उसकी नज़र तुम्हारी भूख पर नहीं
भूख से उपजी उस भाषा पर है
जो उसकी बुद्धि के
तिकड़मी दाँतों के बीच फँसती हुई
धीरे-धीरे कुर्सी के विज्ञापनों में तब्दील हो गई है।
इस समय इतना ही काफ़ी है कि
तुम भूख मरने वाले अधमरे लोग
सत्ता-संप्रभुओं की मँडराती काली छायाओं के बीच
किसी तरह ज़िंदा हो!
पर भूख से मर जाने वाले लोगों की अरथियों पर
भूख की ही भाषा में नित रचे जा रहे ढोंग के आँसू
और कितने दिन सहोगे तुम?
क्योंकि भूख पर तुम्हारी जुंबिश अब तक
जोगीड़ा की आवाज़ जैसी रही है
शोधपत्रों से घोषणा-पत्रों तक जिसे
अक्षर-अक्षर अपने पक्ष में तोड़ लिया गया है।
और इस थकान भरी यात्रा में
ख़ून-पसीने से लथ-पथ तुम्हारी भूख,
जागरण में टिकने के बजाए
तुम्हारी नींद में निढाल हो गई है,
यह बेहद अफ़सोसनाक है।
उसकी हवस हमेशा
तुम्हारी भूख पर भारी पड़ती है
जो हरदम कूट-पीसकर तुमको खाती है।
uski nazar tumhari bhookh par nahin
bhookh se upji us bhasha par hai
jo uski buddhi ke
tikaDmi danton ke beech phansati hui
dhire dhire kursi ke vigyapnon mein tabdil ho gai hai.
is samay itna hi kafi hai ki
tum bhookh marne vale adhamre log
satta samprabhuon ki manDrati kali chhayaon ke beech
kisi tarah zinda ho!
par bhookh se mar jane vale logon ki arathiyon par
bhookh ki hi bhasha mein nit rache ja rahe Dhong ke ansu
aur kitne din sahoge tum?
kyonki bhookh par tumhari jumbish ab tak
jogiDa ki avaz jaisi rahi hai
shodhpatron se ghoshna patron tak jise
akshar akshar apne paksh mein toD liya gaya hai.
aur is thakan bhari yatra men
khoon pasine se lath path tumhari bhookh,
jagran mein tikne ke bajaye
tumhari neend mein niDhal ho gai hai,
ye behad afsosnak hai.
uski havas hamesha
tumhari bhookh par bhari paDti hai
jo hardam koot piskar tumko khati hai.
uski nazar tumhari bhookh par nahin
bhookh se upji us bhasha par hai
jo uski buddhi ke
tikaDmi danton ke beech phansati hui
dhire dhire kursi ke vigyapnon mein tabdil ho gai hai.
is samay itna hi kafi hai ki
tum bhookh marne vale adhamre log
satta samprabhuon ki manDrati kali chhayaon ke beech
kisi tarah zinda ho!
par bhookh se mar jane vale logon ki arathiyon par
bhookh ki hi bhasha mein nit rache ja rahe Dhong ke ansu
aur kitne din sahoge tum?
kyonki bhookh par tumhari jumbish ab tak
jogiDa ki avaz jaisi rahi hai
shodhpatron se ghoshna patron tak jise
akshar akshar apne paksh mein toD liya gaya hai.
aur is thakan bhari yatra men
khoon pasine se lath path tumhari bhookh,
jagran mein tikne ke bajaye
tumhari neend mein niDhal ho gai hai,
ye behad afsosnak hai.
uski havas hamesha
tumhari bhookh par bhari paDti hai
jo hardam koot piskar tumko khati hai.
स्रोत :
रचनाकार : सुशील कुमार
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.