तुम एक—
सीढ़ी हो...
अपनी जगह स्थिर... जड़... पथराई हुई...
किसी एक ऊर्ध्व स्तर तक,
मेरी अन्य सीढ़ियों के साथ
जुड़ी हुई...
तुम एक सीढ़ी हो...।
तुमसे मैं,
तुम्हारे बिना जाने हुए,
बार-बार
किसी भी एक
ऊर्ध्व स्तर तक पहुँचता हूँ,
...चाहे वह,
कोई घनी रात हो
या कोई उजली धूप की सुबह
या दोपहर का दिन...
इन अनिश्चित दिनों में,
मैं किसी भी वस्तु की तरह,
जब भी किसी एक ऊर्ध्व स्तर से गिरता हूँ...
तब पाँव फिर तुम्हारी ओर बढ़ते हैं...
...क्योंकि वह इस जीवन का एक अर्थ है...।
पर तुम,
तुम तो महज़ एक सीढ़ी हो,
स्थिर, जड़ और पथराई हुई,...
और मैं,
फिर,
तुमसे...
किसी एक अन्य ऊर्ध्व स्तर की ओर बढ़ जाता हूँ...।
फिर एक बार, गिरने के लिए
एक ऊँची चढ़ाई चढ़ जाता हूँ...।
...मैं फिर भी, तुम्हें प्यार करता हूँ,
हालाँकि तुम एक सीढ़ी हो,
मेरी अन्य सीढ़ियों के साथ जुड़ी हुई,
अपनी जगह स्थिर, जड़ और पथराई हुई।
tum ek—
siDhi ho. . .
apni jagah sthir. . . jaD. . . pathrai hui. . .
kisi ek uurdhv star tak,
meri anya siDhiyon ke saath
juDi hui. . .
tum ek siDhi ho. . . .
tumse main,
tumhare bina jane hue,
baar baar
kisi bhi ek
uurdhv star tak pahunchta hoon,
. . . chahe wo,
koi ghani raat ho
ya, koi ujli dhoop ki subah, ya dopahar ka din. . .
in anishchit dinon mein,
main kisi bhi vastu ki tarah,
jab bhi kisi ek uurdhv star se girta hoon. . .
tab paanv phir tumhari or baDhte hain. . .
. . . kyonki wo is jivan ka ek arth hai. . . .
par tum,
tum to mahz ek siDhi ho,
sthir, jaD aur pathrai hui. . .
aur main,
phir,
tumse. . .
kisi ek anya uurdhv star ki or baDh jata hoon. . . .
phir ek baar, girne ke liye
ek uunchi chaDhai chaDh jata hoon. . . .
. . . main phir bhi, tumhein pyaar karta hoon,
halanki tum ek siDhi ho,
meri anya siDhiyon ke saath juDi hui,
apni jagah sthir, jaD aur pathrai hui.
tum ek—
siDhi ho. . .
apni jagah sthir. . . jaD. . . pathrai hui. . .
kisi ek uurdhv star tak,
meri anya siDhiyon ke saath
juDi hui. . .
tum ek siDhi ho. . . .
tumse main,
tumhare bina jane hue,
baar baar
kisi bhi ek
uurdhv star tak pahunchta hoon,
. . . chahe wo,
koi ghani raat ho
ya, koi ujli dhoop ki subah, ya dopahar ka din. . .
in anishchit dinon mein,
main kisi bhi vastu ki tarah,
jab bhi kisi ek uurdhv star se girta hoon. . .
tab paanv phir tumhari or baDhte hain. . .
. . . kyonki wo is jivan ka ek arth hai. . . .
par tum,
tum to mahz ek siDhi ho,
sthir, jaD aur pathrai hui. . .
aur main,
phir,
tumse. . .
kisi ek anya uurdhv star ki or baDh jata hoon. . . .
phir ek baar, girne ke liye
ek uunchi chaDhai chaDh jata hoon. . . .
. . . main phir bhi, tumhein pyaar karta hoon,
halanki tum ek siDhi ho,
meri anya siDhiyon ke saath juDi hui,
apni jagah sthir, jaD aur pathrai hui.
स्रोत :
पुस्तक : सूनी घाटी का गीत (पृष्ठ 39)
रचनाकार : प्रभातरंजन
प्रकाशन : साहित्य भवन प्राइवेट लिमिटेड, इलाहाबाद
संस्करण : 1959
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.