जाओ  
तुम  प्रेम  गीत  लिखो  
और  मुझे  लिखने  दो  
मृत्यु  पर  कविता  
तुम  इंद्रधनुषी  सपने  सजाओ  
किसी  पार्क  की  बेंच  के  पास  
गुलाब  का  एक  गुच्छा  लिए  
अपनी  नई  प्रेमिका  को  मनाओ  
मुझे  छोड़  दो  
वर्तमान  की  
सियाह  काली  रातों  में  
भूखे  बच्चों,  लाचार  बूढ़ों  
और  असहाय  औरतों  की  
दर्द  भरी  बातों  में  
विश्व  भर  में  
युद्ध  के  बादलों  से  घिरी  
खूनी  बरसातों  में  
ठाँए…ठाँए…  
गोलियाँ  चलें  
या  बम  गिरें  
शहर  के  शहर  उजाड़  दें  
या  मिसाइलें  
हरे-भरे  पेड़ों  को  उखाड़  दें  
जब  मरने  लगे  मनवता  
तब  कैसे  लिखूँ  
प्रेम  गीत  और  कविता?  
पर  जो  सुरक्षित  हैं  न  
वो  प्रेम  गीत  गा  सकते  हैं  
आँखें  बंद  करके  
सपने  सजा  सकते  हैं  
प्रश्न  यह  है  
इतनी  तबाही  के  बाद  
आख़िर  बचेगा  क्या?  
ये  खंडहर?  ये  वीरानियाँ?  
ये  टूटी-फूटी  सुनसान  सड़कें?  
ये  बंज़र  ज़मीन?  
कौन  क्या  पाएगा?  
जब  इंसा  ही  नहीं  रहेगा  
तो  किसके  हिस्से  
ये  सब  आएगा?  
बंज़र  ज़मीन  से  
प्रेम  कैसे  उपजेगा?  
वात्सल्य  के  फूल  
कैसे  खिलेंगे?  
भावी  पीढ़ी  में  
बस  बहेगी  करुणा  
वंशजों  के  सीने  में  
बचेगी  क्रोधाग्नि  
छिन्न-भिन्न  प्रेमी  
फिर  कैसे  मिलेंगे?  
शक्ति  का  उपयोग  
दुरूपयोग  
खंडहरों  में  तब्दील  कर  देगा  
मानव  सभ्यता  को  
स्वार्थ  का  दानव  
नष्ट  कर  देगा  
संपूर्ण  सृष्टि  को  
तो  दोस्त  
बहुत  देर  हो  जाएगी  
कलम  उठानी  ही  है  
तो  उठाओ  
प्रेम  गीत  न  गाओ  
लिख  डालो  एक  अनुबंध  
युद्ध  के  विरोध  में।  
                jao  
tum  prem  geet  likho  
aur  mujhe  likhne  do  
mrityu  par  kavita  
tum  indradhanushi  sapne  sajao  
kisi  park  ki  bench  ke  paas  
gulab  ka  ek  guchchha  liye  
apni  nai  premika  ko  manao  
mujhe  chhoD  do  
vartaman  ki  
siyah  kali  raton  mein  
bhukhe  bachchon,  lachar  buDhon  
aur  ashay  aurton  ki  
dard  bhari  baton  mein  
vishv  bhar  mein  
yuddh  ke  badlon  se  ghiri  
khuni  barsaton  mein  
thanya…thanya…  
goliyan  chalen  
ya  bam  giren  
shahr  ke  shahr  ujaaD  den  
ya  misailen  
hare  bhare  peDon  ko  ukhaaD  den  
jab  marne  lage  manavta  
tab  kaise  likhun  
prem  geet  aur  kavita?  
par  jo  surakshit  hain  na  
wo  prem  geet  ga  sakte  hain  
ankhen  band  karke  
sapne  saja  sakte  hain  
parashn  ye  hai  
itni  tabahi  ke  baad  
akhir  bachega  kyaa?  
ye  khanDhar?  ye  viraniyan?  
ye  tuti  phuti  sunsan  saDken?  
ye  banzar  zamin?  
kaun  kya  payega?  
jab  insa  hi  nahin  rahega  
to  kiske  hisse  
ye  sab  ayega?  
banzar  zamin  se  
prem  kaise  upjega?  
vatsalya  ke  phool  
kaise  khilenge?  
bhavi  piDhi  mein  
bas  bahegi  karuna  
vanshjon  ke  sine  mein  
bachegi  krodhagni  
chhinn  bhinn  premi  
phir  kaise  milenge?  
shakti  ka  upyog  
durupyog  
khanDahron  mein  tabdil  kar  dega  
manav  sabhyata  ko  
svaarth  ka  danav  
nasht  kar  dega  
sampurn  srishti  ko  
to  dost  
bahut  der  ho  jayegi  
kalam  uthani  hi  hai  
to  uthao  
prem  geet  na  gao  
likh  Dalo  ek  anubandh  
yuddh  ke  virodh  mein.  
jao  
tum  prem  geet  likho  
aur  mujhe  likhne  do  
mrityu  par  kavita  
tum  indradhanushi  sapne  sajao  
kisi  park  ki  bench  ke  paas  
gulab  ka  ek  guchchha  liye  
apni  nai  premika  ko  manao  
mujhe  chhoD  do  
vartaman  ki  
siyah  kali  raton  mein  
bhukhe  bachchon,  lachar  buDhon  
aur  ashay  aurton  ki  
dard  bhari  baton  mein  
vishv  bhar  mein  
yuddh  ke  badlon  se  ghiri  
khuni  barsaton  mein  
thanya…thanya…  
goliyan  chalen  
ya  bam  giren  
shahr  ke  shahr  ujaaD  den  
ya  misailen  
hare  bhare  peDon  ko  ukhaaD  den  
jab  marne  lage  manavta  
tab  kaise  likhun  
prem  geet  aur  kavita?  
par  jo  surakshit  hain  na  
wo  prem  geet  ga  sakte  hain  
ankhen  band  karke  
sapne  saja  sakte  hain  
parashn  ye  hai  
itni  tabahi  ke  baad  
akhir  bachega  kyaa?  
ye  khanDhar?  ye  viraniyan?  
ye  tuti  phuti  sunsan  saDken?  
ye  banzar  zamin?  
kaun  kya  payega?  
jab  insa  hi  nahin  rahega  
to  kiske  hisse  
ye  sab  ayega?  
banzar  zamin  se  
prem  kaise  upjega?  
vatsalya  ke  phool  
kaise  khilenge?  
bhavi  piDhi  mein  
bas  bahegi  karuna  
vanshjon  ke  sine  mein  
bachegi  krodhagni  
chhinn  bhinn  premi  
phir  kaise  milenge?  
shakti  ka  upyog  
durupyog  
khanDahron  mein  tabdil  kar  dega  
manav  sabhyata  ko  
svaarth  ka  danav  
nasht  kar  dega  
sampurn  srishti  ko  
to  dost  
bahut  der  ho  jayegi  
kalam  uthani  hi  hai  
to  uthao  
prem  geet  na  gao  
likh  Dalo  ek  anubandh  
yuddh  ke  virodh  mein.  
 
    
 
    
        स्रोत : 
                
                                                                    रचनाकार  : रेखा राजवंशी 
                             प्रकाशन  : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
                         
                                     
                
                
     
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
 
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.