assistant professor hain
ye kukkuz nest hotel iqbaal sahab khas taur se un weshyaon ki arthik madad ke liye chalate hain jo buDhi ho gai hain waise unka ye hotel chalta bhi achchha hai yon pakistani khane pine ke bahut shauqin hain sirf lahore ke hotel, Dhabe ya phooD street hi nahin, islamabad aur karachi ke hotel restra Dhabe bhi khoob chalte hain ek tarah se kahen to pakistan ka madhyawarg raat ka khana bahar khana apna rashtriya kartawya samajhta hai
main khana khakar panchawin manzil se kafi pahle utar aaya tha dost log kulphi aur phirni ka maza le rahe the, main do teen pakistani doston ki belag baton ka maza le raha tha we baten bahut aham theen samne badshahi masjid thi isliye charcha shahi haram aur haram ki aurton par chal paDi ek dost kah rahe the—janab! aurat ke liye ye jo kaha ja raha hai ki weshyagiri uska sabse purana pesha hai, ye qati ghalat hai sachchai ye hai ki ye pesha tab se chal paDa, jab purane waqton mein saltanat aur hukumat ke liye laDaiyan hua karti theen aurten bewa ho jati theen to unhen jine ke liye ye pesha karna paDta tha waise bhi hamesha se mard bina kisi jimmedari ke saiks ka maza lena chahta raha hai asal mein weshyagiri ka riwaz badshahon aur sultanon ke haram ke riwaz se phala phula haram mein chahe rakhailon ko jitna mahfuz rakhne ki baten ki jayen, par asal mein shahi haram chaklaghron ke alawa kuch nahin the khu hiramanDi ka wo itihas maujud hai jo batata hai ki door door tak ke sultanon nawabon badshahon zamindaron ke harmon mein yahin se laDakiyon jati theen aur adheD hone par yahin lauta di jati theen isi se jism faroshi ki manDiyon ki abadi baDhti rahi ji aur rahi aurangjeb jaise badashah ke karnamen to ye jo kaha jata hai ki wo pak kuran ki copiyan banakar aur topiyan silkar apna niji kharcha chalata tha ye sab nihayat bakwas hai aurangzeb behad eyash badashah tha uske haram ki laDkiyan har mahine badli jati theen aur saikDon laDkiyan aurten har mahine shadi haram se bedkhal karke shahron ki sex manDiyon mein roz di jati theen hiramanDi jaise jism ke bazar shahi harmon ki rawayat ka hi silsila hain aur jante hain, ye harami lafz kahan se aaya? ye haram se hi nikla hain
in aur aisi kai reDikal baton ke baad akhir mein masla bharat pak partition par aa gaya to ek bhai ne baDe marke ki baat kahi aap hindustan jake apne hinduon (unka matlab hindutwwadiyon se tha) se puchiyega ki bharat pak partition kyon hua? waise to sadiyon se hindustan ki mashhur aur malamal sarazmin par qarib qarib har mulk ka koi na koi hamlawar aaya, usne hindustan ko luta aane walon mein sabse zyada tadad to turken pathanon ki rahi, iske alawa bahari mulkon se yunani, irani, turani bhi aaye ye bahari log bahut baDi tadad mein hindustan mein bus gaye use apna mulk man liya babar khu agara mein dafan kiya gaya aur ye tamam bahari log yunaniyon ko chhoDkar musalman the, islam inka mazhab tha kaha jata hai ki talwar ke zor par in tamam bahari musalmanon ne hindustan mein islam phailaya ho sakta hai ki mere purkhe bhi hindu rahe hon aur talwar ke Dar se unhonne islam manzur kiya ho ye tamam bahari musalman log angrejon aur partition ke waqt tak anaDiwaiDeD mulk mein maujud the ab bhai jaan! sochiye aur apne hinduon (hindutwwadiyon kattarpanthiyon) se puchhiye ki kya bahar se aaye aur piDhiyon se isi mulk mein bus gaye kisi bahari musalman ke khanadan ya waris ne partition pakistan manga tha? unka to khoon bahari tha, wo mangte to baat dusri thi, par pakistan ki mang to kanwarteD musalmanon ne ki thi, jo sadiyon se pushtaini taur par hindu khoon aur samaj ka hissa rahe the
do kaumon ka siddhant dene wale aur use partition ke taur par lagu karne wali donon shakhshiyten allama iqbaal aur muhammad ali jinna, donon khanadan kanwarteD musalmanon ke khanadan the, jo sirf teen piDhi pahle musalman bane the allama iqbaal ke purkhe kashmir ke panDit the aur jinna sahab ke purkhe rajasthan panjab barDar ke rajput the teen piDhi pahle jab in donon ke khandanon ne islam manzur kiya tha, tab zor zabardasti se musalman banaye jane ka daur khatm ho chuka tha mughal badashah har tarah se bahut kamzor paD chuke the allama iqbaal ke khanadan ne jab islam manzur kiya, us waqt kashmir mein musalmanon ka raj nahin tha tab sikhon ke maharaja ranjit sinh ke hathon se nikalkar jammu kashmir angrejon ke qabze mein aa chuka tha jab allama iqbaal ke teen piDhi pahle ke purkhon ne islam qabu kiya tha, tab jammu kashmir ka rajy ya to maharaj gulab sinh ke adhin aane wala tha ya aa gaya tha muhammad ali jinna ke rajput gharwalon ne jab islam manzur kiya, us waqt rajasthan ya panjab mein kisi musalman subedar ya manasabdar ka raj nahin tha, ki dharm pariwartan ke liye jorazabardasti hui ho
isliye jab wapas bharat jayen to zara apne hinduon (hindutwwadiyon) se puchiyega ki partition ki mang kanwarteD musalmanon ne kyon uthai? agar aani hi thi to ye mang bahari orijan ke musalmanon ki taraf se ati! to zara hinduon (hindutwwadiyon) se kahiye ki imandari se apne dil, dimagh, aur itihas ko tatolen, to is sachchai ka uttar mil, jayega ki partition kyon hua aur kinki wazah se hua! akhir sadiyon ke dauran hinduon mein se hi to bauddh, jaini, musalman aur sikh tutte rahe hain, wo kyon tute ? sach puchhiye to partition ka tihra nuksan kantinent ke musalman ne uthaya hai!
