मैं  तह  तक  पहुँचना  चाहता  हूँ  
हर  चीज़  में  
काम  में,  अपने  अन्वेषणों  में  
हृदय  की  उथल-पुथल  में।  
मैं  धँसना  चाहता  हूँ  
गुज़रे  हुए  दिनों  के  कारण  में,  तत्व  में  
जड़  में  
तह  में।  
मैं  नियति  और  घटनाओं  के  सूत्रों  को  
पकड़कर  
जीना,  सोचना,  अनुभव  करना,  प्रेम  में  जकड़ना  
खोज  करना  चाहता  हूँ।  
काश  थोड़ा  भी  
मेरे  बूते  का  होता  ऐसा  कर  पाना  
मैं  बतलाता  मनोवेगों  के  अपने  विशेष  गुणों  को  
मात्र  आठ  पंक्तियों  के  छंद  में।  
उसका  मनमाना  दुराचार,  
पलायन  और  पीछा,  
अचानक  घटनाओं,  
कंधों  और  हाथों  के  स्पर्शों  के  विषय  में।  
मैं  खोज  निकालता  उसके  क़ानूनों  को  
बुनियादों  को  
दुहराता  उसके  अनगिनत  नामों  के  
प्रथमाक्षरों  को।  
कविता  को  बिछाता  बग़ीचे  की  तरह  
हरेक  पत्ते  की  फड़फड़ाहट  पर  बज  उठते  
पीले  फूलों  वाले  पेड़  
वहाँ  पंक्तिबद्ध  उगते।  
कविता  में  शामिल  करता  मैं  
सुगंध  पोदीने  की,  छायाएँ  घने  पेड़ों  की,  
नरकट  और  चरागाह,  
बिजली  की  कौंध।  
ज़माना  हुए  शोपाँ  ने  इसी  तरह  
अपने  संगीत  में  
झाड़ियों,  पार्कों,  श्मशानों  
मड़ैयों  को  शामिल  किया  था।  
जीत  का  सुख  और  
जीत  की  पीड़ा  
सधे  हुए  धनुष  की  
खिची  हुई  प्रत्यंचा!  
                main  tah  tak  pahunchna  chahta  hoon  
har  cheez  men  
kaam  mein,  apne  anveshnon  men  
hriday  ki  uthal  puthal  mein.  
main  dhansna  chahta  hoon  
guzre  hue  dinon  ke  karan  mein,  tatv  men  
jaD  men  
tah  mein.  
main  niyti  aur  ghatnaon  ke  sutron  ko  
pakaDkar  
jina,  sochna,  anubhav  karna,  prem  mein  jakaDna  
khoj  karna  chahta  hoon.  
kaash  thoDa  bhi  
mere  bute  ka  hota  aisa  kar  pana  
main  batlata  manovegon  ke  apne  vishesh  gunon  ko  
maatr  aath  panktiyon  ke  chhand  mein.  
uska  manmana  durachar,  
palayan  aur  pichha,  
achanak  ghatnaon,  
kandhon  aur  hathon  ke  sparshon  ke  vishay  mein.  
main  khoj  nikalta  uske  qanunon  ko  
buniyadon  ko  
duhrata  uske  anaginat  namon  ke  
prathmakshron  ko.  
kavita  ko  bichhata  baghiche  ki  tarah  
harek  patte  ki  phaDphaDahat  par  baj  uthte  
pile  phulonvale  peD  
vahan  panktibaddh  ugte.  
kavita  mein  shamil  karta  main  
sugandh  podine  ki,  chhayayen  ghane  peDon  ki,  
narkat  aur  charagah,  
bijli  ki  kaundh.  
zamana  hue  shopan  ne  isi  tarah  
apne  sangit  men  
jhaDiyon,  parkon,  shmshanon  
maDaiyon  ko  shamil  kiya  tha.  
jeet  ka  sukh  aur  
jeet  ki  piDa  
sadhe  hue  dhanush  ki  
khichi  hui  pratyancha!  
main  tah  tak  pahunchna  chahta  hoon  
har  cheez  men  
kaam  mein,  apne  anveshnon  men  
hriday  ki  uthal  puthal  mein.  
main  dhansna  chahta  hoon  
guzre  hue  dinon  ke  karan  mein,  tatv  men  
jaD  men  
tah  mein.  
main  niyti  aur  ghatnaon  ke  sutron  ko  
pakaDkar  
jina,  sochna,  anubhav  karna,  prem  mein  jakaDna  
khoj  karna  chahta  hoon.  
kaash  thoDa  bhi  
mere  bute  ka  hota  aisa  kar  pana  
main  batlata  manovegon  ke  apne  vishesh  gunon  ko  
maatr  aath  panktiyon  ke  chhand  mein.  
uska  manmana  durachar,  
palayan  aur  pichha,  
achanak  ghatnaon,  
kandhon  aur  hathon  ke  sparshon  ke  vishay  mein.  
main  khoj  nikalta  uske  qanunon  ko  
buniyadon  ko  
duhrata  uske  anaginat  namon  ke  
prathmakshron  ko.  
kavita  ko  bichhata  baghiche  ki  tarah  
harek  patte  ki  phaDphaDahat  par  baj  uthte  
pile  phulonvale  peD  
vahan  panktibaddh  ugte.  
kavita  mein  shamil  karta  main  
sugandh  podine  ki,  chhayayen  ghane  peDon  ki,  
narkat  aur  charagah,  
bijli  ki  kaundh.  
zamana  hue  shopan  ne  isi  tarah  
apne  sangit  men  
jhaDiyon,  parkon,  shmshanon  
maDaiyon  ko  shamil  kiya  tha.  
jeet  ka  sukh  aur  
jeet  ki  piDa  
sadhe  hue  dhanush  ki  
khichi  hui  pratyancha!  
 
    
 
    
        स्रोत : 
                
                        पुस्तक  : आधुनिक रूसी कविताएँ-1 (पृष्ठ 56)संपादक  : नामवर सिंह रचनाकार  : बोरीस पस्तेरनाक 
                             प्रकाशन  : राजकमल प्रकाशन, नई दिल्ली
                         
                                                संस्करण   : 1978 
                
                
     
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
 
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.