जब तुम पढ़ाते हो
चॉक की धूल में
चमकते तुम्हारे हाथ
हवा को आशीर्वाद देते
उठते हैं
तुम्हारे कहने पर
हेनरी अष्टम् की छह पत्नियाँ
सचमुच आ जाया करती हैं
कक्षा में
और दुल्हन की सहेलियों की तरह
मुस्कुराया करती हैं
खिड़की के पार चुपचाप
बहती है नील नदी
और खेल के मैदान पर विशाल केक के
टुकड़ों से धूप में तपा करते हैं
पिरामिड
तुम्हारी पढ़ाई कविता से निकलकर
सचमुच कक्षा में आ जाया करता है एक बाघ
और काले-नारंगी रंगों को ओढ़े
घूमता रहता है मेज़ों के बीच
धूप-छाँव को चीरते हुए
सूरज की डाल से टूटकर
मेरे मन के भीतर गिरता है
एक सुनहरा सेब
और मैं फिर से अपना सिर
फटी-पुरानी, रंग-बिरंगी
किताबों में झुका लेती हूँ
और सीखती हूँ
कि प्यार क्या होता है।
jab tum paDhate ho
chauk ki dhool mein
chamakte tumhare haath
hava ko ashirvad dete
uthte hain
tumhare kahne par
henri ashtam ki chhah patniyan
sachmuch aa jaya karti hain
kaksha men
aur dulhan ki saheliyon ki tarah
muskuraya karti hain
khiDki ke paar chupchap
bahti hai neel nadi
aur khel ke maidan par vishal kek ke
tukDo se dhoop mein tapa karte hain
piramiD
tumhari paDhai kavita se nikalkar
sachmuch kaksha mein aa jaya karta hai ek baagh
aur kale narangi rangon ko oDhe
ghumta rahta hai mezon ke beech
dhoop chhaanv ko chirte hue
suraj ki Daal se tutkar
mere man ke bhitar girta hai
ek sunahra seb
aur main phir se apna sir
phati purani, rang birangi
kitabon mein jhuka leti hoon
aur sikhti hoon
ki pyaar kya hota hai.
jab tum paDhate ho
chauk ki dhool mein
chamakte tumhare haath
hava ko ashirvad dete
uthte hain
tumhare kahne par
henri ashtam ki chhah patniyan
sachmuch aa jaya karti hain
kaksha men
aur dulhan ki saheliyon ki tarah
muskuraya karti hain
khiDki ke paar chupchap
bahti hai neel nadi
aur khel ke maidan par vishal kek ke
tukDo se dhoop mein tapa karte hain
piramiD
tumhari paDhai kavita se nikalkar
sachmuch kaksha mein aa jaya karta hai ek baagh
aur kale narangi rangon ko oDhe
ghumta rahta hai mezon ke beech
dhoop chhaanv ko chirte hue
suraj ki Daal se tutkar
mere man ke bhitar girta hai
ek sunahra seb
aur main phir se apna sir
phati purani, rang birangi
kitabon mein jhuka leti hoon
aur sikhti hoon
ki pyaar kya hota hai.
स्रोत :
रचनाकार : कैरोल एन डफ़ी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए अनुवादक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.