शब्द  सारे  मौन  होकर  सम्मिलित  मुस्कान  में।  
कपकपाँती  भंगिमाएँ  कह  रहीं  कुछ  कान  में।  
लक्षणा  अभिधा  सखी,  
अभिव्यंजना  तक  मौन  है।  
मौन  की  यह  डोर  थामे,  
अद्वितीय  वह  कौन  है?  
है  सुनिश्चित  यह  स्वयं  को,  
हमने  अर्पण  कर  दिया।  
जाने  कैसी  गंध  है  उस  बाँसुरी  की  तान  में।  
शब्द  सारे  मौन  होकर  सम्मिलित  मुस्कान  में।  
अव्यक्त  की  अभिव्यक्तियाँ,  
हैं  अनवरत  जारी  सखी।  
अनुभूति  के  किस  भावनद  में,  
बह  रही  प्यारी  सखी?  
प्रश्न  करती  भावनाएँ,  
थक  गई  हैं  हारकर।  
खो  गई  है  चेतना  भी,  मौन  के  चिर  ध्यान  में।  
शब्द  सारे  मौन  होकर  सम्मिलित  मुस्कान  में।  
पंख  लगते  गीत  में  अब,  
प्राण  उगते  शब्द  में।  
भाव  की  लड़ियाँ  लगीं  हर  
शब्द  के  प्रारब्ध  में।  
गीत  भी  शृंगार  कर,  
प्रकृति  सरीखे  हो  रहे।  
उनका  काजल  मैं  करूँगी,  व्यस्त  हूँ  इस  भान  में।  
शब्द  सारे  मौन  होकर  सम्मिलित  मुस्कान  मे।  
                shabd  sare  maun  hokar  sammilit  muskan  mein.  
kapakpanti  bhangimayen  kah  rahin  kuch  kaan  mein.  
lakshna  abhidha  sakhi,  
abhivyanjna  tak  maun  hai.  
maun  ki  ye  Dor  thame,  
advitiy  wo  kaun  hai?  
hai  sunishchit  ye  svayan  ko,  
hamne  arpan  kar  diya.  
jane  kaisi  gandh  hai  us  bansuri  ki  taan  mein.  
shabd  sare  maun  hokar  sammilit  muskan  mein.  
avyakt  ki  abhivyaktiyan,  
hain  anavrat  jari  sakhi.  
anubhuti  ke  kis  bhavnad  mein,  
bah  rahi  pyari  sakhi?  
parashn  karti  bhavnayen,  
thak  gayi  hain  harkar.  
kho  gai  hai  chetna  bhi,  maun  ke  chir  dhyaan  mein.  
shabd  sare  maun  hokar  sammilit  muskan  mein.  
pankh  lagte  geet  mein  ab,  
praan  ugte  shabd  mein.  
bhaav  ki  laDiyan  lagin  har  
shabd  ke  prarabdh  mein.  
geet  bhi  shringar  kar,  
prkriti  sarikhe  ho  rahe.  
unka  kajal  main  karungi,  vyast  hoon  is  bhaan  mein.  
shabd  sare  maun  hokar  sammilit  muskan  mae.  

        स्रोत : 
                
                                                                    रचनाकार  : आकृति विज्ञा 'अर्पण’ 
                             प्रकाशन  : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
                         
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.