घाट  का  अनुभवी  बरगद  
लिख  रहा  जातक  कथाएँ  
वेदना  के  पृष्ठ  खोले  
बाँचती  बैठी  व्यथाएँ  
खो  गया  युगबोध  बोझिल—  
भीड़  की  तनहाइयों  में  
आईने  अस्तित्व  खोजें  
बिंब  की  परछाइयों  में  
सामने  बिखरी  पड़ी—  
संवाद  की  संभावनाएँ  
मूल्य  गमलों  में  उगाए  
दूरदर्शन  देखते  हैं  
हम  प्रफुल्लित  मन  प्रदर्शन  में—  
सुदर्शन  लेखते  हैं  
हर  सुबह  विश्वास  तोड़े  
शाम  तोड़े  मान्यताएँ  
भव्य  के  पूजा-भवन  में  
दिव्य  का  आसन  नहीं  है  
आचरण  के  व्याकरण  में  
कहीं  अनुशासन  नहीं  है  
अगति  के  सोपान  जीतीं  
प्रगति  की  अभ्यर्थनाएँ  
साधना  के  गर्भगृह  में  
बकों  की  धूनी  रमी  है  
'जोग'  साधे  साधुता  की  
आँख  मछली  पर  जमी  है  
सत्य  की  विभुता  मिटाने  
बैठती  फिर-फिर  सभाएँ  
घाट  का  अनुभवी  बरगद  
लिख  रहा  जातक  कथाएँ  
             
                ghaat  ka  anubhvi  bargad  
likh  raha  jatak  kathayen  
vedna  ke  prishth  khole,  
banchati  baithi  vydhayen  
kho  gaya  yugbodh  bojhil—  
bheeD  ki  tanhaiyon  mein  
aine  astitv  khojen  
bimb  ki  parchhaiyon  mein  
samne  bikhri  paDi—  
sanvad  ki  sambhavnayen  
mulya  gamlon  mein  ugaye  
durdarshan  dekhte  hain  
hum  praphullit  man  pradarshan  men—  
sudarshan  lekhte  hain  
har  subah  vishvas  toDe  
shaam  toDe  manytayen  
bhavya  ke  puja  bhavan  mein  
divya  ka  aasan  nahin  hai  
achran  ke  vyakran  mein  
kahin  anushasan  nahin  hai  
agti  ke  sopan  jitin  
pragti  ki  abhyarthnayen  
sadhana  ke  garbhgrih  mein  
bakon  ki  dhuni  ramin  hai  
jog  sadhe  sadhuta  ki  
ankh  machhli  par  zamin  hai  
satya  ki  vibhuta  mitane  
baithtin  phir  phir  sabhayen  
ghaat  ka  anubhvi  bargad  
likh  raha  jatak  kathayen  
ghaat  ka  anubhvi  bargad  
likh  raha  jatak  kathayen  
vedna  ke  prishth  khole,  
banchati  baithi  vydhayen  
kho  gaya  yugbodh  bojhil—  
bheeD  ki  tanhaiyon  mein  
aine  astitv  khojen  
bimb  ki  parchhaiyon  mein  
samne  bikhri  paDi—  
sanvad  ki  sambhavnayen  
mulya  gamlon  mein  ugaye  
durdarshan  dekhte  hain  
hum  praphullit  man  pradarshan  men—  
sudarshan  lekhte  hain  
har  subah  vishvas  toDe  
shaam  toDe  manytayen  
bhavya  ke  puja  bhavan  mein  
divya  ka  aasan  nahin  hai  
achran  ke  vyakran  mein  
kahin  anushasan  nahin  hai  
agti  ke  sopan  jitin  
pragti  ki  abhyarthnayen  
sadhana  ke  garbhgrih  mein  
bakon  ki  dhuni  ramin  hai  
jog  sadhe  sadhuta  ki  
ankh  machhli  par  zamin  hai  
satya  ki  vibhuta  mitane  
baithtin  phir  phir  sabhayen  
ghaat  ka  anubhvi  bargad  
likh  raha  jatak  kathayen  
 
             
    
 
    
        स्रोत : 
                
                        पुस्तक  : आईने अँधरा गए (पृष्ठ 60) 
                                                                    रचनाकार  : राम निहोर तिवारी  
                                            
                             प्रकाशन  : बोधि प्रकाशन
                         
                                                संस्करण   : 2023 
                 
                
                
     
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
 
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.