मेरी  इच्छा-सूची  में  कोई  विज्ञापन  नहीं  है  
किसी  सन-फ़्लावर  से  छुई  धूप  
या  लाल  अमरूद  की  जड़  पानी  में  डूबती  छाया  नहीं  है  
रेलगाड़ी  का  धुआँ  उक्ति  है  
किसी  दुर्दिन  से  निकलने  के  लिए  
बिल्ली  की  तरल  आँख  
बड़ी  शांति  से  खाता  है  अभिनेता  
आँसू-गैस  शांतिपर्व  पर  सहभागिता  से  बाँटी  जाती  है  
हम  उस  फूल  से  वाक़िफ़  थे  
जो  हमारा  तुम्हारा  ‘मैं’  तोड़कर  
पराग  में  महकता  है  
मैंने  तोड़-फोड़  के  उपरांत  
कुल  उपेक्षित  शांति  
लज्जित  क्रोध  नहीं  त्यागा  
मुझे  तुम्हारी  गुलाबी  नज़र  
मुझे  तुम्हारी  गला  काटती  सड़क  
कुआँ  पाटती  आदत  
गुलगुली  होती  ‘ही  ही’  नहीं  चाहिए  
अब  कि  साँय  बिना  चमगादड़  की  चर्रा  जाती  है  
अब  कि  सुबह  बिना  कौआ  की  उतर  आती  है  
जानवर  और  आदमी  की  संधि  के  लिए  
ज़रूरी  होने  लगी  है  एक  आदमी  और  एक  आदमी  की  सहमति  
अब  कि  ज़मीन  पर  कभी  भी  मौत  आ  सकती  है  बेपैर  
हत्या  की  सारी  सुविधाएँ  सुरक्षा  के  विशेषण  बन  गईं  
अब  कि  हो  जाए  अब  से  पार  
हमें  उसकी  उँगली  में  गहराती  स्याही  पहचाननी  होगी  
उसकी  काँख  में  सुस्ताता  तिल  ढूँढना  ही  होगा  
एक  बिल्ली  को  बचाने  के  लिए  
खंडित  उदास  चेहरे  की  मोम  पिघलानी  होगी  
नाख़ून  पर  गर्म  भंगिमा  हेतु  
बचाकर  रखना  होगा  साँप  सीढ़ी  का  सौवाँ  अंक।  
                meri  ichchha  suchi  mein  koi  vigyapan  nahin  hai  
kisi  san  flavar  se  chhui  dhoop  
ya  laal  amrud  ki  jaD  pani  mein  Dubti  chhaya  nahin  hai  
relgaDi  ka  dhuan  ukti  hai  
kisi  durdin  se  nikalne  ke  liye  
billi  ki  taral  ankh  
baDi  shanti  se  khata  hai  abhineta  
ansu  gais  shantiparv  par  sahbhagita  se  banti  jati  hai  
hum  us  phool  se  vaqif  the  
jo  hamara  tumhara  ‘main’  toDkar  
praag  mein  mahakta  hai  
mainne  toD  phoD  ke  upraant  
kul  upekshit  shanti  
lajjit  krodh  nahin  tyaga  
mujhe  tumhari  gulabi  nazar  
mujhe  tumhari  gala  katti  saDak  
kuan  patti  aadat  
gulguli  hoti  ‘hi  hee’  nahin  chahiye  
ab  ki  sanya  bina  chamgadaD  ki  charra  jati  hai  
ab  ki  subah  bina  kaua  ki  utar  aati  hai  
janvar  aur  adami  ki  sandhi  ke  liye  
zaruri  hone  lagi  hai  ek  adami  aur  ek  adami  ki  sahamti  
ab  ki  zamin  par  kabhi  bhi  maut  aa  sakti  hai  bepair  
hatya  ki  sari  suvidhayen  suraksha  ke  visheshan  ban  gain  
ab  ki  ho  jaye  ab  se  paar  
hamein  uski  ungli  mein  gahrati  syahi  pahchanni  hogi  
uski  kaankh  mein  sustata  til  DhunDhna  hi  hoga  
ek  billi  ko  bachane  ke  liye  
khanDit  udaas  chehre  ki  mom  pighlani  hogi  
nakhun  par  garm  bhangima  hetu  
bachakar  rakhna  hoga  saanp  siDhi  ka  sauvan  ank.  
meri  ichchha  suchi  mein  koi  vigyapan  nahin  hai  
kisi  san  flavar  se  chhui  dhoop  
ya  laal  amrud  ki  jaD  pani  mein  Dubti  chhaya  nahin  hai  
relgaDi  ka  dhuan  ukti  hai  
kisi  durdin  se  nikalne  ke  liye  
billi  ki  taral  ankh  
baDi  shanti  se  khata  hai  abhineta  
ansu  gais  shantiparv  par  sahbhagita  se  banti  jati  hai  
hum  us  phool  se  vaqif  the  
jo  hamara  tumhara  ‘main’  toDkar  
praag  mein  mahakta  hai  
mainne  toD  phoD  ke  upraant  
kul  upekshit  shanti  
lajjit  krodh  nahin  tyaga  
mujhe  tumhari  gulabi  nazar  
mujhe  tumhari  gala  katti  saDak  
kuan  patti  aadat  
gulguli  hoti  ‘hi  hee’  nahin  chahiye  
ab  ki  sanya  bina  chamgadaD  ki  charra  jati  hai  
ab  ki  subah  bina  kaua  ki  utar  aati  hai  
janvar  aur  adami  ki  sandhi  ke  liye  
zaruri  hone  lagi  hai  ek  adami  aur  ek  adami  ki  sahamti  
ab  ki  zamin  par  kabhi  bhi  maut  aa  sakti  hai  bepair  
hatya  ki  sari  suvidhayen  suraksha  ke  visheshan  ban  gain  
ab  ki  ho  jaye  ab  se  paar  
hamein  uski  ungli  mein  gahrati  syahi  pahchanni  hogi  
uski  kaankh  mein  sustata  til  DhunDhna  hi  hoga  
ek  billi  ko  bachane  ke  liye  
khanDit  udaas  chehre  ki  mom  pighlani  hogi  
nakhun  par  garm  bhangima  hetu  
bachakar  rakhna  hoga  saanp  siDhi  ka  sauvan  ank.  
 
    
 
    
        स्रोत : 
                
                                                                    रचनाकार  : सत्यव्रत रजक 
                             प्रकाशन  : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
                         
                                     
                
                
     
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
 
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.