हवा
कमरे में बेचैनी से चक्कर लगा रही है
खिड़की के पास खड़ी है
एक औरत
गोया, सदियाँ बीत गई हैं
और, उस औरत की चुप्पी
बदस्तूर है
दिन गुज़र जाता है
रोज़मर्रा के काम निबटाते
पर रात?
रात को हवा तक बेचैन हो जाती है
जिस्म तन-सा जाता है
और, कोने में रखे साज़ पर
एक निगाह डालकर
वह औरत अपना रोम-रोम
साज़ के तारों की मानिंद
कसा हुआ महसूस करती है
सुरों की लहरें छूना चाहती हैं
ऊँचाई का मस्तक
और फिर बारिश की फुहारों मानिंद
बिखर जाना चाहती हैं
रगों में उफनता लहू
लावे की तरह फूटने को कसमसा रहा है
पर, वह निश्चल पड़ी रहती है
कोने में रखे साज़ की तरह
और सिर्फ़ सोचती है
कि, साज़ देखने
या उसके बारे में बात करने से नहीं बजता
वह स्पर्श की भाषा जानता है
क़रीब से बेहद क़रीब से
उसे बजाना होता है
और वह खुद भी चाहती है बजना
छातियों में दबी दूध की फुहारें
बरसने का इंतज़ार करती हैं
hava
kamre mein bechaini se chakkar laga rahi hai
khiDki ke paas khaDi hai
ek aurat
goya, sadiyan beet gai hain
aur, us aurat ki chuppi
badastur hai
din guzar jata hai
rozmarra ke kaam nibtate
par raat?
raat ko hava tak bechain ho jati hai
jism tan sa jata hai
aur, kone mein rakhe saaz par
ek nigah Dalkar
wo aurat apna rom rom
saaz ke taron ki manind
kasa hua mahsus karti hai
suron ki lahren chhuna chahti hain
uunchai ka mastak
aur phir barish ki phuharon manind
bikhar jana chahti hain
ragon mein uphanta lahu
lave ki tarah phutne ko kasmasa raha hai
par, wo nishchal paDi rahti hai
kone mein rakhe saaz ki tarah
aur sirf sochti hai
ki, saaz dekhne
ya uske bare mein baat karne se nahin bajta
wo sparsh ki bhasha janta hai
qarib se behad qarib se
use bajana hota hai
aur wo khud bhi chahti hai bajna
chhatiyon mein dabi doodh ki phuharen
barasne ka intzaar karti hain
hava
kamre mein bechaini se chakkar laga rahi hai
khiDki ke paas khaDi hai
ek aurat
goya, sadiyan beet gai hain
aur, us aurat ki chuppi
badastur hai
din guzar jata hai
rozmarra ke kaam nibtate
par raat?
raat ko hava tak bechain ho jati hai
jism tan sa jata hai
aur, kone mein rakhe saaz par
ek nigah Dalkar
wo aurat apna rom rom
saaz ke taron ki manind
kasa hua mahsus karti hai
suron ki lahren chhuna chahti hain
uunchai ka mastak
aur phir barish ki phuharon manind
bikhar jana chahti hain
ragon mein uphanta lahu
lave ki tarah phutne ko kasmasa raha hai
par, wo nishchal paDi rahti hai
kone mein rakhe saaz ki tarah
aur sirf sochti hai
ki, saaz dekhne
ya uske bare mein baat karne se nahin bajta
wo sparsh ki bhasha janta hai
qarib se behad qarib se
use bajana hota hai
aur wo khud bhi chahti hai bajna
chhatiyon mein dabi doodh ki phuharen
barasne ka intzaar karti hain
स्रोत :
पुस्तक : साज़ चुप है (पृष्ठ 127)
रचनाकार : रामकृष्ण प्रकाशन
प्रकाशन : रश्मि रमानी
संस्करण : 1997
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.