दिशाएँ  अनेक  हैं  यातायात  भी  कम  नहीं,  
पगडंडियों  से  महामार्ग  तक  जिससे  चाहें  आएँ-जाएँ।  
यदि  दिशाभूल  हो  भटकाव  हो  रास्ता  बंद  हो  मंज़िल  न  पाएँ,  
तब  क्यों  नहीं  गतिशीलताओं  पर  निगाह  डाल  ख़ुद  से  बतियाएँ!  
देखें!  यह  दक्षिण  मार्ग  है,  
जो  दक्षिणतर-दक्षिणतम  होते-होते  धुर  दक्षिण  होता  जाता  है।  
और  देखें!  यह  मध्य-दक्षिण  पथ  है,  
जो  मध्य-मध्य,  दक्षिण-दक्षिण  होते-होते  दक्षिण-मध्य  में  रुक  जाता  है।  
यह  भी  देखें!  यह  मध्य  महामार्ग  है,  
जो  मध्य-निम्न,  उच्च-मध्य  होते-होते  मध्य-मध्य  रहने  का  आदी  है।  
और  यह  भी  देखें!  यह  मध्य-वाम  राह  है,  
जो  वाम-मध्य,  मध्य-वाम  होते-होते  दोराहे  पर  सोचता  रहता  है।  
देखना  हो  तो  देखें!  यह  उत्तर-वाम  रास्ता  है,  
जो  निम्न-वाम,  मध्य-वाम  होते-होते  उत्तर-वाम  में  उत्तर  खोजता  है।  
इच्छाशक्ति  हो  तो  इसे  देखें!  यह  निम्न  सड़क  है,  
जो  धूलभरी,  कीचड़सनी,  पथरीली,  कंटीली,  खंदक-खाई  ही  रहती  है।  
अब  देखें  और  सोचें!  
किधर  असुविधा  है,  कहाँ  दुविधा  है,  कितनी  सुविधा  है?  
विविधा  है  तो  उसमें  कैसी-कैसी  रचनात्मक  विधा  है  
और  विधाओं  में  कितनी  प्रतिशत  बच  रही  विविधता  है?  
सोचें  और  तय  करें  
इनमें  ध्रुवांत  तो  है  महासीमांत  कहाँ  है?  
तत्सम  छोड़  तद्भव-देशज  में  सोचें,  
इनमें  हाशियास्तान  कहाँ  है?  
वहीं  पर  चट्टानी  चुप्पी  है  खंदकी  ख़ामोशी  है,  
यातायात  का  हाथ  खड़ा  है  दिशाएँ  दिशाहारा  हैं।  
                dishayen  anek  hain  yatayat  bhi  kam  nahin,  
pagDanDiyon  se  mahamarg  tak  jisse  chahen  ayen  jayen  
yadi  dishabhul  ho  bhatkaw  ho  rasta  band  ho  manzil  na  payen,  
tab  kyon  nahin  gatishiltaon  par  nigah  Dal  khu  se  batiyayen!  
dekhen!  ye  dakshain  marg  hai,  
jo  dakshintar  dakshintam  hote  hote  dhur  dakshain  hota  jata  hai  
aur  dekhen!  ye  madhya  dakshain  path  hai,  
jo  madhya  madhya,  dakshain  dakshain  hote  hote  dakshain  madhya  mein  ruk  jata  hai  
ye  bhi  dekhen!  ye  madhya  mahamarg  hai,  
jo  madhya  nimn,  uchch  madhya  hote  hote  madhya  madhya  rahne  ka  aadi  hai  
aur  ye  bhi  dekhen!  ye  madhya  wam  rah  hai,  
jo  wam  madhya,  madhya  wam  hote  hote  dorahe  par  sochta  rahta  hai  
dekhana  ho  to  dekhen!  ye  uttar  wam  rasta  hai,  
jo  nimn  wam,  madhya  wam  hote  hote  uttar  wam  mein  uttar  khojta  hai  
ichchhashakti  ho  to  ise  dekhen!  ye  nimn  saDak  hai,  
jo  dhulabhri,  kichaDasni,  pathrili,  kantili,  khandak  khai  hi  rahti  hai  
ab  dekhen  aur  sochen!  
kidhar  asuwidha  hai,  kahan  duwidha  hai,  kitni  suwidha  hai?  
wiwidha  hai  to  usmen  kaisi  kaisi  rachnatmak  widha  hai  
aur  widhaon  mein  kitni  pratishat  bach  rahi  wiwidhta  hai?  
sochen  aur  tay  karen  
inmen  dhruwant  to  hai  mahasimant  kahan  hai?  
tatsam  chhoD  tadbhaw  deshaj  mein  sochen,  
inmen  hashiyastan  kahan  hai?  
wahin  par  chattani  chuppi  hai  khandki  khamoshi  hai,  
yatayat  ka  hath  khaDa  hai  dishayen  dishahara  hain  

        स्रोत : 
                
                                                                    रचनाकार  : प्रकाश चंद्रायन 
                             प्रकाशन  : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
                         
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.