जब निकला सत्य की खोज में,
बाज़ार में थे
सभी अपने-अपने सत्य के साथ खड़े।
सत्य की थीं अनेक परिभाषाएँ,
कोई कुछ कहे, तो कोई कुछ बताए।
मैंने सत्य का मर्म तभी जाना,
यह भी जाना
कि जाना जा सकता है सत्य,
तलाशा जा सकता है।
यह भी जाना
कि सबसे ख़तरनाक होता है मध्यम मार्ग।
बीच एक बिंदु पर खड़ा जहाज़
नहीं जान पाता समुद्र का पूरा विस्तार।
खड़ा रह जाता है वह जीवन भर
निर्धारित मध्यम बिंदु पर,
बिना खोजे, बिना जाने कोई सत्य।
दुविधा, संशय हैं विशेषाधिकार।
एकाकी पथ होता है नीरस, बेकार।
बिना निकले, बिना भटके
कैसे होता
प्रभु से स्वयं साक्षात्कार।
जब निकला मैं सत्य की खोज में,
तभी मिला मुझे
सत्य का मिथ्य,
सत्य का सत्य।
jab nikla satya ki khoj mein,
bazar mein the
sabhi apne apne satya ke saath khaDe.
satya ki theen anek paribhashayen,
koi kuch kahe, to koi kuch bataye.
mainne satya ka marm tabhi jana,
ye bhi jana
ki jana ja sakta hai satya,
talasha ja sakta hai.
ye bhi jana
ki sabse khatarnak hota hai madhyam maarg.
beech ek bindu par khaDa jahaz
nahin jaan pata samudr ka pura vistar.
khaDa rah jata hai wo jivan bhar
nirdharit madhyam bindu par,
bina khoje, bina jane koi satya.
duvidha, sanshay hain visheshadhikar.
ekaki path hota hai niras, bekar.
bina nikle, bina bhatke
kaise hota
prabhu se svayan sakshatkar.
jab nikla main satya ki khoj mein,
tabhi mila mujhe
satya ka mithya,
satya ka satya.
jab nikla satya ki khoj mein,
bazar mein the
sabhi apne apne satya ke saath khaDe.
satya ki theen anek paribhashayen,
koi kuch kahe, to koi kuch bataye.
mainne satya ka marm tabhi jana,
ye bhi jana
ki jana ja sakta hai satya,
talasha ja sakta hai.
ye bhi jana
ki sabse khatarnak hota hai madhyam maarg.
beech ek bindu par khaDa jahaz
nahin jaan pata samudr ka pura vistar.
khaDa rah jata hai wo jivan bhar
nirdharit madhyam bindu par,
bina khoje, bina jane koi satya.
duvidha, sanshay hain visheshadhikar.
ekaki path hota hai niras, bekar.
bina nikle, bina bhatke
kaise hota
prabhu se svayan sakshatkar.
jab nikla main satya ki khoj mein,
tabhi mila mujhe
satya ka mithya,
satya ka satya.
स्रोत :
रचनाकार : विशाल कुमार
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.