agli batachit yon shuru hui ye mana ki jammu kashmir ka mamla siyasi bisat mein phans gaya hai bharat kahta hai ki kashmir uske secular siddhant ka mukut hai, kashmir ghati ko musalmanon ki aksariyat ki bina par pakistan ko de diya jaye, ye bharat ko manzur nahin hai, kyonki wo to do kaumon ke siddhant ko man lena hoga bharat ke is tark mein koi dam nahin hai pakistan ne kabhi nahin kaha ki kashmir ghati se kashmiri panDit nikle jayen, tab ghati hamari hogi wo to pure kashmir ki mang karta hai, jismen jammu ke hindu bhi hain aur laddakh ke bauddh bhi shamil hain pakistan ye kah hi nahin sakta ki jammu laddakh se uska lena den nahin hai aur phir us tark ko bhool jaiye jo pakistan ke pahle prime minister liyaqat ali sahab ne diya tha ki hum pahaDon aur chattanon (yani jammu kashmir) ko lekar kya karenge? hamein asal mein hyderabad milna chahiye (tab tak hyderabad riyasat bharat ka hissa nahin bani thee) kyonki wahan ke nijam sahab pakistan samarthak the aur unki riyasat kis mulk ka hissa banegi, ye us riyasat ka sadar tay karne wala tha! to bhaijan, ab to halat wo nahin hain jinna sahab ne to jodhpur aur udaypur riyaston ko pakistan mein shamil hone ki zabardast peshkash ki thi, wahan ke maharajaon se unhen koi ulti pratikriya bhi nahin mili thi baharhal to ab to khair jammu kashmir ka pakistan mein shamil hona namumikan hai, par agar ye mumkin bhi hota hai to pakistan ko samarik aur mahatwapurn zarurton ke liye kashmir ghati se zyada laddakh ki zarurat hai
aur phir sawal pani ka bhi to hai kashmir laddakh se hokar bahne wali nadiyon par bharat ka qabza hai bharat chahe to pakistan ko pyasa mar sakta hai pakistan ke liye jammu kashmir ka masla sirf musalman aksrit ka nahin, pani ka bhi hai, jo ghati ke musalmanon se kahin zyada baDa masla hai is sachchai ko agar samjhen to kashmir ka masla matr do kaumon ke siddhant ka masla nahin rah jata, jisse aap log chiDhte hain pakistan ke kuch log kashmir ghati mein musalman aksariyat ka hawala dekar ye jo kahte hain ki do kaumon ke siddhant ke tahat kashmir ko hasil karna pakistan ki pahli zarurat hai we nihayat ghalat baat karte hain unhen malum hona chahiye ki hamara pakistan ban to gaya lekin hamein jina bhi hai iske alawa do kaumon ke siddhant ke adhar par jammu kashmir riyasat ka bantwara ho hi nahin sakta kyonki kashmir mein sawal islam ka utna nahin, jitna kashmiriyat ka hai! pani ka hai!
tisra dost bola, ek baat aap log bhool jate ho aaj jo pakistan hai, ye ilaka sadiyon se hamlawron ka rasta raha hai sikandar se lekar babar tak sab yahin se aaye ya guzre, isliye ye kshaetr hamesha ashant aur yudh ke liye taiyar raha hai is ilake ke logon ke khoon mein gola barud shamil raha hai isliye pakistan mein jab bhi fauji tanashahi i to logon ne, awam ne pasand to nahin kiya, par hum hameinsha ye mankar chalte rahe hain ki theek hai, fauji aaye hain to aane do, inse nipat lenge waise bhaijan! yahan ka siwiliyan rool itna nakara tha ki awam ne parwez musharraf ke agaman par agar khushiyan nahin manai to gahra sadma bhi nahin saha ab hum fauj ke aane jane ke sadmen ko sahne ke aadi ho gaye hain hamare awam, adibon patrkaron mein fauji hamlawron ka samna karne ki wo zabardast taqat hai jo hamein sadiyon ke anubhaw ne di hai

हिंदी क्षेत्र की भाषाओं-बोलियों का व्यापक शब्दकोश : हिन्दवी डिक्शनरी
‘हिन्दवी डिक्शनरी’ हिंदी और हिंदी क्षेत्र की भाषाओं-बोलियों के शब्दों का व्यापक संग्रह है। इसमें अंगिका, अवधी, कन्नौजी, कुमाउँनी, गढ़वाली, बघेली, बज्जिका, बुंदेली, ब्रज, भोजपुरी, मगही, मैथिली और मालवी शामिल हैं। इस शब्दकोश में शब्दों के विस्तृत अर्थ, पर्यायवाची, विलोम, कहावतें और मुहावरे उपलब्ध हैं।
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
OKAY
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
Close
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.
OKAY
You have remaining out of free content pages.Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.
join rekhta family!
You have exhausted your 5 free content pages. Register and enjoy UNLIMITED access to the whole universe of Urdu Poetry, Rare Books, Language Learning, Sufi Mysticism, and more.