थका  सदल  संतूर  समय  का  
गा-गाकर  फगुआ  
मन  बसंत  हो  सका  न  'साधो'  
दिन  का  अंत  हुआ  
नंदनवन  में  पारिजात  की—  
मुरझाई  शाख़ें  
गगन  विहारी  मन-विहंग  की  
कीलित  हैं  पाँखें  
सपनों  की  पोनी-पुरिया  का  
टूट  गया  तकुआ  
दिन  का  अंत  हुआ  
रीते  घट  पनघट  पर  औंधे  
अंतर  प्यास  पले  
तृप्ति  खोजती  रही  समंदर  
तट  विश्वास  छले  
ज्वालामुखी  भूख  के  हाथों  
बोध  हुआ  बँधुआ  
दिन  का  अंत  हुआ  
अनुवंशी  अनुभवी  अँधेरा  
पसरा  जहाँ-तहाँ  
एक  अकेला  दिया  जुझारू  
जूझे  कहाँ-कहाँ  
रजनी  के  रथ  पर  सवार  हैं  
सूरज  के  अगुआ  
दिन  का  अंत  हुआ  
सब  तो  माखन  के  साथी  हैं  
सबके  हाथ  सने  
बढ़कर  कौन  कालिया  नाथे  
कान्हा  कौन  बने  
ज़हरबाद  पीड़ित  कालिंदी  
कौन  करे  निरुजा,  
मन  बसंत  हो  सका  न  साधो  
दिन  का  अंत  हुआ  
                thaka  sadal  santur  samay  ka  
ga  gakar  phagua  
man  basant  ho  saka  na  sadho  
din  ka  ant  hua  
nandanvan  mein  parijat  kee—  
murjhai  shakhen  
gagan  vihari  man  vihang  ki  
kilit  hain  pankhen  
sapnon  ki  poni  puriya  ka  
toot  gaya  takua  
din  ka  ant  hua  
rite  ghat  panghat  par  aundhe  
antar  pyaas  pale  
tripti  khojti  rahi  samandar  
tat  vishvas  chhale  
jvalamukhi  bhookh  ke  hathon  
bodh  hua  bandhua  
din  ka  ant  hua  
anuvanshi  anubhvi  andhera  
pasra  jahan  tahan  
ek  akela  diya  jujharu  
jujhe  kahan  kahan  
rajni  ke  rath  par  savar  hain  
suraj  ke  agua  
din  ka  ant  hua  
sab  to  makhan  ke  sathi  hain  
sab  ke  haath  sane  
baDhkar  kaun  kaliya  nathe  
kanha  kaun  bane  
jaharbad  piDit  kalindi  
kaun  kare  niruja,  
man  basant  ho  saka  na  sadho  
din  ka  ant  hua  
thaka  sadal  santur  samay  ka  
ga  gakar  phagua  
man  basant  ho  saka  na  sadho  
din  ka  ant  hua  
nandanvan  mein  parijat  kee—  
murjhai  shakhen  
gagan  vihari  man  vihang  ki  
kilit  hain  pankhen  
sapnon  ki  poni  puriya  ka  
toot  gaya  takua  
din  ka  ant  hua  
rite  ghat  panghat  par  aundhe  
antar  pyaas  pale  
tripti  khojti  rahi  samandar  
tat  vishvas  chhale  
jvalamukhi  bhookh  ke  hathon  
bodh  hua  bandhua  
din  ka  ant  hua  
anuvanshi  anubhvi  andhera  
pasra  jahan  tahan  
ek  akela  diya  jujharu  
jujhe  kahan  kahan  
rajni  ke  rath  par  savar  hain  
suraj  ke  agua  
din  ka  ant  hua  
sab  to  makhan  ke  sathi  hain  
sab  ke  haath  sane  
baDhkar  kaun  kaliya  nathe  
kanha  kaun  bane  
jaharbad  piDit  kalindi  
kaun  kare  niruja,  
man  basant  ho  saka  na  sadho  
din  ka  ant  hua  
 
    
 
    
        स्रोत : 
                
                        पुस्तक  : आईने अँधरा गए (पृष्ठ 48)रचनाकार  : राम निहोर तिवारी 
                             प्रकाशन  : बोधि प्रकाशन
                         
                                                संस्करण   : 2023 
                
                
     
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
 
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.